Humne kai baar suna hai ki padosi se bada apna koi nhi hota hai sayad issi baat ko Uttar Pradesh ke criminals ne kuch jada hi serious le hai kyuki jidhar bihar mein criminals ki Kami nhi hai thik waise hi uttar pradesh mein bhi bahut saare aise criminals hai jinke naam se waha ke log kaapte hai aur unhi criminals mein se ek the Prem prakash singh jinko Munna Bajrangi ke naam se bhi jana jata hai. Munna Bajrangi ji ka janam 2 june saal 1967 ko jaunpur, Uttar Pradesh mein hua tha, unke gharwaale kisaan the lekin Munna Bajrangi ka mann kisaan ki tarah kaam karne mein nhi lagta tha isliye unhone kaaleen ki kaam ko sikhna shuru kar diya tha. Jab Munna Bajrangi sirf 14 saal ke the toh unhone kabhi nhi socha hoga ki unki itni jldi shaadi ho jayegi aur gharwaalo ne unki shaadi karwa di, shaadi ke 4-5 din ke baad hi wo saare paise lekar bhaag gaye aur bhaage bhi toh apne chacha ke yaha jaha unka ek aadmi Bhullan Singh ke sath vivaad ho gaya tha. Jab uss Bhullan Singh ne Munna ke chacha ko gaaliyan di toh ye baat unse bardaas nhi hui aur unhone 250 rupay ki pistol kharid kar direct Bhullan Singh ke ghar ja pahuche aur Bhullan Singh ko dekhte hi unhone unke upar fire kar diya jiss se Bhullan Singh wahi maara gaya aur iss murder ko karte huye Munna Bajrangi jurm ki duniya mein dakhil ho gaya. Jurm ki duniya mein aate hi Prem prakash singh ne khud ka naam Munna Bajrangi rakh liya aur bas yahi se Munna Bajrangi ne apni tabadtod waardaatoh ko anjaam dena shuru kar diya tha aur waha aisa kohraam machaya ki log ab iske naam se darne lage the. Munna Bajrangi abhi chote mote waardaatoh ko anjaam deta aaya tha lekin jab uski mulaakat mukhtaar ansari se hui toh tab se wo Uttar Pradesh ka sabse bada don bann gaya tha. Munna se mukhtaar ki pehchan uske dost Anil Singh aur Kalaam jiski biwi Rabia vidhayak reh chuki thi, toh inn done ne milkar ye kaarwai ki thi. Mukhtaar ke kehne par Munna ne kai murder kiye the, ek baar toh Munna ko goli bhi lag gayi thi lekin uss waqt uski jaan Mukhtaar ne bachai thi jiske baad dono ki dosti aur majbut hoti chali gayi. Mukhtaar ke kehne par Munna Bajrangi ne paheli baar ek politician ki murder ki thi wo bhi Kailash dubey ki jo block ke leader aur BJP ke neta the. Issi dauran don mukhtaar white collar bann gaye aur politics mein unki entry vidhayak ke taur par ho gayi thi phir toh Munna Bajrangi ko ab political security bhi milne lagi thi.
Saal 1998 mein Munna Bajrangi ki apne doston ke ghar sima singh se mulakaat hui jo baad mein piyar mein badal gaya tha, dono ne haridwar mein police ki najro se bachkar shaadi kar li thi lekin ussi saal uttar pradesh ke STF ne Munna Bajrangi ko gher liya tha jisme Munna ko police ki kai gooliya lagi thi jiske baad police waalo ne ye dawa kar diya tha ki Munna Bajrangi mara ja chuka hai lekin jab uski dead body ko hospital se laane ke liye kuch officers gaye toh unhone dekha ki Munna abhi bhi zinda hai, aur kuch din baad uski beti hui. Munna ko hiraasat mein le liya gaya tha aur usse saal 2002 mein tihaad jail mein daar diya gaya tha lekin jail se aate hi usne Mukhtaar se madad maangi aur iss baar wo mumbai mein jakar baith gaya tha. Saal 2005 mein phir se Munna ke liye warrant jaari kiya gaya tha kyuki iss baar usne sare aam BJP ke neta Krishnanand Rai ko goli maar di thi wo bhi AK-47 se aur itna hi nhi uss encounter mein sirf Krishnanand Rai nhi balki aur 6 log bhi maare gaye the. Uss din ke baad se Munna most wanted criminal bann gaya tha, uss din ke baad se police officer ke bich ye halchal mach gayi thi ki ab kisi bhi haal mein Munna ko pakadna hai. 29 October saal 2009 mein ek dum filmy tarike se usse giraftaar kiya gaya aur kabhi tihaad jail toh kabhi uttar pradesh ke jail mein usse rakha jaata tha kyuki wo jail ke andar bhi kaidiyon se waasuli kiya karta tha.
9 July saal 2018 ki subha karib 6:39 baje jail ke andar ganster Sunil Rathi ne Munna Bajrangi ke sar par 10 goli maar kar hatya kar di gayi thi aur uss waqt kisi ko bhi iss baat ki bhanak tak nhi lagi thi kyuki utni subha kaidiyon ko chai di jaati thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit