1700vi sadi me Vampire Hysteria poore Europe me faila hua tha. Uss daur me Vampires ka naam sunte hi har koi dar jaata tha aur raat hote hi sabhi khud ko apne ghar me band kar lete the. Issi beech ek aur Vampire ki kahani ne logon ka dhyaan apni yor kheecha, jab 1725 me Serbia ke ek gaaon me Peter Plogojowitz(प्लोगोयोविट्ज़) naam ka ek kisaan, achanaak mar gaya, lekin woh humesha ke liye mara nahi tha. Logon ke mutabik, Peter apni maut ke thik 3 din baad apne grave se baahar nikal aata hai aur seedhe apne bete ke paas pahuch kar, usse khaana maangta hai. Ho sakta hai bichaare Peter ko marne ke baad bhookh lag gayi ho.
Khair, pichli raat toh Peter ke bete ne use khaana khila diya, lekin dusri raat jab woh dobara apne bete se khaana maangne aaya, toh Peter ke bete ne use khaana dene se mana kar diya. Yaha pe ajeeb baat yeh hai ki ek asli Vampire sirf khoon peeta hai. Wahi insaano ka khaana Vampires ke liye poison jaisa hota hai, phir Peter apne bete se khoon ke badle normal khaana kyun maag raha tha? Jo bhi hai, lekin Peter ke bete ne use khaana dene se saaf inkaar kar diya, jiske baad Peter ne apne bete ko dhamki bhare nazaron se dekha aur phir use chod kar chala gaya. Lekin yaha pe chaukaane waali baat yeh hui, ki agli subah Peter ka beta apne ghar pe मृत(dead) mila. Iske turant baad gaaon ke 9 aur logon ki achaanak maut ho gayi. Inn sabhi ne apne marne se pehle sirf ek hi baat kahi thi ki, unhe aisi kamzori lag rahi hai, jaise ki unke body me se kisi ne badi maatra me blood ko nikaal liya ho. Isse bhi ajeeb baat yeh rahi, ki sabhi gaaon waalon ne kaha ki unhe Peter ka sapna aaya tha. 9 logon ki maut ki ghatna ko dhyaan me rakhte huye local priest(पुजारी) ne magistrate ko iss baare me ek letter likha, jiske baad magistrate ne iss letter ko imperial(शाही)Army ke commander ko saunp diya. Letter ko dekhte hi Army ke commander do officers aur ek executioner(जल्लाद) ke saath Peter ke gaaon pahuche. Executioner woh hote hai, jo logon ko maut ki saza dete hai. Yaha pe commander ne executioner se keh kar unn 9 logon ke grave ko dobara baahar nikalwaya, lekin officers tab chaunk gaye, jab unhone Peter ki dead body ko dekha. Asal me Peter ki body acche se preserved thi, lekin uske muh pe khoon laga hua tha. Iss scene ko dekhte hi Commander ghabra gaye. Kisi ne Peter ki dead body ke beech me haath rakha, toh use sirf aur sirf blood feel hua jo Peter ki dead body me chaaron yor flow ho rahi thi. Maamle ki gambhirta ko samjhte huye commander ne order diya, jiske baad Peter ki body ko jala diya gaya. Iske baad baaki ke 9 logon ki grave me garlic aur whitethorn rakh diya gaya aur issi ke saath Vampire Peter ki kahani ka antt hua. Catholic dharm me maana jaata hai ki agar dead body ke paas garlic aur whitethorn rakh di jaaye, toh buri aatma unhe kabhi pareshaan nahi karti hai.
Vampire ki kahani 1700vi sadi me khub faili thi, har jagah sirf dare huye log nazar aa rahe the. Uss daur me Vampires ke kayi maamle saamne aaye the. Aisa maana jaata hai ki Vampires sach me hote the, shaayad aaj bhi hote hai, kyunki woh kabhi marte nahi hai. Par Vampires ki sacchayi kya hai yeh kisi ko nahi pata.
Khair, yeh thi Serbia ke Peter ki kahani. Ho sakta hai Bhool Bhulaiyaa 3 me Vampires ka koi angle saamne aaye, kyunki “Vampire” ek trendy aur interesting topic hai, jispe India me utni baat nahi ki gayi hai. Issiliye iss tarah ki kahani darshakon ke liye kaafi nayi hogi.
The End
War 2
80s के दशक में इंडिया की खुफिया एजेंसी रॉ ने रशिया के 2 लोगों को अपना सीक्रेट एजेंट बना लिया था और जिसकी रुशिया को