Black Tiger

Anthony Blunt ek aise Spy agent mein se the jinhone apni puri padhai ki uske baad apni marzi se unhone spy agent ka kaam bhi kiya lekin ek waqt aisa aaya jab unhone kaha ki as a Spy agent kaam karana unke liye wo sabse galat decision tha aur uss decision ka regret unko marte dum tak tha. Blunt ka janam uss samaye Hampshire ke Bournemouth mein hua tha lekin ab wo Dorset mein hai, blunt apne pitaji Arthur Stanley Vaughan Blunt aur maa Hilda Violet ke teesre aur sabse chotey bete hai aur Anthony ke dada ji ek Bishop Frederick ek blunt the. Anthony ko padhne ke liye british embassy Chapel ke sath Paris bheja gaya tha aur Anthony ke bachpan ke dauraan kai varsho ke liye apne pariwar ke sath unko france ki rajdhani mein transfer kar diya gaya tha. Jawan Anthony french mein fluent ho hi rahe the aur sath sath wo waha ke uplabdh artistic sanskriti ka anubhav kar rahe the jisse ek ruchi unme paida hui jo unke jeevan bhar chali aur unke career ka wo starting point bhi banni thi. Unhone Marlborough college, Wiltshire ke Marlborough mein blunt college ke gupt society of Amici mein shamil ho gaye jisme wo Louis MacNeice, John betjeman aur graham Shepard ke samakaaleen the. Marlborough mein Anthony se ek saal pahele itihaaskaar John Edward bowle ne unhe ek intellectual prig vichaaro ke daayre se bahut pahele ke roop mein yaad kiya jata hai. Bowle ka maanna tha ki Anthony ki rango mein bahut jyada ink hai aur wo ek aisi duniya se taalukh rakhte hai jo prissy, thande khoon waale, academic puritanism ki hai.

Anthony ne Trinity College, cambridge mein mathematics mein scholarship hasil ki thi , uss samaye cambridge University ke scholars ko Tripos exams ke bhaag ko choddne aur do saal mein uss bhaag ko pura karne ki ijazat di gayi thi. Halaaki wo 3 saal se kam samaye ki degree haasil nhi kar sake isliye Anthony ne Trinity mein 4 saal bitaaye aur aadhunik bhassa mein chale gaye antatah saal 1930 mein fisrt division se paas huye the. Unhone cambridge mein french padhya aur saal 1932 mein Trinity College ke fellow bann gaye the. Unka Snataka khoj french art itihaas mein tha aur unhone apni padhai ke silsile mein aksar continental Europe ki yatra karte the. Anthony ko NKVD mein kaise bharti kiya gaya tha iske kai saare version hai , cambridge don ke roop mein Anthony ne saal 1993 mein Soviet union ka daura kiya tha aur sambhavatah saal 1934 mein bharti kiya gaya tha. Ek press conference mein Anthony ne dawa kiya ki guy burgess ne unhe ek spy ke roop mein bharti karwa diya tha aur unka code naam tony rakh diya gaya tha. Second world war ke dauraan unhone MI-5 ek military spy agent mein sewa ki aur Soviet union ko secret information ki supply karne mein wo saksham the aur isse bhi important baateye hai ki wo counter intelligence operation ke Saathi agents ko warning de sakhte the jo unhe khatre mein daal sakhte the.

Saal 1945 mein Anthony ko raja ki tasveero ka surveyor banaya gaya aur saal 1947 mein wo Courtauld institute ke director banne jo art ke itihaas mein training aur research ke duniya ke leading centres mein se ek hai. Baad ke saalo mein Unke chief publications mein france mein art aur architecture aur nicholas posin shamil the. Although unka active secret kaam purey tarike se saal 1945 mein khtam ho gaya tha unhone Soviet agents ke sath apna contact banaye rakha aur saal 1951 mein britain se Burgess aur Donald Maclean ke bhaagane ki intezaam karne mein Anthony saksham the. Saal 1979 tak unke sachai ko kisi ke saamne nhi aane diya gaya tha lekin uske baad sabko unki sachai bata di gayi thi. Anthony ne apne book mein likha tha ki Soviet union ke liye spy ke roop mein kaam karna unke jeevan ki sabse badi galti thi aur uss kitaab mein unhone apne spy ki life se judi baaton ko jyada nhi likh paaye the apne kitaab mein. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Hera Pheri 3 , Paresh Rawa and Sunil Shetty, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Hera Pheri 3

सबसे बडा fake-Art Scam!   Freiburg, Germany में कोई भी इस तरह की पार्टी को याद नहीं रख सकता था।  तारीख 22 सितंबर, 2007 थी,

Read More »

Drishyam 3

Drishyam 3 part 2 Thumbnail: खुले कई raaz 23 Feb 1947 के दिन बॉडी मिलने के 9 दिन बाद, उस न्यूज़पेपर के पास एक कुरियर

Read More »
Robot 3.0,Rajinikanth ,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Robot 3.0

Jaisa waqt chal raha hai abhi sabhi logo ko apna kaam dusre se karwana hai phir wo chahe koi machine ho ya koi Robot. Insaan

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​