Zindagi aur maut ki sachai ke bich kuch ghatnaaye aisi bhi hoti hai jo kisi bhi sachai se pare hoti hai, jinke aage saare tark bekaar ho jaate hai aur science ke prachalit siddhant bhi galat lagne lagte hai. Punarjanam ki aisi hi ghatna bikaner mein kuch dino se charcho par hai kyuki punarjanam topic hi aisi hai ki jaha se bhi ye khabrein aati hai waha log iske baare mein discuss karte hi hai. Rajasthan ke bikaner mein ek punarjanam ki kahani discussion ka topic bani hui hai, 3 saal ki bachi pharraatedaar english bol rahi hai. Actually Bengaluru mein janmi 3 saal ki Krisha lohiya sinthal gaaon mein pali badi hai lekin ek din krisha achanak se apne 3 saal ki hi umar mein pharraatedaar english bolne lagi toh ghar ke saare log chauk gaye , pahele toh ghar waale kuch samajh nhi paaye lekin baad mein bachi ne apni punarjanam ki kahani unhone sunai toh jakar unhe pura maamla samajh aaya. Krisha lohiya ka janam 12 july saal 2018 ko Bengaluru mein hua tha uske ghar waalo ka kehna tha ki Krisha ki batayi gayi baatein kitni sach hai ye toh baad mein pata chalega lekin ghar waale mann bana chuke hai ki agar bachi ne kaha toh wo usse America le jaayenge. Jabki pariwaar waale ka America se koi bhi nata nhi hai aur na hi unke paas visa hai aur na koi passport hai. Krisha ki maa ne bataya ki unki 3 saal ki beti ek din achanak english bolne lagi aise mein unhe thoda ajeeb laga kyuki unke pariwaar mein dur dur tak english ka koi bhi nata nhi hai aur nahi tha. Iske alawa TV show bhi Hindi mein dekhte the toh krisha unko dauhraate huye english mein bolne lagti jisse suun ghar waale aksar hairan ho jaaya karte the. Ek din ghar waalo ne krisha ko doctor ke paas le gaye dheere dheere krisha ki baat saamne aai aur uss din ke baad se krisha roj apne ghar waalo ko nayi nayi baatein batati hai. Uski baaton se Aisa lagta hai ki jaise wo sach mein waha maujud rahi ho aur wo har chiz ko apne aankho se dekhi ho. Jiss jagah ke baare mein krisha batati hai uske baare mein unke ghar waalo ko pata hi nhi hai lekin beti krisha ki baaton ko pariwaar ke log suun lete hai aur haan mein haan milakar jada gaur nhi karte taaki uski bhavna ko chot na lage.
Krisha ki maa se baad mein jab phir se pucha gaya toh unhone bataya ki unki beti krisha jabse bolne lagi hai tab se wo thode bahut english sabd bolti aa rahi hai, toh uspar uss waqt jada dhiyan nhi diya tha maine, lekin ek din english mein baat karna aur Mata -pita ko english mein bulana unko thoda ajeeb sa laga. Aaspaas ke logo ko dikhaya toh pata chala ki uski english bhi normal english nhi thi kyuki wo American english bol rahi thi. Yaha tak ki krisha apne roj ki normal life mein chalne waali dal – roti bhi nhi khati thi wo idli, bread ya videshi culture wala hi khana khati hai aur hindi channel ke bajaye wo sirf english channel hi tv par dekhti hai, phir wo chahe koi bhi ganna ho usse bhi wo english mein hi suuna karti hai. Uss punarjanam ki kahani se chetra ke log hairan hai ki kaise ye possible hai, purey bikaner mein krisha ke punarjanam ki kahani ek discussion ka topic bann gayi hai. Jab krisha se pucha gaya uske punarjanam ke baare mein toh usne ye bataya ki wo California ki rehni waali Srisa hai aur wo waha par yoga ki teacher thi. Krisha apne aapko kisi Church aur usme rehne waali apni teacher nun ka bhi jikar karte huye dikhai deti hai. Pariwaar ke log batate hai ki krisha kabhi apne dosto aur paaltu janwaro ka bhi jikar karti rehti hai kyuki jab usse bikaner ki rehne waali bataya jaata hai toh wo saaf inkaar kar deti hai aur bolti hai ki wo America ki rehne waali hai aur toh aur wo hamesha apne pichley janam ke dosto se baat karwane ke liye apne pariwaar se bolti hai. Wo kabhi bhi khud ko uss ghar ka hisaa nhi batati hai sirf bolti hai ki uska asli ghar America mein hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit