Mughal Empire se kon waakif nhi hai, hame bachpan se sirf aur sirf Mughalo ke baare mein hi padhya gaya hai, jitna hamare textbook mein Mughalo ke baare mein diya hai sayad hi kisi hindu sena ke baare mein diya hoga. Ek aisa hi yudh hua tha Humayun aur Sher Shah Suri ke bich aur hum mein se adhiktar log iss yudh se waakif nhi hai ki kis tarah Sher Shah Suri ne Humayun ko dhul chata diya tha. Kannauj ka yudh jisse hum Bilgram ka yudh ke naam se bhi jaante hai ye yudh May 17 saal 1540 mein Uttar Pradesh ke kannauj mein hua tha. Ek aisa yudh jisne bata diya tha ki agar humse hamari chize chin ne ki socho ge toh kiya ho sakhta hai tumhare sath.
Baat hai saal 1538 ki jab Sher Shah Suri ki led ki gai army sena ne Chausa ki yudh mein Humayun ke led ki gai mughalo sena ko barbaad kar diya tha, iss ghantna ke baad Mughal Badshah Humayun Ganga nadi mein kudd kar waha se nikal kar bhaag gaya aur kisi tarah usne uss waqt apni jaan bacha li thi. Jab Chausa ke yudh mein haarne ke baad Humayun phir se Sher Shah Suri se badla lena chah raha tha isliye wo apne bhaiyon ke paas gaya unn se madad lene ke liye aur Agra wapas chala gaya. Humayun apni Bhai Hindal mirza ke paas gaya aur uss se madad maangi usne Humayun ko aaswasan diya ki wo uski puri madad karega lekin Humayun ke dusre bhai Kamran Mirza ne Humayun ki madad karne se mana kar diya kyuki kamran khud raja banna chahta tha isliye usse lag raha tha ki agar wo Humayun ki madad karega toh usse khud mauka nhi milega raja banne ke liye phir wo kaise raja banega. Jab kamran apni baat nhi manwa paya toh wo apni sena ke sath wapas Lahore chala gaya, bhai ka sath nhi milne par bhi Humayun ne aachi khaasi sena jama kar li thi. Humayun phir se ek baar yudh karne ke liye kannauj aaya aur iss baar wo puri taiyari aur apne bhai ke sath aaya tha. 17 may saal 1540 mein Humayun aur Sher Shah Suri ke bich yudh hui aur uss yudh mein Humayun kamjor hota chala gaye aur jald baazi ke kaaran wo iss baar bhi haar gaya, aur ye dusri baar tha jab Sher Shah Suri ne Mughal ke raja ko haraya ho aur iss baar bhi Humayun darr kar apna jaan bachte huye Agra bhaag gaya.
Iss baar sab kuch hotey bhi Humayun isliye haar gaya tha kyuki usne kai saari chize iss baar najarandaj kar di thi jaise ki jab Chausa yudh mein jitne ke baad Sher khan ne apne naam par sakhti aur naam ko joda aur khud ko Sultan ghosit kar diya tha aur usne Sher Shah ki upadhi dharan ki aur dusri taraf Humayun aur uske bhai apne mein hi ulajh gaye the , Humayun ek bada bhai hone ke kaaran usne aapne bhaiyo ko maaf kar diya aur sab sath rehne lage. Bhalo tino bhaiyon mein ab ladai nhi hoti thi lekin unke mann mein ek dusre ko lekar hamesha doubt raha aur sayad issi karan unka ek bhai Humayun ko chor kar Agra chala tha. Issi bich Sher Shah Suri ne Humayun duwara bangal mein chodi gayi sena ko na kewal barbaad kiya balki Bangal mein apna control bhi bana liya tha.Jab wo Sher Shah Suri se badla lene aa raha tha tab uske bhai ne bhi uska sath chor diya aur dakshin tat ko paar karke usne apni sena ko nichley jagah par khada kar diya tha. Iss yudh se pahele Humayun aache se jaante the ki Sher Shah ki sena uske sena se jada majbut hai aur issi wajah se Sher Shah ko yudh mein harana bhi muskil hai, aur sayad yahi kaaran tha ki wo apne bhaiyon ko maaf kar rahe the taaki badle mein wo innki madad kar sake. Jab ye baat Sher Shah Suri ko pata chali toh unhone apni sena aur Afghan ke sathiyon ke sath milkar Humayun par hamla kar diya tha, ye baat Humayun bhi jaanta thi ki kabhi na kabhi aisa hoga isliye wo unn sabke liye pahele se hi taiyaar baitha tha. Iss yudh ke liye dono side ki senao ne Kannauj ke Baligram mein Ganga nadi ke kinare apna apna dera daal diya tha, itihaaskaar batatein hau ki uss yudh mein dono ki sena lag bhag 2 lakh ki thi unn sab ke sath unhe nadi kinaare ek sath rehna pada. Jab Humayun ki sena ne dekha Humayun ab haar rahe hai unke paas ab kuch bhi nhi bacha toh unke saare sena unn ko chor kar chale gaye. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Bahubali 3 ki jisme ek raja ka naam ki kaafi hai apne dushmon ke liye. Aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit