Tridev 2

Bihar ki rajniti mein bahubaliyon ka dabdaba kitna hai ye baat kisi se bhi chipi nhi hai sab jaante hai ki jitne bhi criminals hote hai ya koi daaku bhi toh most of the time wo Bihar ya Patna se hi hotey hai. India ke jis disha se surya nikalta hai thik usi disha mein bihar nhi basa hua hai lekin logo ka kehna hai ki iss desh mein logo ka Vikash kam aur bahubali netao ka Vikash jada hua hai aur kahi na kahi ye baat sahi bhi hai kyuki sadiyo se bihar ki mitti ko inn dabanggo ne khoon se laal kar rakha hai, unn dabanggo mein ek naam Aanand mohan Singh ka bhi hai jo filhaal abhi jail mein hai aur apni saja kaat rahe hai. Anand mohan Singh azaad Bharat ke pahele aise neta hai jinki maut ki saja ko umarkaid ki saja mein badal diya gaya tha.
Aanand mohan Singh ka janam 28 January saal 1954 ko bihar ke Saharsa gille ke Pachgachhia gaaon mein hua tha , way bhartiya swatantrata senani Ram bahadur Singh ke potey hai. Aanand mohan Singh introduction jayprakash ke andolan mein judne ke madhyam se hua tha jiss se unhe baad mein saal 1964 mein apni college ko chorna pada tha . Unki shaadi Lovely Aanand se hui thi aur inke 3 bache hai Chetan, Shurbhi aur Anshuman. Aanand mohan Singh ne bataya tha ki unhone apne career ki shuruaat 17 saal ki umar mein ki thi. Freedom fighter aur prakhar samaj waadi party Parmeshwar kunwar unke rajnitik guru the, bihar mein rajniti jaatigat equations aur dabanggai par chalti hai Aanand mohan Singh ne issi ka faida uthaya aur rajput samudaay ke neta bann gaye the aur saal 1978 mein tatkaaleen Prime minister Morarji desai jab bhasan de rahe the toh unhe Aanand ne kaale jhande dikha diye the. Saal 1980 mein unhone samajwaadi party sena ki sthapana ki jo nichali jaatiyon ke uthan ka mukabala karne ke liye bann gayi thi. Iske baad se toh uska naam aapradhiyo mein shumaar ho gaya aur waqt waqt par unki giraftaari par inaam ghoshit hone lage the lekin ussi samye unhone loksabha ke seat ke liye election ladi thi lekin wo jeet nhi paaye the aur saal 1983 mein Aanand mohan Singh ko 3 mahine ki jail hui thi.
Saal 1990 mein janta dal ne inhe vidhan sabha seat se maidan mein utara tha aur wo jeet bhi gaye the lekin media reporters ke mutabik vidhayak rehte huye bhi wo ek badnaam sampradaayik giroh ke agua the jisse unki private army kaha jata tha. Ye giroh unn logo par hamla karta tha jo aarakshan ke samarthak the. Aanand mohan ki 5 baar Loksabha saansad rahe Rajesh Ranjan urph Papu yadav ke gang ke sath lambi adawat chali thi uss waqt Kosi ke ilaake mein gerh yudh kaisi situation paida ho gayi thi . Jab satta mein badlaao hua khaaskae saal 1990 mein toh rajputoh ka dabdaba Bihar ki rajniti mein kam ho gaya tha. Yu toh Aanand mohan Singh par kai maamlo mein aarop lage the jisme adhiktar maamle ya toh hata diya gaya ya wo bari ho gaye the, lekin saal 1994 mein ek aisa maamla aaya jisne na sirf Bihar balki purey desh ko hilakar rakh diya tha. 5 December saal 1994 ko gopalganj ke dalit IAS adhikari ji krishnaiya ki bheed ne pitai ki aur goli maarkar hatya kar di thi aur iss bheed ko Aanand mohan Singh ne uksaya tha. Iss maamle mein Aanand, uski patni lovely samet 6 logo ko aaropi banaya gaya tha. Saal 2007 mein Patna highcourt ne unhe doshi theraya aur phasi ki saja sunai, aur ye azaad Bharat mein ye pahela aisa maamla bann gaya tha jisme ek rajneta ko maut ki saja di gayi thi halaki saal 2008 mein iss saja ko umarkaid mein badal diya gaya tha . Saal 2012 mein Aanand mohan Singh ne supreme court se saja kam karne ki appeal ki thi jisse court se saaf taur par khariz kar diya tha. Saja ke turant baad patna ke bedar jail se Bhagalpur mein hone ke baad Aanand mohan Singh ne suvidhao ke virodh mein bhuk hartal ki thi taaki sarkar unki baat ki suney. Jail prashashan beparwah tha ye dekhte huye ki niyamo ke anusar jise maut ki saja mili hai usse jamin par sona chahiye aur simple bhojan karna chahiye lekin usse waha saari facilities mil rahi hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

GADAR 2

Gadar 2

सभी ने ‘गदर 2’ टीजर में देखा कि कहानी एक बार फिर पाकिस्तान और भारत के मुद्दे पर ही लाई जा रही है। शानदार डायलॉग

Read More »

Soldier 2

कैप्टन शिवा चौहान दुनिया के सबसे ऊंचे Battlefield -सियाचिन (Siachen) में कुमार पोस्ट, जो की Siachen का सबसे ऊपर Camp है, उस पर तैनात होने

Read More »

Gadar 2

India aur pakistan mein aksar war hote hi rehte hai phir wo chahe batwaare ko lekar ho, kisi dharohar ko lekar ho ya border par

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​