Krrish 4

Jis tarah se film “koi mil gaya” me “Jadu” naam ka alien tha, kuch ussi tarah America ke Nevada me Aliens ke hone ka pata chala hai. Nevada me रेगिस्तान ke beech stith military Air force base, lambe wakt se surkhiyon me raha hai. Iss military base ko “Area-51” kaha jaata hai. Logon ka maan’na hai, ki America Aliens ko pakad kar “Area-51” me rakhta hai, aur unpe research karta hai. Wahi America ke anusaar Area-51 ka istemaal, Air-force training range ke taur pe kiya jaata hai. Logon ka kehna hai ki iss jagah pe Aliens rehte hai. Yaha pe aam logon ko jaane ki permission nahi di gayi hai aur logon ne hi yeh myth create ki hai, ki America ne, Aliens aur UFO ko pakad kar Area-51 me research ke liye rakha hai. Yaha 24 ghante nigraani rakhi jaati hai aur logon ko baahar rakhne ke liye guards ko tainaat kiya gaya hai. Iss ilaake ke upar se koi plane bhi nahi udd sakti hai. Halanki ab, “Area-51” ko Google maps pe bhi dekha jaa sakta hai. “Area-51” ko lekar US military ka kehna hai ki yaha pe hathiyaaron ki testing aur advance training di jaati hai. Logon ki maane toh iss jagah ko 1955 me hi bana liya gaya tha, lekin America ne maana hai ki “Area-51” 2013 se hai. Waise toh iss ilaake ko lekar jyada details nahi di gayi hai. Yaha tak ki logon ko yeh tak nahi pata ki aakhir ise “area-51” kaha kyun jaata hai. Wahi American government iss baare me kuch bhi kehne se bachti aayi hai. Kaha jaata hai 1947 me New Mexico me ek UFO gira tha, jiske Alien pilot aur uske UFO ko yaha pakad kar rakha gaya tha. Logon ne yeh bhi dawa kiya hai ki unhone aksar iss ilaake me UFO ko oodte huye dekha hai. Ek purv engineer Bill ne kaha, ki sach me iss ilaake me Aliens ko bandi banakar rakha gaya hai. Engineer ke mutaabik, unhone American khufiya site pe kaam kiya tha, jisme iss baat ka proof mila ki “Area-51” me sach me Aliens hai. Reports ki maane toh Bill naam ke iss engineer ki umar 71 saal hai, jo Aliens specialist hai. Agar “Area-51” ke baare me kisi ko jyada pata hai toh woh Bill hi hai. Bill ko “Area-51” ko lekar sabse jyada jaankaari hai, unhone ispe experiment bhi kiya hai. Bill ne kaha hai ki United Nation aur America ke beech ek samjhauta hua, jispe sign karne ke baad se hi iss area ko logon ki nazaron se private rakha gaya hai. Area-51 pe kayi saare books, TV shows aur films bane hai, jisme dawa kiya gaya hai ki yaha pe sach me Aliens hai. Waise ek baat sochne waali hai ki kisi ko nahi pata ki aakhir iss ilaake ka naam “Area-51” kyun pada. Iske alawa koi bina kisi proof ke, Nevada ke uss ilaake ko hi kyun Aliens ka ghar batayega? Jaahir si baat hai, isse related conspiracy theories kaafi hai, jo yeh saabit karti hai ki America poori duniya se kuch chupa raha hai. Waha pe kaam karne waale log bhi, aajtak andar ke information’s ko nahi leak kar paayein hai. Aise me hum yeh nahi maan sakte ki America UFO pe research nahi kar raha. Waise bhi yeh scientifically proven hai ki duniya me Aliens ka naam numbers se diya jaata hai. Ho sakta hai “51” uss alien pe rakha gaya ho, jispe America 1947 se research kar raha hai aur kyunki yeh kaam Nevada ke military base me ho raha hai issiliye usne “Area-51” naam diya hoga. Yaani ki “Alien 51 ka ilaaka.” Nevada deserted area hai, aise me sunsaan ilaake me ek UFO ka milna lag-bhag possible bhi hai. Hume yeh nahi bhulna chahiye ki aaj humare paas jo bhi information hai, jise kuch log imagination bhi kehte hai, woh kahi na kahi se inspired hai. Kisi ne UFO ko kabhi toh dekha hoga, kisi ne Aliens ke baare me kabhi toh suna hoga, jiske baad logon ne UFO ka design banaya. Warna UFO ki design hone ke liye toh ek gaadi ki tarah bhi dikh sakti thi.
Area-51 me itni high security hai ki kisi ko nahi pata andar aakhir chalta kya hai aur jab logon ko andar ke baare me bataya hi nahi jaa raha, toh officials asaani se aam logon ko manipulate Kar sakte hai. Bahut pehle aayen scientific filmon me dikhaya jaata tha, ki kaise scientists Alien ko glass bars me band kar unpe research karte hai. Yeh soch kahi se inspired nazar aati hai. Warna writer ki imagination bina inspiration ke itni advance kaise ho sakti hai.
Khair, aap hume comment karke jarur batayiye ki aap “Area-51” ko lekar kya sochte hai aur agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule .
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DUNKI

Dunki

डंकी मूवी में इस बार दो ऐसे दिग्गज लोग एक साथ काम कर रहे हैं जो अपने मूवी को ब्लॉकबस्टर बनाने के लिए कुछ भी

Read More »
Judwaa 3 , Tiger Shroff, Disha Patani,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Judwaa 3

Judwa 3   Mankirt Singh और उनकी जुड़वा बहन Jasvinder Singh सन 1940 मे Punjab मे पैदा हुए थे। दोनो भाई बहन आपस मे प्रेम

Read More »
Judwaa 3 , Tiger Shroff, Disha Patani,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Judwaa 3

जुड़वा 2 फिल्म हर किसी के लिए एक अलग टाइप की फिल्म थी, फिर वो चाहे वरुण धवन के लिए हो या तापसी पन्नू के

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​