6 February 2023 ko Chhatrapati Shivaji Maharaj International Airport Mumbai par high alert ki wajah se security tight kardi gayi thi. Chappe chappe par checking chal rahi thi, aur toh aur bomb squad ko taynaat rakha gaya tha. Jagah jagah sniffer dogs bomb ki talaash mein bhatak rahe the, toh Police harr janne par nazar gaadaye baithi thi. Darsal ussi din ek threat call receive hua tha. Yeh call aya tha Indian Mujahideen (IM) ke ek member se.
Indian Mujahideen (IM) ek Islamic terrorist group hai jo India mein active hai. 2005 Delhi Bombings, 2006 Mumbai Train Bombings, 2006 Varanasi Bombings, 2007 Hyderabad Bombings jaise bade bade hadson mein inhein ka haath hai. Yeh bahut time se active rahe hain, aur inki Indians yaa basically Hindus ke liye inki nafrat waqt rehte badi hi hai. Inke bahut se operations bahut bade scale par hote hain, isi liye inki taraf se threat call ko side nahi raakha jaa sakta hai.
Iss call se 1 hafte pehle bhi NIA ko ek mail aya tha Talibani Member se ki Mumbai mein attacks plan kiye gaye hain, aur usse pehle Jan mein bhi kayin calls aa chuke hain. Aise mein Talibani group aur IM group lagta hai saath hi dhamake ki planning kar rahe hain.
February ke iss din bhi jab call aya tab turant hi Police aur agencies chaukana hogayi thi. Mumbai ki Sahar Police ne investigation turant hi shuru kardi thi, aur toh aur case bhi register ussi samay kardiya tha section 505(1) ke under.
Abb koshish yeh ki jaa rahi hai ki inn sab calls mein kuch common nikaala jaaye. Isi liye tarah tarah ke voice modulators, call trackers sab use kiye jaa rahe hain. Call tracking se exact location bhale hi nahi pata chale, yaa ho sakta hai ki location pata bhi chal jaaye, magar investigation agencies ismein relation pata lagana chahte hain. Kayin aisa toh nahi ki yeh calls planned hon kisi badi cheez ke liye. Isi liye Police yeh pata lagane ki koshish kar rahi hai.
Aur toh aur checking bhi badha di gayi hai, aur special type ke explosive detectors bhi Mumbai Airport par install karne ki baat chal rahi hai. Mumbai airport hamesha se hi busy airports mein se ek raha hai, isi liye yahan par sakhti zyada barti jaayegi. Investigation agencies apna kaam kar rahi hain, aur jaldi hi woh inn threat calls ka raaz saamne le aayengi.
Aise hi kuch ek ke baad ek threat calls hamein Sooryavanshi 2 mein dekhne ko mil sakte hain. Kya pata Akshay bhi aise hi calls ki wajah se apne action hero ke avatar mein aajayein!
-By Pratima Ratwani.