Karan Arjun 2

Jab hum punarjanam ki baatein karte hain toh pahele hamare dimag mein yahi sawal aata hai ki ye kaise possible ho sakhta hai koi mar kar bhi dusre roop mein kaise aa sakhta hai. Aisa hi kuch hua hai Faridabad ke Tushar ke sath jiska kehna hai ki uska punarjanam hua hai aur wo apne pichley janam ke gharwaalo ko bahut yaad karta hai,usne ye bhi bataya ki wo ki wo bahadurpur ka niwashi hai aur uske pichley janam ka naam Surender tha itna sunte hi gaaon se saare log soch mein dub gaye ki ye kaise mumkin hai ki koi kisi ka punarjanam lekar aa sakhta hai.

Baat hai gaaon Mandhavali ke niwaasi Dinesh ki jinke do bete hai Raunak aur Tushar, jab Tushar ki mummy se Tushar ke baare mein pucha gaya toh unhone bataya ki Tushar ka Janam 25 March saal 2009 mein hua tha , Tushar bachpan se hi chulbula aur shararati bacho mein se tha . Lekin jab Tushar 3 saal ka hua aur bolna shuru kiya toh wo hamesha bahadurpur ki naam leta rehta tha, aur jab usse school mein dala gaya tha tab wo 4 saal ka tha aur nursery class mein padhai kar raha tha, uss waqt bhi wo hamesha bahadurpur ki baatein kiya karta tha ek din toh usne hadd kar di thi jab uss school mein bahadurpur ke bache aaye the toh usne khud ko bahadurpur ka niwashi bata kar waha jaane ki zid karne laga, pahele toh unn sabko laga ki bacha hai sayad gaadi ghoda dekar kar waha jaane ki zid kar raha hai isiliye kisi ne bhi uske baat par jada dhiyan nhi diya, lekin jaise maano Tushar ne ye roj ka kar liya tha wo jab bhi school jata chuti ke waqt aisa hi karta aur nhi bolne par wo bus ke pichey bhaag jaya karta tha. Ek din toh aisa hua tha ki wo kuch jada hi dur nikal gaya tha bhagta bhagta lekin phir uske pitaji ne usse pakad liya tha. Jab usse ghar laya gaya aur usse ye sab badmashi karne ka kaaran pucha gaya toh usne bola ki wo koi badmashi nhi kar raha hai uska sach mein bahadurpur mein bhi ghar hai , jab iss baat ko gharwaalo ne suna toh Tushar ke pitaji ne uski daat lagayi jiske baad usne clear bataya ki uske pichley janam ka ghar bahadurpur mein hai, itna sunte hi sab chauk gaye kisi ko bhi iski baaton par biswas nhi hua, usne sabko yakeen dilaane ki koshish ki lekin kisi ko bhi uski baaton par bharosa nhi hua. Usne uss waqt wahi kiya jo usse thik lag raha tha wo phir se roj ki tarah school gaya aur iss baar bhi usne bus ke pichey bhaagne ki koshish ki toh iss baar uske dada ji ne usse rok liya aur usse ghar le jakar aache se saari baatein puchi. Usne bataya bhi ki pichley janam mein uska naam Surender tha aur wo bahadurpur mein rehta tha. Yaha tak ki wo qurier vibhaag mein kaam karta tha aur uske do bete aur 3 beetiyan bhi hai . Itna sunte hi Tushar ke dada ji ko thoda bahut Tushar par yakeen hone laga phir unhone pucha ki teri maut kaisi hui thi toh Tushar ne bataya ki ek raat ko wo kaam se wapas aa raha tha usse piyash lagi toh wo tubewell ke paas jakar paani pine laga lekin tabhi uski pairr pichal gayi aur wo tubewell mein ja gira jiske dubne ke baad uski maut ho gayi thi, ab jakar Tushar ke dada ji ko uske baaton par yakeen aa raha tha toh unhone socha ki kyu na waha jaaye aur sachai ka pata lagaye.

Tushar uske ghar waale sab nikal pade bahadurpur jaane ke liye jab wo sab ja rahe the toh unko rasta koi aur nhi Tushar hi bata raha tha . Jab wo log bahadurpur pahuche toh waha jaate hi pahele wo waha ke Devi mandir gaya aur waha se bhagte huye apna ghar. Waha pahuchte hi usne sabko paichan liya aur saari kahani apne pichley janam ke gharwaalo ko batayi, unhe toh pahele inn sab baaton par biswas nhi hua lekin jab kuch baatein aisi thi jo sirf surender aur unke family ko hi pata thi , jab unn mein se sawal kiye gaye aur Tushar ne jawab de diya toh ghar ke saare logo ko uske baat par biswas ho gaya. Kuch der ke baad Tushar uss tubewell ke paas gaya jaha uski maut hui thi phir thodi der baad wo waha se wapas aa gaya . Dono ke gharwaale ab khush hai aur Tushar ko dono ghar mein aane, jaane aur rehne ki manjuri hai toh ye kahaani ho Sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

GADAR 2

Gadar 2

साल 1947 india pakistan के बंटवारे का दिन, इस समय तक मुस्लिम nationalism अपने चरम पर था, All india muslim league की लीडरशिप में मुस्लिम

Read More »

Soldier 2

Hamne bahut saare aise soldiers ki kahani suuni hai jinhone apne desh ke liye ladkar apni jaan kurbaan kar di ho ya apne desh ke

Read More »
Gadar 3

Gadar 3

आख़िरकार इतने दिनों के इंतज़ार के बाद फ़िल्म गदर 2 को रिलीज़ कर ही दिया गया। लेकिन एक्टर सनी देओल ने audience को impress करने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected