Black Tiger

Spy agents ki baat ki jaaye toh jitna naam Russia ka hai isme shayad hi kisi aur desh ka hoga, ussi mein se ek thi Russia ki khufiya agent Anna Chapman jinko saal 2010 mein america mein jasusi karte huye pakda gaya tha. Inki khubsurati aisi thi ki koi bhi inn par shaq kar hi nhi pata tha aur Britain ke citizenship ke liye inhone waha ke ek shaqs se shaadi kar li thi. Anna ka janam 23 Feburary saal 1982 ko Kharkiv mein Anna Vasilyevna Kushchenko ke roop mein hua tha. Unke pita Kenya ke Nairobi mein Soviet embassy mein kaam karte huye ek senior KGB adhikaari the, aur inka ghar south -west ramenki district mein hai jo ek baar kGP adhikariyo, mid range ke raajanayikon aur sena ke adhikaariyon ke liye ek elite district tha.Komsomolskaya Pravda ke anusar Kushchenko apne foreign affairs suwara spy agent mein ek senior post par rakhi gayi. Apne ex husband ke anusar Anna ne Moscow state university se apni economics ki degree li wo bhi first class se aur baakiyon experts ka ye kehna hai ki unhone People’s Friendship University of Russia se apni graduation ki thi. Duniya ke sabse bade desh mein Russia aur gareeb desho mein gina jaane wala Ukraine hai jisne vartamaan mein yudh ka saamna kiya tha. Ukraine par Russian ke hamle ko Aaj kai din purey ho chuke hai, aur ab tak Ukraine se 10 lakh se adhik log palaayan kar chuke the, jabki Russia ko bhi yudh se kaafi jaan – maal ka nuksaan hua tha aur ussi bich russia ne Anna Chapman ko spy ke taur par rakh liya tha.
Ek samaye aisa tha jab America aur russia mein har kisi ki zuban par russian speaker agent Anna Chapman ka naam tha, jitni unki Khubsurati ke charche the usse kahi adhik log unke kaarnaamo se prabhavit the. Ab 40 ki umar mein pahuch chuki Anna Chapman aaj bhi bahut khubsurat hai aur media report ke mutabik wo America mein rehte huye Russia ko kaafi madad pahuchati thi halaaki apne tenure mein kabhi bhi iss baat ka pata unhone American ko nhi lagne diya. Anna Chapman ki Russia waapsi uss samaye hui jab unke jagah par Russia ne ek American spy ke sath unki adla badla ki aur apne desh ke liye farz nibhate huye unhone kai khatron ka bhi saamna kiya halaaki ab Anna retire ho chuki hai aur bator model kaam karne lagi hai. Anna jab ramp par utri toh unki Khubsurati dekh log bhi apna dil de baithenge aur itne saalo baad Anna ab phir se social media par limelight mein hai. Anna Chapman khul kar Instragram par Russia ke president Vladimir Putin ke agenda ka samarthan kar rahi hai unhone apne social media profile par Ukraine ke khilaaf russia ke bartav ki taarif ki, Anna ne caption mein likha Maine isse pahele patriotism ki aisi lehar apne desh aur russian logo mein kabhi nhi dekhi hu toh aapko iske liye thank you. Jab ek interview mein Anna se pucha gaya ki jab wo pakdi gayi thi toh unko kaisa feel ho raha tha toh unhone bataya ki unko bilkul bhi ajeeb ya shock nhi laga kyuki unka pura ghar jasuri background se belong karta hai. Cold war ke time Anna america mein russia ke liye jasusi karti thi, unhone america mein apna ghar bhi bana liya tha aur Anna ke paas britain ki citizenship bhi thi. Jab saal 2009 mein Anna Chapman London chor kar america ke new york settle ho gayi thi toh unhone america mein khud ko linkedin Social networking site profile par property finder LLC naam ki ek company ka CEO bataya tha, lekin unka asli kaam russia ke liye america mein jasusi karna pada tha iss dauraan wo apni khubsurati ke dum par Anna ne america ke kai politicians, industrialists aur bank officers ko phaansakar apna kaam nikalwaya tha aur sath hi sath wo saare documents jo america ke personal documents the. Officers ne dawa kiya ki Anna Chapman ne dusro ke ek network ke sath kaam kiya aur jab tak ki ek undercover agent ne usse manhattan coffee shop mein ek jaal mein khicne ki koshish ki . FBI agent ne Chapman ko ek nakli passport dene ki peshkash ki sath hi isse dusre jasus ko bhejne ka order diya tha. Jab Chapman se pucha gaya ki kiya wo swipe ke liye ready hai toh toh unhone bola beshak, uske baad usne pasport le li lekin Moscow mein apne pitaji se phone par baat karne ke baad jispar Chapman ne unki salah mani aur ek local police ko apne passport submit kar diye jiske baad unhe giraftaar kar liya gaya tha.
Home minister ne 13 July saal 2010 ko uski citizenship cancel karne ke liye important paper ko issue kiya gaya aur Chapman ko bahar karne ke kiye ek kadam uthaya gaya jiska ye matlab tha ki wo kabhi UK mein nhi ja sakhti hai. Anna ke russia jaane ke baad bom ne dohraya ki unke client ne britain mein rehne ki icha jatayi thi aur unhone ye bhi kaha ki wo apni britain ki citizenship ke repeal aur desh se bahishkaran se pareshan thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

DUNKI

Dunki

लो भाई आखिर पता चल ही गया कि, क्यों डायरेक्टर राजकुमार हिरानी कम फिल्में बनाते हैं। हिरानी बहुत कम ही मीडिया से बात करते हैं,

Read More »

Dunki

डंकी का ड्रॉप वन तो आ गया लेकिन जो जादू राजकुमार हिरानी ने पीके और मुन्ना भाई के टीजर और ट्रेलर के साथ क्रिएट किया

Read More »
Jawan

Jawan

Mumbai से Goa जाने के लिए हमसफर नाम का जहाज़ बहुत प्रसिद्ध है। ये जहाज देखने में जितना खूबसूरत है उतना ही मजबूत है। मगर

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​