Jonathan ka janam Galveston, Texas saal 1954 mein ek Jewish family mein hua tha aur ye ghar ke sabse chote bache the. Saal 1961 mein inka pariwaar South bend, Indiana chale gaye the jaha Jonathan ke pitaji Morris ek award winning microbiologist the jo Notre Dame University mein padhate the. Jonathan ko Holocaust aur uske pariwar duwara saamnaa kiye jaane waale bhiyanak parinaamo ka giyan tha, aur pariwar ne Jewish bhavnawo aur Israel ke kaaran apne bacho mein excitement ki bhavna ko badhaya. Saal 1970 mein unhone paheli baar Weizmann Institute
Of science mein Rehovot mein ek science program ke dauraan Israel ka daura kiya tha phir saal 1976 mein unhone Stanford University se political science mein apni graduation ki padhai puri ki thi. Saal 1979 mein Central intelligence agency ne unhe naukri ke liye reject kar diya tha kyuki unke polygraph test mein ye paya gaya tha ki unhone saal 1974 se 1978 ke dauraan drugs ka istemaal kiya tha. Iske baad unhone kanoon aur diplomacy ki padhai karne ke liye Medford Massachusetts mein Tufts University mein bhaag lena shuru kar diya tha. Issi saal 19 September ko unhone Maryland mein Navy field operational intelligence office mein kaam ki . Ek din background sab check karte samaye NFOIO ne CIA se Jonathan ke baare mein information maangi lekin CIA duwara usse nhi diya gaya tha, lekin jab saal 1981 mein NFOIO ko uske baar baar jhut bolne ka pata chala toh unhone uski suraksh manjuri kam kar di aur usse psychiatric se help leni ki salah di halaaki baad mein sikayat darz karne aur kanoon ki madad lene ki warning dene ke baad unki suraksha manjuri mana kar di gayi thi. Saal 1984 ke bich mein unhone Israel wayusena ke ek ex ladaku pilot jo baad mein director of operations bane,Aniem Sella ke jasus ke roop mein kaam karne ka irada bataya, kuch dino ke baad june saal 1984 mein hi unhone sella ko classified data baatkar apni jasusi shuru kar di thi. Unki jasusi karne ke liye unhe 10000 dollar cash aur ek diamond aur ek sapphire ring mili thi. Lekin wo khush tab huye jab unko October saal 1984 mein unke application ka unko reply aaya aur jawab mein ye tha ki unko nausena ke commander ka spy bana diya gaya tha. Ab Jonathan bahut mann laga kar kaam kar rahe the lekin ek din FBI ko unke upar Shaq hua toh unhone socha ki kyu na Jonathan se pahele unki patni Anne se puch tach kiya jaaye lekin jab FBI ki team waha pahuchi toh Jonathan ke spy ke kaam se related jitne bhi files ya documents the usse unhone apne padosi ko de diya tha. Ab baari thi Jonathan ki lekin jab inka polygraph test hua toh Israel ke sath jasusi karne ki baat saamne aa gayi aur ye baat baad mein Jonathan ne khud accept bhi ki thi.
Jab Jonathan ki sachai saamne aayi toh unke padosi ne bhi police waalo ki madad ki aur wo saare files aur documents unko laa kar de di taaki police waalo ko uss se madad mil sake. 21 November saal 1985 ko unhone apni patni Anne ke sath bhaag kar Israel jaane ki sochi lekin guards ne unhe rok liya aur jail ke jaya gaya. Court mein sunwai ke baad unn dono ko saja mili lekin pahele jail Jonathan gaye aur uske dusre din unki patni Anne. Baad mein Jonathan ne Israel ki government se baat ki taaki unko waha ka citizenship mil jaaye lekin waha ki government ne bola ki kuch waqt lage ga aur dekhte hi dekhte kai saal bit gaye. Anne ne koi jada bada apradh nhi kiya tha isliye unhe jada saja nhi hui thi, lekin kuch saal baad Jonathan ki patni ki tabiyat kharab hone ke kaaran unko jail se jaldi release kar diya gaya aur Jonathan ko saal 2015 mein release kiya gaya tha. Abhi haal hi mein covid ke waqt jab Anne hospitalised hui toh Jonathan ne unhe divorce de di aur 7 bacho ki maa se shaadi kar li .Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit