Tridev 2

Aise bahut kam wo badmaash hotey hai jinko himaat ho logo ke saamne murder karne ki unhi mein se ek tha Jagdish mahato, ye aisa wanted tha jisse kisi ka bhi darr nhi tha wo police waalo ke nazro ke saamne se aise nikalta tha maano koi jadu lekin kehte hai na burai ki umar lambi nhi hoti hai aur wo ek na ek din pakda hi jata hai. Jagdish mahato bhi inhi mein se ek tha, Jagdish begusarai mein janam liya tha wahi ka pala bada lekin rangdaari uske andar koot koot kar bhari padi thi. Ussne apne chotey se umar mein hi badmaashiyan shuru kar di thi aur wo kisi se bhi nhi darta tha. Uske pariwaar waalo ke samjhane ke baad bhi wo nhi samjhta, ek din toh chori karte pakda gaya tha uske baad jab usse chor diya gaya toh maano usse iss kaam ke liye seh mil gayi ho.

Jaise jaise wo bada hota gaya uski dosti padhai se kam aur jurm ki duniya se jada hone lagi aur waha ki logo ki maane toh wo ek gang se jud gaya tha jinke liye wo loot paat karta, chori karta ya rangdaari manga karta tha . Lekin jab usse laga ki usse bhi apni pehchan banani hai toh usne khud se apne liye kaam karna shuru kar diya tha jiske baad usne wo gang bhi chor di thi. Wo bas chahta tha ki uske paas dher saare paise ho aur uska naam ho jo har koi jaane lekin galat rasta chuun kar ye karna kisi bhi haal mein sahi nhi hai. Lekin Jagdish ne yahi rasta ko chuna aur aage badhta gaya, logo ko jab bhi kisi ko darana, kisi ka murder karwana ya kuch lootna hota tha toh wo Jagdish mahato ko hi yaad karte the. Jab log inn sab kaamo ke liye Jagdish ko yaad karne lage toh Jagdish ko laga ki finally wo ab mashrur ho raha hai aur issi tarah se wo bihar ka most wanted murderer bann gaya tha jisse puri bihar mein uske naam ki khauf gunj rahi thi. Aakhir ab waqt aaya tha uske pakde jaane ka, jab usne Hema Maurya ko maarne ki thaani thi kyuki ki wo jaanta tha ye mukhiya hai agar isse marega toh iska naam aur mashrur hoga. Saraswati puja ka visharjan ka din tha Jagdish ne apni pistol nikali aur chal pada Hema ko maarne ke liye, idhar sab visharjan mein busy the koi naach rahe the koi ga rahe the tabhi usne pistol nikali aur saari ki saari goli Hema Maurya ko maar di jiske baad waha kohraam mach gaya tha sabhi log idhar udhar bhaagne lage aur ab police ko bhi uski talash thi lekin wo unke hanth nhi aaya.

Jis badmaash ko begusarai police ek saal mein nhi khoj paayi uss badmaash ko patna STF Special Force Task ne ussi gaaon se hathiyar ke sath giraftaar kiya. Navakothi thana chehtra ke samsa panchayat ki mukhiya Hema Maurya ke murder ke aaropi Jagdish mahato ko patna STF SOG One ki team ne friday ko Navakothi se giraftaar kiya tha. Jagdish ne ye murder paheli baar nhi ki thi kyuki saal 2019 mein wo ye pahele bhi kar chuka tha, lekin mukhiya Hema Maurya ke murder ke baad log chup nhi rahe aur waha bahut bawal hua tha. Lekin Jagdish mahato kabhi bhi police officer hanth nhi aa paya, par jab usse giraftaar kiya gaya toh uske paas se aise aise hathiyar miley jisse dekh sabko aisa lag raha tha ki wo kisi bade gang se juda hua tha. Uske paas se police waalo ko ek masket rifle, desi pistol, 5 kaartush miley the. Jab ye saare samaam Jagdish ke paas se miley toh begusarai ke police waalo se sawal jawab hua ki unke maujudgi mein aisa kaise hua.

Ab Jagdish mahato jail mein hai aur umarkaid ki saja kaat raha hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Krrish 4

Krrish 4

फिल्म क्रिश 4 की कास्टिंग शुरू हो चुकी है और साल 2023 के अंत में शूटिंग भी शुरू हो जाएगी। जहां एक तरफ ऋतिक रोशन

Read More »

Ghoomer

बॉलीवुड एक्टर अभिषेक बच्चन अपनी नई फिल्म के साथ वापसी कर रहे हैं जिसका नाम है Ghoomer।  और इस फिल्म को लेकर अभिषेक बच्चन के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​