Donald Maclean saal 1950 ke infamous british ke agent mein se ek the jinhone apne desh ke liye kiya nhi kiya lekin unko badle mein wo respect aur wo naam nhi mila jiske wo haqdaar the. Maclean ne apne desh ke liye wo kaam kiya jisme har waqt apne Jaan jaane ki chances rehti hi hai. Donald Maclean ka janam saal 1913 mein hua tha, unhone Gresham ke school mein apni niji taur par sikhsha prapt ki thi aur wahi se saal 1931 mein Trinity College, cambridge chale gaye the. Jab cambridge ke log jaise ki Anthony Blunt, Kim philby aur Guy Burgess ne apne hi desh ke sath vishwatghaat kar rahe the tab cambridge mein blunt duwara Maclean ko lagbhag confirm roop se KGB mein bharti kar diya gaya tha. Cambridge chhodne ke baad Maclean diplomatic sewa mein shamil ho gaye the, saal 1938 mein unhone Paris mein british embassy mein as teesre secretary appoint kiye gaye the. Wo jo kaam kar rahe the usse roka ja sakhta tha lekin saal 1939 mein Walter Krivitsky naam ke ek KGB agent ne paschim ki aur apna rukh kar liya tha aur MI5 ko ye inform kiya gaya tha ki wo UK mein 61 agents ke baare mein jaante hai jo KGB ke liye kaam kar rahe the, halaaki aisa kuch bhi nhi tha wo kisi ka bhi naam nhi jaanta tha. Usne KGB ke liye kaam karne waale logo ke baare mein detail description diya tha. Ek description mein ye clear roop se Donald Maclean ki privileged parapt background ko fit kiya gaya tha. Halaaki MI5 ne Krivitsky ki imaandaari par sandeh kiya aur unki gawahi ka paalan kabhi nhi kiya gaya tha.
May saal 1940 mein Nazi Germany ne paschim Europe par hamla kiya jisse France ke imminent fall ke kaaran Paris mein sabhi diplomatic workers ko wapas bula liya gaya aur isme Maclean bhi shamil the. Saal 1944 mein MacLean ko Washington DC. mein tainat kiya gaya tha, british embassy mein kaam karte huye unki highly sensitive nuclear secrets tak pahuch thi aur ye sachai Maclean duwara Moscow bhej di gayi thi. Jabki Maclean ki kabhi bhi kisi takniki detail tak pahuch nhi thi unhone Moscow ki pragati aur vikash ke baare mein report kiya, iss jaankari ke sath KGB america pahuch chuki thi. Isse kuch satikta ke sath ye bhi anumaan lagaya ja sakhta tha ki America kitne bomb banane mein saksham tha. Kuch itihaaskaaro ka maanna hai ki Stalin ne Berlin Blockade aur Korean yudh ke dauraan North Korea ke apne samarthan ko shuru karne ka faisla kiya kyuki wo Maclean duwara Moscow ko bheji gayi jaankaari ke madhyam se jaanta tha ki America utna sakhtishali nhi tha jitna usne khud ko banne ki koshish ki thi wo bhi nuclear hathiyaro ke maamle mein. Second world war ke baad egypt mein diplomatic core mein shamil hone se pahele Maclean ne London mein kaam kiya aur phir saal 1950 mein unhe unke jungli behaviour ke roop mein describe kiya jaane laga tha jiske parinaam swaroop unhe London wapas bhej diya gaya tha. Maclean ke nashe mein vyabhichaar mein shaamil hone ke liye ek euphemism thi jiske wajah se unke behaviour ne unhe blackmail karne ke bade jokhim mein daal diya tha.
Diplomatic sewa mein unki kam safalta pragati ke waibjud Maclean ko videsh ke office mein American vibhaag ka head bana diya gaya tha. Halaaki unke behaviour ne MI5 ka dhiyan aakarshit kiya tha aur saal 1950 mein Guy Burgess ke sath Maclean ko warning di gayi thi ki MI5 unki gatividhiyon ke baare mein unse puch taach karne waala tha jiska naam Yuri Modin tha jo ek KGB handler duwarar dono men ko USSR se dur bhej diya gaya tha, jabki Burgess USSR samajhne mein integrated karne laga tha jo puri tarah se vifal rahe . Maclean ne Koshish kiya yaha tak ki Soviet union ke log bhi uss samaj ke hissa bann gaye the. KGB ne baad mein unhe unke kaam liye inaam bhi diya gaya lekin uske baad maano jaise Donald Maclean ka naam kahi gum sa ho gaya. Saal 1983 mein Donald Maclean ko dil ka daura padne se unka nidhan ho gaya tha. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit