Dunki

India mein har ek teenage ka sapna hota hai ki wo foreign mein jaa kar kaam kare, wahan ki lifestyle, work environment Indian Teenagers ko kaffi jyada influence karti hai. Usi tarah ye kahani hai Simranjeet Kaur ki jinhone America mein jaa kar kaam karne liye Donkey flight par chad gaye.

Simranjeet Kaur ek ese sakshiyat the jo hamesha dur ki soch rakhte the. Aur unka sapna tha ki America mein jaakar kaam karna, kyun ki unke ghar ke kayi sare members already America mein rehe rahe the. Simranjeet ke isi sapne ko pura karne ke liye aur pass mein koi bhi Visa ya pasport na hone ki wajah se ek agent se milte hein. Agent unhe Donkey flight ke bare mein batata hai aur keheta hai ki agar use kuch paise de to wo unka flight mein ticket booking karwa kar America pahuncha sakta hai. Agent ko pure 30 lakh dene ke baad Simranjeet finally Donkey flight par chad jate hein aur flight mein chadne ke baad unhe ye kaha jata hai ki flight pure 24 hours ki hogi aur utarne ke baad koi bhi apne sath apna bags nehi le sakta kyun ki plane ke baad ka mostly safar unhe paidal hi pura karna padega. Simranjeet ko ye sari baatein pehele se maloom thi agent me wajah se.

Plane se utar ne ke baad sare passengers ko ek water bottle and kuch khane ke liye de diya jata hai uske baad unka paidal safar shuru hojata hai, pure 50 km chalne ke baad sare log ek jungle mein pahunchte hein jis jungle ke andar seher ko jane ke liye koi rasta nehi hota to log sochte hein ki jungle mein hi kuch der tak rest le li jaye aur thodi der baad yahan se nikla jayega. Lekin usi waqt jungle mein se ek kaffi venomous snake ek passanger ko bite kar leta hai aur us admi ki wahin par death ho jati hai. Ye dekh kar sare log wahan se bhaag ne lagte hein. Aur akheer kar jungle se bahar aajate hein. Jungle se nikalne ke baad sare log ek bahut badi deewar ko par karte hein Jo ki bahut badi thi. Kaffi sari tareekon ko apna ne ke baad jakar us bade se dewar ko par kar pate hein aur pahuch jate hein America.

America pahunchne ke baad sare log kaffi jyada khus ho jate hein. Aur apne apne manjeel ke chale jate hein. America mein kuch mahine rehene ke baad America ki police un sare passengers ko pakad leti hai aur unhe ek bade se jail mein dal deti hai. Jail mein pure do deen tak rehene ke baad sabko bataya jata hai ki unhe kis wajah se jail mei dala gaya hai. America mein illegal tareekon se ghusne ke wajah se America ke authorities ne Sabko jail mein dall diya. Us jail mein duniya ke aur kayi sare alag alag log bhi rehe rahe the. Jail mein unse batsuluki ki jaa rahi thi. Jesse ki unhe khane mein sirf sukhe chawal aur kaffi gandi daal milti thi aur uske sath beef jisse ki koi kha nehi pata tha. Unsab ke hath aur legs mein chai bandhe hua tha. Aur unsab ko unke name se nehi balki unhe diya gaya numbers bulaya jata tha. Kayi baar jail mein logon ke bich jhagda ho jata tha. Itne sare alag alag logon ke sath rehe ne ke wajah se.

Kisi bade jurm kiye huye apradhi ki Tara treat Kiya jata tha sare logon ko. Kayi dino tak simranjeet ko bhookha bhi rehena pada aur wahan par theek se sone ke liye bhi jagah nehi thi. Simranjeet se unke kapde unke bache kuche paise sab kuch le liya gaya tha. America ke us jail mein rehena kisi nightmare se Kam nehi tha. Sare logon ko wahan par strict rules follow karna padta tha. Simranjeet ne kayi baar wahan ke authorities se baat karne ki koshish ki lekin kabhi ek baar bhi unki batton ko suna nehi gaya. Aur pure 4 saalon tak Simranjeet ko us bhayanak jail mein gujarna pada. Baad mein Simranjeet aur baki sare logon ko ek plane bitha ke dobara India bhej diya gaya.

Pure 4 saal baad India akar Simranjeet ke ankhon mein asoon tha. Wo dar rahe the duniya ka samna karne ke liye, apne family ka samna karne ke liye. Sapna America ka dekha tha lekin pahunch gaye hell mein.

 

 

 

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Salaar , by jaya shree bollygradstudioz.com

Salaar

kahani mai Samudra ke looteron ka raaz chalta hai. Raja ki maa Kasturi use Jahaaj par kaam karne se mana karti hai. Lekin paison ki

Read More »
Dunki

Dunki

Shah Rukh Khan इन दिनों अपनी upcoming projects को लेकर काफी serious है, इसी कारण वह दिन और रात एक कर, लगातार मेहनत कर रहे

Read More »
DON 3

Don 3

चंबल के डाकू में King of डकैत स्काई जाने वाला डाकू Malkhan singh चंबल का सबसे रईस डाकू था। चंबल के डाकू के पास सबसे

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​