KGF_3

Gary Tovar ne apne music, concert business ka naam “Goldenvoice Production” rakha. Jaankaari ke mutabik ek aadmi ne Marijuana ke istemaal ke baad kaha, ki “use aisa lag raha tha jaise angels apne golden voice me gaana gaa rahe ho.” Gary ke dwara host kiye jaa rahe Punk rock music concert, Olympic Auditorium me 1985 tak chali, jiske baad logon me iski interest khone lag gayi. Lekin Gary ne haar nahi maani, usne Auditorium se hatne ke baad America ke dusre jagahon me bhi show host karwaya. chahe woh Ballroom ho, Ford Amphitheatre ho, ya phir “The water club” hi kyun naa ho. Gary ne har jagah apne paison se show host karwaya. Concert karne ke liye jin bhi jagahon ko Gary book karwa raha tha, woh kaafi famous thi, jis kaaran ise book karne ka daam bhi kaafi mehanga tha. Gary apne paison pe naa sirf “Ford Amphitheatre” jaise jagahon ko book karta tha, balki woh artists ko bhi unki mehnat pe paise deta tha. Tours aur traveling ka kharch bhi Gary hi uthata tha. Yeh Punk Rock ko badhawa dene ke liye Gary dwara liya gaya ek step tha. Sabhi jaante hai ki koi bhi insaan bina apne fayede ke kuch nahi karta. Gary ka bhi “Punk Rock” ko promote karne ke peeche kayi kaaran the. Woh sirf iss music ko bachane ke liye, kabhi itni mehnat nahi karta. Asal me Gary ko Marijuana ki smuggling karna tha, lekin saamne se karne pe use 90s me jail me daal diya gaya, 80s ke wakt jab woh apne music business ke through smuggling karta tha, toh kisi ko bhi uspe utna shak nahi hota tha. Dusri jagah music concert karwa rahe Gary ne, uss wakt ki newly formed hui band “Nirvana” aur “Red Hot Chilli peppers” se unka pehla concert host karwaya. Aaj Nirvana ek iconic band hai. 90s me Nirvana ko dekhne ka har kisi ka sapna tha. Gary Tovor ka haath unke fame me kahi naa kahi chupa hua hai. 1985 me Gary Rick se mila, jise usne apni company me naukri de di. Phir 1987 me Gary ki mulakaat Paul se hui, jiske baad dono ne dosti kar li. Gary ne Paul ko bhi apni company me naukri de di. 1991 me jab drug ke case me police Gary ko arrest karne aayi, tab tak Gary “Goldenvoice” ka maalik tha, lekin apne arrest hone ke baad hi usne “Goldenvoice” ko Paul aur Rick ko free me saunp diya, jinke saath Gary arrest hone se pehle tak “Goldenvoice” me kaam karta tha. 1999 me Rick aur Paul ne milkar Goldenvoice ke through “Coachella music festival” launch kiya. Haa hum jaante hai, aap me se kayi log iss festival se acche se waakif honge. Gary aur Paul baad tak dost rahe. Gary bhale hi Goldenvoice ko saamne se operate nahi karta tha, lekin woh aaj bhi har saal Coachella music fest me shaamil hota hai. Iske alawa ab Gary company ka consultant bhi hai. Halanki issi ke kuch saal baad 2003 me Gary ke saathi Rick ki maut ho gayi. Aaj Gary ke paas “Medical Marijuana Card” hai, jo ki government dwara issued ek medical card hota hai, jisse koi bhi insaan U.S me legally Marijuana ka istemaal kar sakta hai, lekin sirf medical purposes ke liye. Jaankaari ke mutaabik Gary ab kisi bhi tarah ke illegal activities me nahi involved hai. Aaj ke mahual ko dekh kar Gary kehta hai, ki “US me Marijuana ka legal hona aur logon ke beech Punk music ka craze badhna, mere dwara purane wakt me kiye gaye mehnat ko saabit karta hai.” Dekha jaaye toh Gary aaj bhi Goldenvoice ka asli maalik hai aur woh medical card ke आर me Marijuana ki smuggling karta hai. Par ab Gary pe koi bhi sawaal nahi utha sakta, kyunki publicly ab woh ek smuggler nahi balki ek celebrity aur businessman hai. Coachella ki baat kare toh yeh America ka bahut bada music fest hai. Yaha pe bade-bade celebrities jaise Kardashians, Billie Eilish, Gigi Hadid, Ariana Grande jaise aur bhi dusre stars shaamil hote hai. Shaayad iss saal Diljit Dosanjh bhi Coachella me perform karenge, jo Indian fans ke liye bahut badi baat hai.
KGF-3 ki baat kare toh ho sakta hai, ki iss basr Rocky ka bhi saamna itne bade smuggler se ho, jo powerful hone ke saath hi bahut bada drug dealer bhi hai.
The End
Part-2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

War 2

War 2

बॉलीवुड फिल्म इंडस्ट्री में अब साउथ के एक्टर्स अपनी जगह बनाना शुरू कर चुके हैं और वो कोशिश कर रहे हैं कि बॉलीवुड की फिल्मों

Read More »
Krrish 4

Krrish-4

AI के ज़माने में रिलीज़ होने वाली futuristic superhero film Krrish 4, यक़ीनन ही इस technique को अपने में शामिल करने की तैयारी में होगी.

Read More »
Singham 3 ,Directed by Rohit Shetty. , Ajay Devgn, Akshay Kumar, Deepika Padukone,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

singham3

एक महिला मिसाल बनकर सामने आई है। जिसने शादी के 40 दिन बाद अपने हाथों की चूड़ियां तोड़कर बंदूक थाम ली। दुल्हन, प्रोफेसर और अब

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected