Gadar 2

Saal 1965 ke India- Pakistan yudh ko Bhartiya itihas mein sirf margins ki hi jagah milti hai, logo ki yaadon mein bhi iss yudh ki wo jagah nhi hai jo sayad saal 1962 ke India- China war ya saal 1971 ke Bangladesh war ki hai iska kaaran sayad ye hai ki iss ladai se na koi haar ki embarassment judi hai aur na hi confirm jeet ki Khushi. 6 December saal 1965 ko bhartiya sena ne Western front par international sena ko laanghate huye official taur par yudh ka bigul baja diya tha. Iss din ko Pakistan mein defence of Pakistan day ke taur par manaya jata hai aur iss mauke par jeet ka juloos bhi nikala jaata hai. Haalaki India ka maanna hai ki iss yudh mein jeet bharta ki hui thi, ghatna ke 58 saal baad bhi iss yudh ki tasweere ya toh jehen se puri tarah mit gayi hai ya dhundhli padd gayi hai, lekin isse ek faida bhi hota hai, bita hua samaye tasweer ko ek behtar perception deta hai. Baat hai 7 December saal 1971 ki atagraam aur Ghazipur ki ladai mein Pakistani ko shikast dene ke baad 5 gorkhs rifle ki chauthi battalion ke jawaano ko aaram karne ke liye 4 din diye gaye the. Unn jawaano ne jungle ke talaab mein naha kar apne kapde shukaaye hi the ki brigade headquarter se commanding officer lieutenant karnal harolikar ke liye ek phone aaya jisme unko bataya gaya ki unki Battalion ko ek aur kaam de diya gaya tha aur unko turant waha se aage bhi badhna tha. Harolikar ne ye kahkar iska virodh kiya ki unke jawaan 4 dino se nhi soye hai aur unko abhi aaram ki jada jarurat hai. Brigade commander banti quinn ne kaha harry kiya aap samjhte hai ki maine iska virodh nhi kiya hoga? maine Kiya tha lekin meri baat suuni nhi gayi thi.

Actually hua ye tha ki core commandar general sagat Singh ko kahi se ye khabar mili thi ki Pakistan ki 202 infantry brigade ko Sylhet se hata kar Dhaka ki raksha ke liye le jaya gaya tha, aur waha par sirf 200-300 razors ko Sylhet ki safety ke liye chhoda gaya tha. General sagat Singh ne planning banayi ki gorkha sainiko ko unke paar uplabdh 10 helicopter se Sylhet mein land karaya jaayega aur wo waha se turant kabza kar lenge. Gorkha Battalion ko subha 7:30 mein Haliborne operation ke liye order miley the. Kalora se sabse pahele 7 MI 4 helicopter ke jariye gorkha sainiko ko Sylhet mein utaara gaya tha. Major Mani Malik ke leadership mein karib 3:30 mein pehla helicopter Sylhet pahucha aur jaise ji pahela helicopter utra aur gorkha sainik nichee utarne lage, Pakistani sainiko ne Allah Ho Akbar ka nara lagate huye helicopter par hamla bol diya tha.

9 December ki raat tak unhe yaha utare 48 ghante bitt chuke the aur unse jis linkup ka wada kiya gaya tha wo pura nhi ho paya tha. Unka khana aur paani sab khatam honey laga tha aur jawaano ki numbers badhti ja rahi thi , unhe thoda bahut khana unn jhopadiyon se mil raha tha jinhe chhod kar local log bhaag gaye the, yaha tak ki unhe gande talaabo par depend rehna padd raha tha aur ek wo apne rumaal se paani ko chaan kar pi rahe the. Issi samaye bhartiya side ko ek Idea shujhi aur unhone socha ki apni Battalion ko hisso mein baat dene mein hi faida hai. General Cardozo batate hai ki hamare CEO aur maine milkar apni Battalion ko bade ilaake mein baat diya tha aur kuch sainiko ko aache hathiyar ke sath gaps mein tainaat kiya gaya taaki udhar patrolling lagi rahe aur Pakistani iss galatfahmi mein rahe ki waha ek bhartiya battalion nhi ek puri brigade hai . Gorkha sainiko ki ek plaatoon se kaha gaya ki wo ek teele par kabza kar le kyuki agar uss par pakistani sainiko ka niyantran ho jata hai toh wo saaf dekh paate hai ki bhatiya sainiko ki numbers bahut kam hai. Lagbhag ussi samaye pakistanio ne bhi waha pahuchne ki planning bana li thi lekin gorkha unse pahele waha pahuche aur unchai se firing kar unhe wahi hi rok diya gaya tha taaki wo uske aage badh sake. Iss tarah Gorkha sainiko ne Sylhet ke morche par purey 8 din bitaaye aur 15 december saal 1971 ki subha 9 baje bhartiya army chief sam maanek shah ne radio par ghosna kar Pakistani sainiko se hathiyar daalne ke liye kaha. Ye kahani ho Sakti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye hai

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2

Punarjanam ke upar aaj tak bahut saare research huye hai lekin koi bhi final nateje tak nhi pahucha hai aur iss par kai baar charche

Read More »
gadar 2

Gadar 2

गदर 2 फिल्म पर अभी एक बहुत बड़ा question मार्क लगा हुआ है और वो question ये है कि, क्या मेकर्स फिर से गदर 2

Read More »
Balwaan 2

Balwaan 2

जैसे ही सभी को ये पता चला था कि, बलवान फिल्म के एक्टर और एक्ट्रेस के लिए कॉस्ट्यूम लोकल शॉप से खरीदा गया था। उसके

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​