Gadar 2

Azaadi ke baad mano jaise pakistan ke par hi nikal gaye ho usse toh ab har taraf sirf aur sirf khud ki maujudgi dikh rahi thi aur agar uska bas chalta toh wo purey India ko hathiya leta lekin hamare jabaaz sainiko ne uss waqt bhi pakistan ke buri najron se India ko bachaya hai aur aaj bhi bachate aa rahe hai. Azaadi ke saal 1965 mein India aur Pakistan ke bich jo kuch bhi hua wo kai pideeyo ko aaj bhi yaad hai, dono desho ke bich yudh ne dono desho ki disha aur dasha badalkar kar rakh di hai. Iss jung ne 58 saal purey kar liye hai hairani ki baat ye hai ki aaj tak pakistan iss jung mein mili haar ko maanne ke liye taiyaar ho nhi hai. Bharat aur Pakistan ke bich ki jung ki aadhaarashila shayad saal 1947 mein azaadi ke samaye hi tai ho gayi thi, uss samaye kai muddon ke bich Kashmir bhi dono desho ke bich bada mudda tha jo iss yudh ka karaan bana tha. Kashmir controversy se alag gujarat mein maujud kachchh ke ran ki sima bhi uss samaye ek controversy ki topic thi. Iss sima par pakistan ne January saal 1965 se patrolling shuru kar di thi, iske baad yaha par ek ke baad ek dono desho ke bich 8 April se post controversy shuru ho gayi thi. Uss samaye ke british PM Harold wilson ne dono desho ke bich iss controversy ko suljhaane mein badi bhumika nibhayi thi, aur iss controversy ko khatam karne ke liye ek tribunal ka gathan kiya gaya tha, ye controversy saal 1968 mein jakar suljhaa tha lekin usse pahele hi inn dono desho ke bich yudh ho chuki thi. Pakistan ko lagne laga tha ki uske sena leader General Ayud khan ne jab kachchh sima ke controversy ko hal tak pahuchane mein madad ki hai toh phir wo India se kuch bhi hasil kar sakhte hai. Kachchh ke baad Pakistan ne Kashmir ko apne kabze mein lene ke liye planning banani shuru kar di thi. Iss planning ke dum par usne Indian army ko Kashmir mein gherne ki planning banayi lekin uski ek nhi chali aur Indian army ne usse karara jawab diya.

5 August saal 1965 ko india ke 26,000 aur Pakistan ke 33,000 sainiko ne line of control ko paar kiya tha taaki kashmiri local ke andaaz mein ye sainik kashmir ke kai ilaako mein pahuch sake aur wo asaani se waha pahuch bhi gaye the. 15 August ko Indian army ne uss samaye tai ki hui seizefire line ko paar kar dala tha. Pakistan ne Kashmir ke URI aur punchh jaise ilaako par apna kabza kar kiya tha toh wahi India ne Pok se karib 8 kilometre duri par stith haazi peer paas ko apne kabze mein kar liya tha. Iske baad Pakistan ne 1 September saal 1965 ko operation grand slam ke naam se ek khaas mission shuru kiya tha jiska maksad Jammu ke akhnoor sector ko apne kabze mein lena tha. Iss operation mein Indian army ko khasa nuksaan pahuchaya aur kai supply routes ko kharab kar diya tha. Pakistan ki aur se ho rahe hamlo ke baad bhi Indian army ne Pakistan ko muhtod jawab diya aur Haaji Peer paas ko apne kabze mein rakh liya tha. Pakistan ki aur se chalaya gaya operation grand slam buri tarah se fail ho gaya tha. Apne upar hamla badhta dekh pakistan ne Kashmir ke sath hi Punjab ko nishana banana shuru kiya lekin iss baar bhi unhe muh ki khaani padi. 6 September ko India ki taraf se iss yudh ki shuruwat ki aadhikaarik announcement ki gayi thi, ye yudh 23 September saal 1965 ko khatam hua tha. Experts ki maane toh India aur Pakistan ke bich hui iss jung mein tankers ka istemaal second world war ke baad sabse jada istemaal hua tha. Pakistan ke paas uss samaye America mein bane kai behtareen tankers the jinme pattern AM-47, AK-48 aur AM-4 sherman tanks khaas taur par shamil the. Inn tankes ki wajah se Pakistan ne shuruwat mein India par hawai hone ki koshish ki thi lekin India ne bhi dikha diya tha ki wo chiz kiya hai. Yeh yudh India aur Pakistan dono ke liye hi intelligence failure ka sabse bada example tha lekin iss yudh ke baad duniya aur Asia mein India ki ek nai pehchan bani thi, uss samaye time magazine ne likha tha ki saaf ho gaya hai ki India ab duniya mein asian takat bankar ubhar raha hai. India aur Pakistan ke bich ye yudh saal 17 dino tak chala, aur dono hi pakshon ko jaanamaal ka kaafi nuksaan uthana pada wahi dusri aur wo kai paschim desh aur maanne lage the ki iss yudh mein Pakistan purey samaye Indian army par hawai raha jabki asal baat kuch aur thi. Halaaki aaj tak iss yudh ko lekar kai tarah ke controversy ka jikar hota rehta hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

Professor ki maut ki khabar police ko dene ke baad Raju, Shyam aur Babu bhaiya naksha lekar apne ghar ki taraf jaane lagte hai. Lekin

Read More »
Mr. India 2 , Anil Kapoor,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Mr. India 2

मिस्टर इंडिया फिल्म के बारे में सभी को पता है कि lead role के लिए अनिल कपूर को बतौर अरुण वर्मा दिखाया गया था, जिनके

Read More »
Balwaan 2

Balwaan 2

बलवान फिल्म की शूटिंग के दौरान मेकर्स कुछ खास या नया नहीं करना चाहते थे , वो बस कोशिश कर रहे थे कि फिल्म की

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​