Gadar 2

India aur pakistan mein aksar war hote hi rehte hai phir wo chahe batwaare ko lekar ho, kisi dharohar ko lekar ho ya border par koi halchal hone se ho. India aur Pakistan ke bich LOC ki sthiti puri tarah se clear hai yaha tak ki dono desho ki sign, taaro ki fancying aur unki positions saaf saaf dikhai deti hai, jabki China ke sath lagi LAC par kai jagah na toh taaro ki fancying hai aur na hi kisi tarah ka koi sign board aur issi tarah kuch jagah par dono desho ke apne apne daawe hai aur unn dono desho ne iss tarah ki 22 jagah ko mark karke rakh liya hai jisse area of deferring perception kaha jata hai. Loc se bagal mein paschim Ladakh, Himachal Pradesh aur uttarakhand ka middle hissa Sikkim aur East Arunachal mein 23 ilaake area of deferring perception mein aate hai, inn ilaako mein dono hi desh ek dusre ki senaao ko apne apne daawe waali sima par patrolling karne ki ijaazat dete rahe hai, pichley dasak mein jab bhi yaha dono aur ki senaaye patrolling ke dauraan aamne saamne aai toh tanav badha hai aur kabhi kabhi ye ghatnaaye dhakka-mukkee tak simit rahi toh kabhi kabhi ye mukebaazi tak bhi pahuchi hai. Lac par kai baar choti moti jhadapen hui, lambe dino tak tanaav raha lekin dono hi desh sthiti ko phir se puri tarah niyantran mein laate rahe hai aur yahi kaaran raha hai ki sima par mukebaazi toh ho jaati hai lekin karib 50 saalo se yaha goli nhi chali hai. Tanav ko kam karne ke liye dono hi desho ne aapsi rajamandi se system aur protocol final kiye hai aur ye ab tak successful bhi raha hai, aur iske tehat border par tainaat dono aur ke adhikaariyon ki baat chitt ka daur chalta rehta hai. Inme Karnal level ke commanding officer ya brigade commander level ke adhikaari shamil hotey hai. Kabhi kabhi major general level ki bhi waha meetings hoti hai iske baad diplomatic level par bhi baat chitt kiya jata hai aur yahi kaaran hai ki jab jab sima par koi bhi muskile aati hai toh uska solution bhi ussi meeting mein ho jata hai. Dono hi desho ki army Lac par patrolling ke dauraan pahele se fix kuch upaayo ka palan karti hai uske baad aur bhi kai aise topics par descision karti hai jihne confidence building majors kaha jata hai aur toh aur alag-alag dawo waale 23 ilaako mein inka khaas taur par dhiyan bhi rakha jata hai. Example ke taur par dono aur ke sainik patrolling ke dauraan hathiyar toh rakh sakhte hai lekin inhe iss tarah se pith ke pichey latkaya jata hai jisse ki dusri aur khade sainik ko khatra mehsus na ho. Dono hi desh ki army yudh waali position nhi bann sakhte hai aur na hi inn ilaako mein kisi tarah ka nirmaan Kaary kar Sakhte hai, aur inn confidence building majors ke kaaran hi saal 1967 ke baad India aur China ke sima par kabhi goli nhi chali.

6 june ko hui Lieutenant general level ki meeting ke dauraan Ladakh ke inn teeno ilaako mein tanav kam karne par rajamandi ho gayi thi. Iske tehat step by step dheere dheere dono senao ke pichey hatne se lekar har tarah se tanav kam kiya jana tha aur ye process kaafi lambi chalti hai. Iss process ki progress check karne ke dauraan hi 15 june ki raat ko jhadap khooni ho gayi thi aur dono aur se kai sainik maare gaye the. Indian sena pahadiyon par ladne ke liye puri tarah se trained, anubhavi aur confidence se bhare huye the. Sena puri tarah taiyaar thi aur apni simaao ki raksha karne mein saksham bhi thi aur aaj tak hai bhi, Army hamesha burey se buri situation se nipatne ke liye apni yojana banakar rakhti hai jabki uski Umeed uske saath hamesha rehti hai. Halaaki kuch aur bhi factor hai jinka khiyal rakhna bhi jaruri hai aur jaise agar jhadap hoti bhi hai toh iske ek bade operation mein badalne ke chances rahenge aur phir ye sirf iss ilaake tak hi simit nhi rahegi, iska daiyra badh sakhta hai toh aise mein high level meeting mein hi ye final hoga ki desh ki faide mein sena kis range tak ka action le sakti hai. Abhi haal hi mein Prime minister Narendra Modi Ladakh gaye the sirf sena ka hausla badhne ke liye nhi balki puri desh ka hausla badhne gaye the unhone waha jakar har jawan se feedback liya jiske baad unhone unn har problem ki solution ke liye unhe wada kiya hai. Iske alawa border tak jaane waali roads ko sudharne aur hathiyar – ladaku vimaan ki kharid karne ke liye bola gaya tha jo ki bahut jaruri thi. Jiske baad Modi ji ne bola ki desh ko bachane ke liye wo jo kar sakhte hai wo karenge. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

Chandan Pandit

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

Hindu Bhramin और Muslim की love story!   Sajid और Lalitha दोनो अपने आपको lucky मानते थे, क्योकी दोनों की परवरिश ऐसे परिवारो में हुई

Read More »
Balwaan 2

Balwaan 2

बलवान फिल्म की तुलना करते हुए सुनील शेट्टी ने कहा था कि, उनकी बेटी अथिया शेट्टी की पहेली फिल्म हीरो लाख गुणा अच्छी थी उनकी

Read More »
Gadar2

Gadar 2

गदर 2 मूवी को जिस तरीके और जोश से मूवी की लीड एक्ट्रेस अमीषा पटेल फिल्म को प्रमोट कर रही है, शायद ही कोई और

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​