Gadar 2

Aaj India ke paas Jo bhi hai wo sayad aaj nhi hota agar batwaare ko rok diya gaya hota toh, Sardar Vallabhbhai Patel ne kaha tha ki agar batwara nhi hota toh aaj India ke itne tukde ho chuke hotey ki isse pehchan pana mushkil ho jata. 15 August saal 1947 ki baat hai jab India mein log azaadi ki jasan mein dube huye the toh wahi dusri aur samandar kinaare basse Junagadh riyasat ki praja confusion mein thi , aur iski wajah bani thi Junagadh ki nawab Mehtaab Khan ka phaisla, 15 August saal 1947 ko hi inhone Junagadh ko pakistan se milane ka phaisla le liya tha. Lekin uss waqt agar ye insaan India ke haq ke liye nhi bola hota toh shayad Junagadh aaj pakistan ke hisse mein hota aur ye insaan koi aur nhi Vallabhbhai Patel the jinhone nawab Mehtaab Khan ko aisa paath padhya ki wo khud bhaag nikla pakistan. Jab ye hua tab India aur Pakistan ka batwara ho chuka tha, british ne Indian independence act 1947 laagu kar diya tha aur iske tehat lapse of paramouncy option diya gaya tha. Isse 565 riyasatoh ke raja ne apni riyasat ko India ya Pakistan mein se apne mann marji se jod sakhte the ya wo khud apna ek swatantr rashtriya bana sakhte the, lekin jadatar riyasatoh ne India ya Pakistan mein hi shaamil hona thik samjha tha lekin 3 aise riyasat the jinka vilay ka maamla uljha hua tha aur ye 3 riyasat Junagadh, Kashmir aur Hyderabad thi, agar teeno riyasat ki baat ki jaaye toh Hyderabad aur Junagadh ki halat ek jaisi hi thi jisme 80% se 85% log hindu the aur uske raja ek muslim lekin iske thik ulta tha kashmir mein, waha toh Hindu raja the aur teen-chauthaee kashmiri muslims the. Ab jab pura desh yaha azaadi ki jasan mana raha tha tab Junagadh ka raja ek naya hi planning bana raha tha jiske wajah se Junagadh ke log confuse ho gaye the, aur kuch dino ke baad Nawab Mehtaab Khan ne Junagadh mein ye announcement karwa diya ki Junagadh Pakistan ke haq mein jaayega.

Shuruaat mein Patel ji ko laga ki Pakistan Junagadh ka vilay nhi karega lekin Patel ji galat sabit ho gaye the kyuki ek mahine ke baad 16 September saal 1947 ko Pakistan ne Junagadh ko pakistan mein milne ki announcement kar di aur iska India ne virodh bhi kiya. Patel ji ne Pakistan ko ek baar phir se iss par sochne ke liye kaha sath hi public opinion karwane ki baat kahi lekin pakistan jaanta tha ki agar public opinion hua toh Junagadh India mein hi reh jaayega isliye unhone public opinion ke liye mana kar diya tha. Saal 1947, 19 September ko sardar Vallabhbhai Patel Indian government se rajavaada khaate ke sachiv V.P. Menon ko Junagadh bheja tha lekin Menon ko Nawab se nhi milne diya gaya tha sath hi Nawab ki aur se sehnawaz ne unse gol-mol tarike se baat ki thi yani waha jo ho raha tha usse clear baatein nhi batayi gayi thi. Bombay samet kai sehro mein Nawab ke phaisle ka virodh bhi tej hota ja raha tha, issi biche saurashtra aur Junagadh se 25 se 30 hazaar log Bombay pahuche aur uss dauraan ye log Mahatma Gandhi ke bhatije aur Vande akhbaar ke sampadak Shamaldash Gandhi ki leadership mein Nawab ke saashan se Junagadh ko muqt karane ka ailaan kar diya tha. 19 August saal 1947 ko Bombay mein gujrati dainik vande matram ke office mein Shamaldash Gandhi, UN dhebar aur Junagadh people’s conference ke sadasya miley the. 25 August saal 1947 ko kaathiwaad political conference mein hissa lene ke liye unhe vishesh roop se invitation bhi diya gaya tha . 15 September saal 1947 ko 5 member waali Junagadh community banayi jaati hai iske baad Shamaldash Gandhi jakar V.P. Menon se milte hai aur Junagadh riyasat ki nirvasit sarkaar arjhi hukumat banane ka offer rakha tha. Yadi Jinnah bina kisi pareshani ke Junagadh aur Hyderabad ko hindustan mein aane dete toh aaj Kashmir ko lekar koi vivad nhi hota aur wo asaani se Pakistan mein usse aane dete. Jinnah ne uss deal ko thukra diya tha jiske baad issi wajah se Pakistan ko Kashmir ko bhi apne haanth se gawana pada tha. Jiske baad Patel ji ne bola tha ki aacha hua hamara batwara hua aur agar aisa nhi hota toh jinaah aaj india ko kya se kya bana deta. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

GADAR 2

Gadar 2

गदर 2 मूवी की जिम्मेदारी फिर से अनिल शर्मा ने उठाई है, क्योंकि सभी ये बात जानते हैं कि अनिल शर्मा के अलावा कोई भी

Read More »
Mr. India

Mr. India-2

Technology kitni advance hui hai iss baat ka andaza hum apni lifestyle ko dekh kar araam se laga sakte hai. Wahi badhti technology ke saath

Read More »

Soldier 2

Major Somnath Sharma ka janm 31 January 1923 ko Himachal Pradesh ke Kangra District mein hua tha. Major Sharma apne parivaar se Army mein serve

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​