Karan Arjun 2

Hum sab jaante hai ki jab bhi baat punarjanam ki aati hai logo ke bich excitement badh jaati hai ye jaanne ke liye ki aakhir ye kitna sach hai. Hum sab jaante hai jiska bhi janam hua hai usko ek na ek din jarur marna hai aur yahi Kudrat ka niyam bhi hai . Jo marta hai wo kisi na kisi roop mein phir se janam leta hai. Science bhi insaan ke punarjanam ki baaton ko nhi maanta hai lekin maano ya na maano jind mein ek 4 saal ke bache ne apne punarjanam ka dawa kiya hai. Bache ka punarjanam ka yeh dawa aas paas ke chehtra mein charcha ka topic bana hua hai.

Jind ke gaaon Jalalpura kalan mein vinod aur uski patni manjeet ke ghar paida hua Lavish apne punarjanam ki baatein bata raha hai. Lavish ke parijan ka kehna hai ki jab se Lavish sirf 2.5 saal ka tha toh ramra ramra pukara karata tha aur apni pichley janam ki maa kamal ka naam liya karta tha. Wo jaise jaise bada hota raha ramraye ramraye jaane ki zid karne laga tha toh parijano ko shaq hua ki kahi na kahi ye apne pichley janam ko yaad kar raha hai aur sayad ye Lavish ka punarjanam hai jiske wajah se ye ajeeb ajeeb baatein karta hai . Jab Lavish ke parijan Lavish ko Jalalpura kalan gaaon se kariban 7 kilometre dur iss ramraye gaaon mein lekar gaye toh waha maujud saare log ye dekh kar aashcharyachakit ho gaye kyuki wo log waha kabhi nhi aaye hai yaha tak ki Lavish bhi waha kabhi nhi aaya hai lekin phir bhi kaise abhi lavish hi sabko apne pichley janam ke ghar ka rasta batate huye lekar ja raha hai. Lavish galiyon se hota hua ja raha tha aur unn sab ko ye bhi bata raha thi ki pichley janam mein wo yahi apne doston ke sath khela kuda karta tha yaha tak usne ye bhi bataya ki issi gali ko paar karne ke baad hi uska ghar aata hai. Baat karte karte Lavish unke sath apne ghar pahuch jata hai, waha jaate hi Lavish ne jaise apne ghar jo paichan liya thik waise hi apne mata pita ko bhi usne turant paichan liya, wo khud ko rok nhi paya aur bhaag kar dono ko gale se laga liya. Itna hi nhi Lavish ne apne padosiyo tak ki pehchan kar daali, Lavish apne kheto tak pahuch gaya usne apne khet paichan liye aur wahi wo uss jagah tak bhi pahuch gaya jaha pichley janam mein uski current lagne se maut ho gayi thi. Wo kuch der wahi baitha raha kisi ne usse waha baithe rehne ki wajah nhi puchi.

Gaaon ramraye mein Jyotiswaroop ka pariwar rehta hai jab unse sawal kiya gaya toh pata chala ki Jyotiswaroop ji ka ek beta tha jiska naam Sandeep tha. Unhone bataya ki unka beta Sandeep ki maut 26 July saal 2006 mein current lagne se ho gayi thi. Uss samaye Sandeep ki umar 14 saal hi thi aur wo uss waqt 11 class mein tha. Lavish ko jab Sandeep ki photo dikhai gayi toh usne usse pehchanne mein deri nhi lagai aur kehne laga ki ye photo uske pichley janam ki hai. Lavish ki inn aashcharyajanak ghatnaao ko dekhkar pura gaaon aascharya mein tha. Sandeep ka pariwaar toh khushi ke maare maano pagal huye jaa raha tha, unka kehna tha ki unhe aaj bahut badi Khushi mili hai unke Sandeep ne dubaraa insaan ke roop mein hi janam liya hai aur ab wo log hamesha Lavish se milte rahenge. Jiske baad parijano ne ye baat bhi maan li hai ki punarjanam jaisi chize hoti hai aur ye baat sau aane sach hai. Udhar gaaon ke sarpanch ka kehna hai ki jo baatein Lavish bata raha hai usse toh yahi lag raha hai ki Lavish ka punarjanam hi hua hai. Gaaon ke bade bhude ka bhi yahi kehna hai ki Geeta mein lekhe anusaar jo paida hua hai uska marna nischit hai aur jo marr gaya hai uska paida hona bhi nischit hai. Janam maran sab chalta rehta hai aur issi kadi mein Sandeep ne Lavish ke roop mein janam liya hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Soldier – 2

Second Lieutenant Arun Khetarpal ka janm 14 October 1950 ko Pune Maharashtra mein hua tha. Arun ke pita ji Brigadier M. L. Khetarpal bhi Indian

Read More »
Beta 2 , Anil Kapoor, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Beta 2

Nancy ko hamesha se pariwaar ka sukh mila hai, aisa woh sochti thi. Nancy 2 saal ki thi jab uski maa chal basi. Uske baad

Read More »
Mr. India 2 , Anil Kapoor,,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Mr. India-2

Thumbnail title- एक Invention और परु ी ship गायब Mr. India-2 by Ritik Tiwari दनि ु याभर मेंनई खोज और एक्सपेरिमेंट के दौरान कई रहस्यमयी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​