Kahani ki shuruaat mein hum dekhte hai Aman naam ka ek kaidi jo by profession ek banker hota hai, vo ek jail ke andar enter hota hai. Aman ko apni wife ke murder karne ke liye umra kaid ki saja sunayi gayi hai. Jail mein Aman ki dosti Mohammad Yusuf naam ke ek mid aged kaidi se ho jaati hai, jo ki usi jail mein umra kaid ki saja kaat raha hota hai. Ek din Aman Yusuf se ek hathode or ek bade se poster ka intezaam karne ke liye kehta hai. Yusuf Aman ke liye kahin se ek hathode or ek poster jiske upar kisi heroine ki tasveer bani Hui thi, uska intezaam kar deta hai. Aman us poster ko apne cell ki deewar par taang leta hai. Aman ko jail mein dusre kaidiyo ke kapdo ki laundry ka kaam diya gaya tha.
Ek din jab Aman Jailor ke office ke pass se gujar Raha tha to usne dekha ki Jailor kisi baat ko lekar pareshaan hai. Tab Aman ne us jailor se uski pareshaani ke baare poocha, to Jailor ne Aman ko bataya ki uski ek property hai jispar state tax lag raha hai isliye vo pareshan hai. Ab kyunki Aman ek banker tha to use taxes ko lekar achii khaasi knowledge thi, isliye usne Jailor se kaha ki “ mein aapki property ko state tax se bacha sakta hu or vo bhi legal tareeke se”. Jiske baad Aman Jailor ki madad kar deta hai or kuch paper work ke baad uski property ko state tax se free kar deta hai. Ek din Jab ye tax free karne wali baat Jail ke warden Girish ko pta chali, to vo bhi an se milne ke liye gaya. Girish ne Aman ko jail mein dusre kaidiyo ke kapdo ki laundry ke kaam se hatakar computer mein data entry ka kaam de diya tha. Aman ko computer par data entry ka kaam dena to sirf ek bahana tha, Darasal Girish Aman ke banker hone or uski financial expertise ka fayda uthana chahta tha. Girish illegal tareeke se Aman ki madad se apni rishvat ke paiso ko or black money ko white mein convert karvata tha or usse maoney laundering bhi karvaata tha. Ab tak Aman ko jail mein sajaa kaatte huye 18 saal se bhi jyada ka samay beet chuka tha.
Ek din jail mein Mohit naam ka ek naya kaidi aata hai, jo ki chori ke ilzaam mein sajaa kaatne ke liye aaya tha. Kuch hi time mein Aman aur Yusuf ki dosti Mohit ke sath ho jaati hai. Aman Mohit ko Jail mein rehkar uski open schooling ki padhai poori karne mein madad bhi karta hai. Ek din ese hi baton hi baton mein Aman ne Yusuf aur Mohit ko bataya ki usne apni wife ka murder nhi kiya tha. Aman ne bataya ki ek din jab vo office se apne ghar gaya to usne dekha ki kisi ne uski wife ko chaaku maar diya hai. Or jab mene uske pet mein se chaaku nikala to usi time mere ghar par police aa gayi or sab ko laga ki mene hi apni wife ka murder Kiya hai. Or court me bhi mein apni begunaahi saabit nhi kar paya or mujhe umra kaid ki sajaa ho gayi. Aman ki kahani sun ne ke baad Mohit batata hai ki isse pehle vo jis jail mein tha, us jail mein uske sath uski cell me ek or kaidi rehta tha. Us kaidi ne Mohit ko bataya tha ki usne ek aurat ka murder kiya tha lekin uske jurm mein uska pati fas gaya. Darasal yahan par hua ye tha ki jis aadmi ne Aman ki wife ka murder kiya tha, vahi aadmi Mohit ke sath uski cell mein rehta tha. Or uss aadmi Mohit ke saamne confess Kiya tha ki usi ne Aman ki wife ka murder kiya hai. Iska matlab ye tha ki Aman ke pass ab ek chance tha ki vo apne aap ko begunaah sabit kar sakta tha or iss jail se bahar nikal sakta tha.
Kya Aman saabit kar paayega apni begunaahi ? Kya Aman nikal paayega jail se bahar ? Dekhenge iss blog ke agle part mein.