Carl Gugasisn wo naam hai jisse paichan ki koi jarurat nhi hai ye ek aisa chor tha jo bahut saari degree paane ke baad bhi chor hi bana wo bhi aisa chor jo 30 saal mein 50 bank ko loot chuka tha. Carl ka janam 12 October saal 1947 mein Broomall , Pennsylvania mein hua tha. Jab ye 15 saal ke the toh inhone ek candy store ko lootne ki koshish ki thi aur ussi dauran usse goli maar di gayi thi aur unhe phir 18 mahine ke liye Camp Hill Pennsylvania mein bhej diya gaya tha. Jab wo bahar aaya toh usne koshish bhi nhi ki ache zindagi jeene ki, uske ulta usne apne aap ko apradh ki duniya mein aur dhakelta chala gaya. Usse lag raha tha ki uske naam par dhabba lag gaya hai jiske kaaran usse aache zindagi jeene nhi milegi, jabki usne ballroom ki dance art mein maja bhi kiya aur kuch din wahi raha.
Saal 1971 mein Carl apna electrical engineering ki bachelor degree wo bhi Villanova University se kar raha tha ussi dauran usne reserve officer’s ki training corps mein bhi admission le liya tha . Graduation karne ke baad carl ko Fort Bragg ke US army ke liye chuun liya gaya tha sath hi sath carl ko special forces aur tactical weapons ki bhi training di gayi thi. Kuch samay baad wo college wapas aa gaya tha aur iss baar wo System analysis mein masters degree kar raha tha uske baad usne pennsylvania state university mein statistics aur probability mein doctorate ka bhi kaam kar chuka tha. Usne ab apni padhai complete kar li thi aur ab wo apni bank lootne waali planning par kaam kar raha tha. Usne total 8 planning banai thi par na jaane kyu wo iss planning se darr raha tha phir saal 1973 mein uske himaat karke north Carolina mein ek car ke chori ke sath apna chori ka career ko usne start kiya.
Carl ko ab himaat mil gayi thi toh usne dheere dheere karke choriya karne ki planning karne laga aur usse anjaam bhi de diya karta tha . Wo ab koi bhi chori badi baariki se kiya karta tha wo hamesha chori karne se pahele jagah aur road ke maps ko dekh leta tha uske baad wo hamesha chote jagah ke bank ko chunta tha jo ya toh highway mein hoti thi ya phir jungle ke aas paas. Uske baad wo waha ki puri jaankari nikalta tha ki koi waha aata hai ya nhi ya phir waha koi guard hai ya nhi uske baad hi ye chori kiya karta tha, yaha tak ki ye chori kiye huye chizo ki turant cache bana deta tha. Usne Friday ki raat ko chori karne ki sochi jab saare ke saare dukaan band hone waale the thik thodi der pahele usne chori ki aur ye usne isliye kiya kyuki usse pata chal gaya tha ki waha log abhi kam honge aur paisa utna hi jada, Carl ne chori karte waqt apne chehre par ek mask lagaya hua tha jis se uska chehra chipa jaaye yaha tak ki uske chehre ka colour bhi na dikh sake. Wo banduk ke sath bank mein ghush gaya tha aur aise Kapde pehn kar aaya tha ki usse paihchan pana bilkul mushkil tha. Usne turant counter par attack kiya aur Sara paisa apne bag mein rakha aur waha se sidha bhaag gaya. Police waalo ka kehna tha ki puri duniya mein ye hi ek aisa chor tha jo sirf do min ke andar chori karke bhaag jaaya karta tha aur kabhi isne chori ke liye kisi ke upar goli nhi chalai thi. Wo hamesha chori soch samajh kar puri planning ke sath kiya karta tha taaki uski chori kabhi pakdi na jaaye uske liye wo apne nisaan ko chipaane ke liye ek aise kapde pehen ke rakhta tha ki kahi uss se koi sabut na chut jaaye, uske baad wo apni bike ko ek van mein daal deta tha phir office waali dress pehen kar khud check karne aata tha. Issi tarah usne aapne 30 ki umar mein 50 chori ko anjaam de chuka tha bina kise se darre.
Lekin kehte hai na ki aap jitna chaho utna koshish kar lo jhut ya gunah ko chipane ki lekin wo kabhi na kabhi saamne aa hi jata hai aur thik aisa Carl ke sath hua ek din uske ghar ke saamne khel rahe do bacho ko uske ghar se wo saare equipments miley jisse Carl choriya kiya karta tha unn sab ko police ko dikhane ke baad carl ko hiraasat mein liya gaya aur saal 2002 mein usse jail mein 11 saal ke liye daal diya gaya. Usne jail mein rehte hui bhi ek aacha kaam kiya aur kaam tha waha ke kaidi ko mathematics padhai aur saal 2017 mein carl ko chor diya gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Dhoom 4 ki aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit