KGF 3

Kolar Gold Mine ki itihaas kaafi badi hai. Yaha pe khaali pade mahal aur mandiron ke alawa purani gold mine bhi hai. Kolar ka itihaas bahut purana hai. Yeh hume 21st century se seedhe 4th century me le jaati hai, jab Ganga Dynasty ne Kolar ko apna capital banaya tha. Iss shehar me Indian, British aur Mughals teeno ki essence maujood hai. Yeh sehar har daur ka khaas raha hai. Mughals Kolar ko independent state banana chahte the, toh wahi Britishers ko iss jagah se itna pyaar hua ki unhone apna chota sa desh, Kolar me hi basa liya. Purane daur me yaani Mughals se bhi pehle, Kolar ka naam “Kuvalala” aur “Kolahala pura” tha. Kannada me “Kolahala-pura” ka matlab hota hai “violent city.” Asal me uss daur me South ke do bade Dynasty Chalukyas aur Cholas me Yudh cheed gaya tha, jiska direct asar Kolar pe pada aur woh shehar yudh ke kaaran kaafi disturbed bhi hui. Issi kaaran itihaas ne Kolar ka naam “Kolahala-pura” rakha. Mythology ki maane toh Parshuram aur Kartavirya Arjun ke beech huye khatarnaak yudh ke hi kaaran Kolar ka naam “Kolahala-pura” pada. Wahi Parshuram bhagwaan Vishnu ke 6th avatar the. Kartavirya Arjuna ki baat kare toh unki grandchild “Kunti” thi. Yaani ki Pandavs aur Karna ki maa.
Ganga Dynasty ke baad Kolar pe kayi logon ne raaj kiya, Jaise ki Cholas, Chalukyas, Mughals, Britishers aur Mysore ke raja. Kolar ka itihaas Ramayan se bhi joora hai. Kehte hai Valmiki Kolar me hi rehte the. Wahi Maa Sita aur unke bete Luv aur Kush ka bhi connection kahi na kahi Kolar se hai. Kolar me mine ke alawa kayi purani mandir hai, jo purane daur me Rajaon dwara banwayi gayi thi. Kayi mandir toh Vijaynagar ke daur me bani. Ji haa! Tenali Rama ke daur me bhi Kolar me mandir banwayi gayi thi. Aaj Kolar apne mandiron ke dwara humare desh ka itihaas batata hai. Kayi log aaye aur unhone jo apni influence iss sehar pe daali, ussi ke kaaran Karnataka me basa yeh sehar, har uss daur ki kahani kehta hai, jaha ke ruler ka sapna sirf Kolar ko apna banana tha. Iss sehar pe apna power jamane ke liye bahut yudh huye aur antt me yeh gold city “Kolahala-pura” yaani ki “Violent city” me badal gayi. Kolar Gold Mine ya KGF ki agar hum baat kare, toh yeh bahut purani gold mine hai, jisne kaafi bade amount me British raaj ke dauran gold produce kiya hai. KGF, Mysore royal family aur India ki pride thi, jise 2001 me band karwa diya gaya tha. Aisa nahi hai ki iss mine me ab gold nahi bachi hai. Britishers ne bhale hi humare desh ka jyadatar sona loot liya ho, lekin KGF aaj bhi zinda hai. Yaani ki yaha pe sona ab bhi maujood hai bus sarkaar ne ise band karwa diya hai. Aaj KGF gold mine sirf purane daur ki itihaas ban ke reh gayi hai. Shaayad hi koi jaanta hoga ki Rocky ki KGF sirf use hi nahi, balki kitne aur logon ko apne sone ke sapne me Sama le gayi hai. Kolar me jaakar agar hum apni nazarein ghumayein toh hume sirf aur sirf itihaas nazar aur sunayi dono dega.
Rocky ki KGF aaj bhale hi sirf Cyanide dump ban kar reh gayi hai, lekin agar hum iski shuruat ki baat kare, toh yeh hume British era ke daur me le jaati hai, kyunki Britishers se pehle tak KGF ka istemaal nahi hota tha. Agar Kolar Gold Field ki baat kare toh sabse pehla naam John Taylor ka aata hai, jinhone 1800s me KGF ki jyadatar mines pe apna kabza jama liya tha.
Aage hume jaanenge ki aakhir John Taylor kaise India ke Kolar aaye aur Kaise unhone Kolar ko mini England me badal diya. Issiliye bane rahiye humare saath iss channel pe jiska naam hai Bollygrad studioz
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा मूवी को देखकर ही समझ आता है कि, कितने डिटेलिंग के साथ पुष्पा मूवी के डायरेक्टर सुकुमार ने मूवी को बनाया था। सुकुमार एक

Read More »
BAHUBALI 3

Bahubali 3

Mughal samrat ke samne Bharat ki kareeban sare rajaon ne apne ghutne tek rakhe the, lekin bharat mein ek esa raja tha jisne kabhi bhi

Read More »
BAHUBALI 3

Bahubali 3

फिल्म बाहुबली को देखने के लिए excitement बहुत ज्यादा थी audience के अंदर क्योंकि जब फिल्म का प्रोमो रिलीज किया गया था तो उसके प्रोमो

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected