Karan Arjun 2

Punarjanam ek sach hai aisa karodo logo ke mann mein biswas hai. Punarjanam se judi ghatnaaye aapne padhi, suuni aur dekhi hogi. Lekin aaj ek nayi story hum sab jaanenge kyuki jo bhi isse sunta hai wo chauk toh jata hi hai sath hi sath usse ye anokha bhi lagta hai . Bhutan ki maharani Dorjee wanguk ke yaha ek naati ka janam hua tha aur uss naati ke roop mein janme iss chote bache ka prachin Bharat ki Nalanda University se koi judaav hai aur aisa mana jata hai ki ye bacha 824 saal pahele Nalanda mein reh chuka hai. Bhutan mein punarjanam ko lekar maanyata bahut majbut hai aur yaha bhi mana jata hai ki punarjanam mein Jigme ka Saarnath se gehra nata raha aur agar iss chote se Rajkumar ka dawa agar sach nikla toh ye mana jaayega ki Nalanda University ke ek professor ka hi janam Bhutan ke Rajkumar ke roop mein hua hai. Bhutan ki maharani kehti hai ki pichley 3 saak se unke naati ne jo kuch bhi unhe bataya hai usse jaankar wo hairan rah gayi hai. Pahele toh iski baat ko gharwaalo ke ignore kar diya tha lekin jab ye baccha apni baaton par ada raha toh ghar ke logo ne isse gambhirta se liya aur uski baaton ko dhiyan se suunae. Bhikshuk Yero ne bataya ki Jigme jab thodi bahut bolne laga tha tab wo sirf Nalanda University ke baare mein hi baatein karta tha. Jigme ne 824 saal pahele Nalanda mein padhane ki baat batayi thi uski har baat 824 saal purani hoti thi. Jigme hamesha apni nani se Saarnath jaane ki iccha jatata tha uski baaton ko sunkar maharani ne Buddh se jude jagah ke darshan karne ka nirnay liya aur phir hua asli chamatkaar.

Jigme ko jab Nalanda le jaaya gaya toh ek jadu hua . Hua ye tha ki wo jaise hi Nalanda gaya usne uss jagah ko aise dekha maano ye ussi ka ghar ho ya phir koi sapna jo Nalanda University aakar sach ho gaya ho. Yaha aate hi Jigme ne sabki pehchan Nalanda University ke professor se karai jo uss 3 saal ke masum ke roop mein the. Iss Rajkumar ne sirf 4 ghanto mein ki khandar bane chuke Nalanda University ki daro-diwaar ko pehchan liya, Jigme ki baaton aur bhav par biswas kare toh wo aaj se 824 saal pahele Nalanda University mein bator sacholar reh chuka hai, uss daur mein usse ek aache teacher ke roop mein mana hata tha aur 824 saal baad wo Bhutan ki maharani ke naati ke roop mein paida huye. Itna hi nhi iss chori umar mein usse Nalanda University ke baare mein kaafi kuch pata tha aur wo apne rehne waale kamreetak khud hi pahuch gaya tha aur uski yahi sab harkate dekh log chauk gaye the. Actually karibe3 saal ka wo masum Rajkumar Nalanda ko dekhkar excited ho utta maanoekoi adhuri wish puru hui ho . Saarnath ke archaeological khandar parisar, chaukadi stup, dhamekh stup ko kabhi gambhirta se dekhta toh kabhi hanste huye. Bhagwan Buddh ki murti dekhte hi uske shant chehre par Khushi ki lakire khich gayi thi. Jigme Nalanda University ke chape – chape se wakip the jab wo Nalanda gaya toh apne kamre tak pahuch gaya jaha punarjanam mein rehta tha. Itna hi nhi waha usne wo mudraye dhikhayi jo Nalanda ke students ko shikhayi jaati hai. Rajkumar Jigme apni naani aur Bhutan ki Maharani Aashi Dorjee wangmo wangchuk unki beti Ashi Sonam dechen wangchuk aur rajyapariwar ke jingse wangchuk ke sath Friday ko Saarnath mein tha iske purv Maharani ne apne pure pariwar aur 16 sadisya dal ke sath Saarnath ka bhraman kiya tha.

Do din ke daure par aaye Bhutan ke raja aur maharani ne Narendra Modi ji se bhi mulaakat ki thi aur modi ji ne uss Rajkumar ke sath hanth bhi milaaye aur khub khele bhi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Tiger 3

इसमें कोई शक नही है कि महिलाओं ने Freedom Struggle में भाग लिया था, लेकिन Abadi Bano Begum जिन्हे बी अम्मा कहकर बुलाया जाता था, 

Read More »
Dunki

Dunki

Dunki Hogi postponed! साल 2023 शाहरुख खान के लिए बहुत खास रहा है। शाहरुख खान ने इस साल 4 साल बाद कमबैक करते हुए हजार

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​