Cheen liya gaya tha logon ke muh se niwala. Apne logon ko bachane ke liye aur power mein banne rehne ke liye angrezon ne insaaniyat ka bhi gala ghot diya tha.
Baat hai 1866 ke Orissa mein pade akaal ki.
Abb Hindustani hamesha se kheti baadi par jeete aaye hain, aur angrezon ke raj mein bhi yahi hota tha. Magar Orissa mein unn dino kuch khaas barsaat padh nahi rahi thi, jiski wajah se fasal naa ugg rahi thi, aur naa kisaan usse angrezon ko bech paa rahe the paison ke liye. Inn kisaano ne zindagi ka sabse bura waqt tabhi dekha tha. Ek toh angrezon se madat milne ki koi umeed nahi thi, aur toh aur yeh angrez itne nirday nikale ki inhone inn kissano ke muh se niwala cheen na start kardiya tha.
Baat yeh hui ki Orissa mein jab yeh akaal padh chuka tha, tab angrezon ne jo bacha kucha ration tha woh bhi bhijwana band kardiya tha. Unke hisaab se unki policy thi “No relief is the best relief”. Iska matlab yeh tha ki Orissa mein lakhon log the jinhein 1 waqt ki roti nahi mil rahi thi. Aise mein angrezon ke paas ration toh tha magar itna nahi ki woh sabko bacha sakein. Isi liye unhone chaal chlakar ration ko redirect kardiya tha dusre state mein. Unke hisaab se woh logon ko kitna hi khila paate. Aise mein unki peedha kuch aur din chalti agar unhein thoda sa khana mil jata. Isse acha woh bookhe rehkar 4 yaa 5 din mein marjaayein toh hi thik hoga. Yaaniki agar ration wahan nahi gaya, toh unko jaldi iss musibat se chutkara milega. Isi liye angrezon ne akaal ke samay dikkatein aur badha di thi.
Ismein jale par namak tab chidhka gaya tha jab inn bookhe logon ke saamne jo Orissa mein kaam kar rahe, yaa Orissa mein posted angrez the woh bhar pet khana khate the. Yaaniki akaal mein angrez apne officers ko shahi dawaat wala khana dilwate the. Unke liye fruits se lekar juices tak sab diya jaata tha. Aise mein inn bookhe logon ke saamne yeh officers chao se khate the, aur inhein ek dana bhi naseeb nahi hota tha. Bahuton ki puri ki puri family iss akaal mein chal basi, toh kinhein logon ko nutrition ki kami ki wajah se kuch bimaariyan hogayi jo aaj tak bhi unki aane wali pedhi mein dikhti hai.
Aise mein angrezon ne apna maksad saaf kardiya tha, ki woh yahan par kisi ke sage nahi hain. Woh yahan raj karne aaye hain, aur wahi karna tha unhein. Iss akaal ke baad bahut logon ke dilon mein angrezon ke liye nafrat badh gayi thi. Aise mein kuch naujawano ne tay karliya tha ki woh inn angrezon ko tadpa tadpa kar iss desh se zaroor bhaar nikaalenge.
Toh bus aisa hi “dark past” hamein RRRR mein dekhne ko mil sakta hai. Haan koi naujawaan movie mein zaroor dikhaye jaayenge jinhein angrezon se ladhna hai. Magar unke dil mein yeh badle ki aag kyun ayi, uski story isse match kar sakti hai!
Description
Britishers made life hell for the people who were starving during the 1866 Orissa famine.
-By Pratima Ratwani.