Singham 3

Police alag alag tarike se gunhegaaron se confession lene ki koshish karti hai. Aisa hi kiya tha 2007 mein People v. Smith ke case mein. Smith ek gunhegaar tha jisse Police wale sach nikalwaane ki kosish kar rahe the. Kya case tha, kyun tha yeh important nahi hai. Important hai toh yeh ki Police waale kaisi kaisi takneek se yeh kar rahe the. Waise toh Police sachi hoti hai aur chor jootha hota hai, magar yahan Police ko hi chor bann na padha.

Hua yun ki Police kayin dino se saboot dhundhne ki koshish kar rahi thi ki kayin se kuch Smith ke khilaaf mil jaaye. Ilzaam tha ki Smith ne goli chalayi thi, jiski wajah se kayin log maare gaye the. Magar naa toh gun mili aur naa hi koi aur saboot. Koi eyewitness nahi tha, toh kisi ne gun ki awaaz tak nahi suni. Thi toh bus laash aur kuch Smith ke fingerprints. Magar Smith ne yeh keh diya tha ki woh uss din nahi balki usse ek din pehle hi uss ghar mein gaya tha, isi liye uske fingerprints milna koi badi baat nahi thi. Padosiyon ne confirm kiya tha ki murder se ek din pehle unhone Smith ko dekha tha, magar murder waale din nahi. Lekin Police sure thi ki Smith hi gunhegaar hai.

Bus isi liye unhone ek chaal chali.

Uss din Smith ko alag lejaya gaya. Sabse pehle Smith ke haath ek soap yaaniki sabun se dhulwaaye gaye. Woh sabun darsal sabun jaisa nahi dikhta tha. Woh ek normal spray bottle mein dala gaya tha, aur smith ke haathon par khaas kar anghute par chidka gaya tha. Phir ek paper towel mein uske prints liye gaye. Itne mein doctor ko instruct kardiya tha ki kaise Smith ko gumrah karna hai. Smith tha toh gunhegaar hi, isi liye woh darr raha tha. Doctor ne khud kuch nahi kaha, magar Police jaanti thi ki Smith Doctor se zaroor puchega.

Smith ke puchne par doctor ne usse kaha ki yeh “Neutron Proton Negligence Intelligence Test” hai, aur iss substance se 10 din purana gunpowder bhi result mein aayega, jisse pata chalega ki minister sahab ko goli tumne maari hai ya nahi.

Smith ko laga ki agar woh surrender kardega toh usse kam saza milegi, aur usne wahi kiya. Police ne bina kuch kare bus thoda sa dimmag laga kar Smith se qubool karwa liya. Aur isse pata chal gaya ki akhir minister sahab par goli chalayi kisne thi.

Bus Singham bhi aisi hi tarkeeb se movie mein aapko chauka sakta hai.

Description

Smith was tricked by a police officer. There was no evidence against him, but a smart police officer took confession from him.

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Golmaal

Golmaal 5

Golmaal ने मचाया तहलका? गोलमाल 5 की बात करने से पहले, हमें पता है कि हर किसी के लिए “most entertaining comedy film” का definition

Read More »
dunki

Dunki

शाहरुख खान पूरी बैग वैग पहनकर रेडी है डंकी मूवी में काम करने के लिए, क्या आपको पता है कि डंकी मूवी को ऑफर करने

Read More »
Wanted 2 Salman Khan ,Prabhu Deva, by Masumi sachdeva bollygradstudioz.com

Wanted 2divanshu

Thumbnail- खतरे में Insaniyat पुलिस isabella को मर्डर के आरोप में ढूंढ रही होती है तभी पुलिस को 2851 साउथ पार्क रोड से फोन आता

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​