Aruna Asaf Ali ka naam history ki kitabon mein kayin likha hoga, magar shayad Quit India Movement yaaniki Bharat Chodho Andoland ke samay Aruna bilkul “talk of the town” bann gayi thi. Tab Aruna 33 saal ki thi. Aruna ek educator, political activist aur publisher thi. Woh ek convent school ki padhi hui ek bahut hi opinionated aurat thi uss samay ki. Harr galat baat par awaaz uthana woh apna haq samjhti thi. Isi liye hi shayad aaj bhi unke baare mein baat ho rahi hai.
1942 mein Aruna ne woh kar dikhaya tha, jiski himmat kisi mein nahi thi. Tab Britishers India par kabzza jamaye baithe the, aur Indians ko kaise kutton ke jaise rakha jata tha, kaise naukaron jaisa bartaav kiya jata tha, yeh toh kisi se chuppa nahi hai. Jo Indians Britishers ke saamne sar uthaane mein bhi darte the, ki kayin unka sar hi naa kaat diya jaaye, uss daur mein Aruna ne Indian National Congress Flag lehra diya tha.
Bilkul, Gowalia Tank Maidan jo ki tab ke Bombay mein hua karta tha, wahan Aruna ne iss jhande ko khuli hawa mein lehraane ka nidar kadam uthaya tha. Yeh himmat unhein mehngi padhi thi, magar khuli hawa mein jhandhe ko bina darre lehraane ka jo saahas Aruna ne tab dikhaya tha, uski charcha aaj bhi hoti hai. Yeh unhone raat ke andhere mein nahi, balki subah ke ujaale mein kiya tha.
Iske baad bhi woh ruki nahi. Woh turant hi underground hogayi thi aur unhone apna ek alag aandolan shuru kardiya tha. British officers ne inko dhundhne ke liye harr jagah apne aadmi phaila diye the, magar iss se Aruna darri nahi thi. Aruna ka ghar bhi hadap liya gaya tha, aur uski bina manzoori ke Britishers ne usse bech bhi diya tha. Magar Aruna ka ek hi maksad tha, aur woh tha angrezon ko dara dara kar India se bhaar nikalana.
Kayin hadd tak angrez Aruna se darre bhi the. Woh jaannte the ki Aruna padhi likhi hai, aur sabse zyada woh logon ko apni baaton se unke against bhi kar sakti hai. Isi liye Britishers ne khaas Aruna ko dhundhne ke liye prize money bhi ghoshit kiya tha. Angrezon ne uss zamane mein 50,000 rupay dene ka vada kiya tha jo koi bhi Aruna ko dhundh kar lekar aata. Woh Aruna se itna darr gaye the. Magar uss samay tak India mein Britishers ko bhaar nikalne ka jazbaa aa chuka tha, isi liye sab Aruna ki taraf the.
Toh bus aisa hi powerful character hamein RRRR mein dekhne ko mil sakta hai. Pichli baar Alia Bhatt logon ko khoob pasand aayi thi, toh kya pata iss baar unka role aisa kuch dikahya jaaye.
Description
Aruna Asaf Ali was a brave woman who hoisted Indian National Congress Flag during Quit India Movement in 1942.
-By Pratima Ratwani.