Gadar 2

Aisa nhi hai ki sirf India aur Pakistan ke bich sirf yudh ke maidan mein hi yudh hua ho kabhi kabhi desh se judi uski dharohar ko lekar bhi kai baar India aur Pakistan aamne saamne aate rahe hai aur ussi mein se ek waqt tha jab tajmahal ko lekar ye dono ek dusre ke against khade the. Tajmahal ka nirmaan Mughal badshah Shahjahan ne karwaya tha jis ki jemedaari Mir Abdul Karim aur Mukamat khan ko saupi gayi thi kyuki Mukamat khan Shah Jahan ke nirmaan mantri the. Tajmahal 42 acre jameen par bana hai aur isko nirmaan karne ka kaam January saal 1632 mein shuru hua tha. Tajmahal mein hi shahjahan aur unki Begum Mumtaz Mahal ki kabr hai. Mughalo ke haar ke baad shuruaat mein toh Britisher ne tajmahal ko loota aur usme lage saare ratn bhi chori kar liye the lekin bahut baad mein british viceroy lord Curzon ne Tajmahal par dhiyan dena shuru kar diya tha aur uske baad mein maramat karwayi thi. British se azaadi ke baad Tajmahal par pehla khatra saal 1965 mein mandaraya tha jab Pakisthanio ne apne mansubo ko pura karne ke liye kai saari chaale chaley the. Pahele toh prime minister Jawaharlal Nehru ki maut ho chuki thi aur central mein Lal bahadur Shastri ki sarkar thi . Unhi dino Pakistan ne kachchh ke bade hisse par apna haq jatana shuru kar diya aur August mein India aur Pakistan ke bich issi wajah se yudh shuru hui thi. Uss yudh mein dono desho ne sirf apni air force ki takat dikhane ke liye ek dusre par andha dhun firing ki thi aur issi baat ka darr India ko tha kyuki Tajmahal India ki one of the best monuments mein se ek hai jisse 8 wonders mein bhi gina jata hai bas yahi ek darr tha India ko ki agar uss yudh mein Pakistan sena ne agar tajmahal par hamla kar diya toh Tajmahal ko bahut nuksaan pahuch sakhta hai aur wo ek Mahal se khandar mein badal sakhta hai. Indian government ne Tajmahal ki safety ko maddenajar rakhte huye usse dhakne ka idea diya tha jisse execute karte hi iske liye ek black colour ka vishaalakaay kapda silwaya gaya tha kyuki isse Chandni raat mein Tajmahal aasman se dikhai nhi deta tha, yaha tak ki ye bhi bataya jata hai ki saal 1995 tak uss cover ko safe rakha gaya tha lekin baad mein choohon ne usse kaat kar barbaad kar diya tha.

Azaadi se pahele bhi ek baar Tajmahal par khatra chaya rehta tha aur wo waqt tha saal 1942 mein second world war ke dauraan bamavarshak vimaano se Tajmahal ki raksha ke liye baans ke manchaan banaye gaye the. Hamlawaro ko gumrah karne ke liye Tajmahal ko baans se kuch iss tarah dhak diya gaya tha ki wo baans ka dher dikhe, sirf gumbad ko cover karne ki tasveer toh hai lekin baad mein government ne tasveer khichne par rok laga di thi isliye puri tarah se dhake Tajmahal ki tasveer nhi hai. Saal 2001 mein 11 September ke maamle ke baad bhi bhartiya puraatatv sarvekshan ne ehatiyaatan Tajmahal ko kapde se dhaka tha, aisa karne mein unhe 20 din se jada ka samaye laga tha. Tajmahal ko shahjahan ne apni patni ki yaad mein banwaya tha kyuki Mumtaz Mahal ne ek sapne mein ek sundar Mahal dekha tha aur iska zikar unhone shahjahan se kiya tha. Lekin wo Tajmahal dekh paati usse pahele unki maut ho gayi thi wo bhi apne 14th bache ko janam dete huye, Mumtaz Mahal 30 ghante tak labour pain mein thi. Mumtaz Mahal ko kuch na ho uske liye Shahjahan ne garibo mein paise bhi batwai thi lekin sayad mumtaz mehal ka wo Mahal wala sapna, sapna hi reh gaya. Lekin marne se pahele unhone Shahjahan se ek wada liya ki wo unke baad kisi aur mahila se santan paida nhi karenge aur unhone apne sapne ke baare mein bhi unhe bataya ki unhone apne sapne mein ek sundar sa Mahal dekha tha jiske aas paas ek khubsurat sa garden bhi tha. Unhone shahjahan se kaha ki ye unki gujarish hai ki aap meri yaad mein waisa hi ek makbara banwaaye sayad yahi ek main wajah thi ki shahjahan ne Tajmahal banane ke liye Yamuna nadi ke kinaare ki jagah chuni aur wo ye bhi chahte the ki imarat ke sath sath garden bhi ho jiski sinchaee ke liye unko dher sara paani chahiye tha aur issi wajah se Tajmahal ko nadi ke kinaare banaya gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Kuch Kuch Hota Hai 2 Sara Ali Khan, Vijay Devarakonda, Janhvi kapoor

Kuch Kuch Hota Hai 2

जिस फिल्म के साथ करण जोहर ने डायरेक्शन की दुनिया में डेब्यू किया वह कुछ कुछ होता है फिल्म बहुत सारी बच्चों के लिए मशहूर

Read More »

Soldier 2

Major Somnath Sharma ka janm 31 January 1923 ko Himachal Pradesh ke Kangra District mein hua tha. Major Sharma apne parivaar se Army mein serve

Read More »
Gadar 2

Gadar 2

फिल्म गदर हो या गदर 2 इसका हिस्सा होना सभी का सपना होता है और उस सपने को जीने का मौका मिला एक्ट्रेस सिमरत कौर

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​