Judwaa 3

Wo kehte hai na ki bhagwan kabhi kisi ko nirash nhi rakhte hai agar saare darwaaze band kar dete hai toh ek umeed ka darwaza hamesha khula hi rehta hai. Lekin jab maa baap bhi sath sath chor de toh aisa koi bhi nhi hota jiss se umeed ki jaaye, par jab aise samay mein koi dusra mil jata hai Sahara dene ke liye toh wo insaan bhagwan se bhi ucha ho jata hai. Aisa ki kuch hua tha Sohna aur Mohna ke sath jab unko bhagwan ne lachar banaya toh unke maa baap ne bhi unko besahara chor diya, lekin ek anjaan insaan ne unhe sahara diya aur bann gaye unn dono bhai ke sab kuch.
Sohna aur Mohna ka Janam 14 June saal 2003 ko New Delhi ke Sucheta Kriplaani hospital mein hua tha lekin jab doctor ne bataya ki Conjoined twins hua hai toh baad mein unhe AIIMS mein transfer kar diya gaya tha . Janam se baad garibi ke kaaran inke mata – pita ne dono ko chod diya tha phir doctors ne Pingalwara charitable society se contact kiya aur iss newborn baby ko saal 2003 mein independence day ke din ek naya ghar diya. Pahele toh doctors ne socha ki inhe alag kar de lekin operation mein utna hi risk tha toh doctors ne inhe alag-alag karne ka faisla nhi kiya tha . Dono bhai Conjoined twins hai toh inka body ek hi hai lekin chehre do , chaar haath normal bacho ki tarah hi chalte bhi hai lekin do taange do alag-alag dimaago se chal rahi hoti hai. Inke sar, chest, dil , fhefhade aur rid bhi alag-alag hai lekin kidney, liver aur gall bladder sab ek hi hai. Agar inhe dhiyan se dekha jaaye ya observe kiya jaaye toh ye dono bhai doctors ke liye ek challenge bann gaye hai kyuy ye kaise possible hai aur iska solution kiya hai. Neuro surgeon Dr. Mukul verma ka maanna hai ki do lakh bacho ke janam ke baad aapas mein juda ek bacha aisa paida hota hai. Aise aadhe se jada bache janam ke 24 ghanto ke bich dum tod dete hai lekin Sohna aur Mohna unke liye ek challenge bann kar jivit hai. Inhe alag nhi kiya ja sakhta hai kyu ki inhe dekh kar ye lagta hi nhi hai ki ye abnormal bache hai. Ab ye bache Delhi ki bheed bhaad se dur Amritsar sehar se bahar trust ke shant aur hariyali waale jagah mein reh rahe hai. Pingalwara ki head ka kehna hai ki unhe unn dono bacho ki parwarish mein koi bhi dikaat nhi aai thi, wo dusre bacho ke sath ghul- milkar rehte hai isliye hamesha khush aur masti mein rehte hai. Har activity mein badh chad kar bhaag lete hai aur unhone Pingalwara trust school mein hi class 8 tak padhai ki thi aur uss waqt wo aam bacho ki tarah unke sath hostel mein hi rehte the. Unke teachers ka kehna tha ki Sohna padhai mein Mohna se kaafi tez hai lekin wahi dono ke dimaag alag alag hone ke wajah se dono alag alag chize mehsus karte hai yaha tak dono ki pasand bhi alag alag hai. Wahi Sohna ko teacher banna hai Mohna ko doctor, wo ab dheere dheere bade ho rahe hai toh unko apne astitva ki sachai bhi pata hai wo hamesha nhi lekin kabhi kabhi bhagwan se puchte hai ki unhe aisa kyu banaya.
Saal 2021, July mein dono bhaiyon ne electrical mein diploma pura kar liya tha aur company mein junior engineer ke liye apply kar diya tha. Jab unka result aaya toh pata chala ki company mein Sohna ko rakha gaya hai aur Mohna bas uski madad karta hai . Baad mein Naukri mil jaane ke baad Sohna ne bataya ki unko naukri CM Captain Amarinder Singh ke biswas par mila hai. Government ke taraf se ye naukari ka gift dono bhai ko Christmas par aa a gift diya gaya tha jiski salary 20 hazaar hai aur sath ki sath nukari milne ke baad dono Deputy
commissioner Gurpreet Singh khaira se milne pahuche aur ghar se office aane jaane ki arrangement ki maang ki jispar unhone CMD company se baat ki aur wo arrangement unhone unn dono bhai ko di. Ab dono bhai khush hai aur apni zindagi aur aache se jee rahe hai unka ye bhi kehna hai ki wo bahut shukar juzaar hai unn doctors ka jinhone inhe bachaya kyuki agar wo nhi hotey toh ye dono bhai aache se apni zindagi nhi ji paate. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Judwaa 3 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

FIGHTER

Fighter

फाइटर फिल्म की कहानी सिद्धार्थ आनंद ने नहीं लिखी है, उन्होंने सिर्फ कहानी को लिखने में मदद की है, और इस कहानी को जिन्होंने शुरू

Read More »
Krrish 4 ,Hrithik Roshan , Priyanka Chopra , By Kiran Yadav bollygradstudioz.com

Krrish 4 (Part 4)

Priya yaani Priyanka chopra Rohit yaani Mikhail Gandhi ke kamre ko saaf karne jaati hai. Wo jese hi rohit ke bikhre hue toy ko samet

Read More »
War 2

War 2

फिल्म वॉर की success के बाद फिल्म के डायरेक्टर सिद्धार्थ आनंद और एक्टर ऋतिक रोशन को एक इंटरव्यू के लिए बुलाया गया था और उस

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​