KGF-3

Frank Costello, America ke sabse taakatwar crime family ka boss tha, jiska janam 26 January 1891 me, Italy me hua tha. 1895 me Frank apne bhai aur maa ke saath ship pe sawaar hokar, America apne pita ke paas rehne aa gaya, jo New York ke Harlem me kuch saalon se reh kar, apni Italian grocery store chala rahe the. Frank jab chota baccha hi tha, tabhi uske bhai ne use criminal world se waakif karwa diya. 13 saal ki umar me hi Frank local gang ka boss ban gaya. Yeh wahi daur tha jab Frank ne apna naam badal kar Frankie kar liya tha. Frank ne 1908 se lekar 1918 ke beech kayi saare chote-mote apraadh kiye, jisme chori aur assault ke jurm me Frank ko jail bhi jaana pada. 1918 me Frank ne ek Jewish ladki se shaadi kar li, jo Frank ke hi kisi close friend ki behan thi. Issi saal hathiyaar rakhne ke jurm me Frank ne poore 18 mahine jail me guzaare.
Jail se nikalne ke baad Frank kisi bade gang ki talaash me tha, tabhi Frank ki mulakaat Lucky Luciano(लुचिआनो)se hui. Lucky Luciano Manhattan ke ek bade gang ka leader tha, jo baad me jaakar “Luciano family” ka crime boss bana. Kyunki Luciano Italian tha issi kaaran uski Frank se bahut jald hi dosti ho gayi. Lekin Luciano crime family ke bade aur budhe sadasya, Frank aur Lucky ke beech badhti dosti se khush nahi the. Par inn sab ke bawajood bhi Lucky aur Frank ki dosti kaayam rahi aur unke gang ne saath milkar kayi apraadhon ko anjaam diya. Lucky aur Frank ki Jodi ne kaafi tarakki ki, jiske baad dono illegally alcohol ko sell karne lag gaye. Lucky aur Frank ki jodi aage jaakar dusre mafias se bhi jood gayi, jinme jyadatar Irish aur Jewish criminals the. Lucky Luciano ka mentor Arnold, aage jaakar Frank ka bhi mentor ban gaya.
Italy ke Calabria se hone ke kaaran Luciano family ke members, Frank ko “badmaash calabrian” keh kar bulaate the, kyunki Luciano family ki Italy ke Calabria se acchi relationship nahi thi.
Wahi Luciano ke saath gambling aur illegal alcohol selling kar, Frank kaafi kam wakt me ameer aur powerful mafia ban gaya. 1931 me crime boss Marazano(माराज़ानो) aur Maaserria(मासेररिअ) ke mar jaane ke baad Frank inn dono gang ka political saathi, aur Lucky Luciano ka sabse kareebi dost ban gaya. Frank dheere-dheere Las Vegas ke Casino me interest lene laga. Frank ne New York ke kayi bade businessman aur politicians se bhi apna contact badha liya tha.
1951 me Frank ki US government ke saath lambi ladayi shuru ho gayi, kyunki Frank government ke unn sawaalon ka jawaab sahi se nahi de raha tha, jiske liye Frank ko aaropi banaya gaya tha. Issi wajah se Frank ko 1 saal ki jail ki saza sunyai gayi, lekin iss beech Frank pe tax chori ka bhi aarop laga, jis kaaran Frank ne 5 saal aur jail me guzaare. 1957 me Frank ko bail milte hi, use crime mafia Vitto Genovese(जेनोवीस) dwara jaan se maarne ki dhamki mili. Asal me Vitto bhi Lucky ka dost tha, lekin woh Frank ke badhte power ko dekhar thoda jealous ho raha tha. Issi wajah se Vitto ne Frank ko maarne ka plan banaya. 1957 me Vitto ke ek aadmi ne Frank ko ek hotel ki lobby me goli maar di, lekin Frank kisi tarah bach gaya.
Iske baad ek baar phir Frank ko kisi aarop ke tehat jail jaana pada. Frank ne 1961 tak apna wakt jail me hi bitaya. Yeh wahi saal tha jab Frank se uski US citizenship waapas leli gayi. Inn sab ke bawajood Frank ka power uske syndicate me bana raha. Wahi Frank ke rival Vitto Genovese ki maut 1969 me ho gayi. Aage jaakar Frank ne New York ke kayi dusre racket ko sambhaalne ka kaam kiya, lekin tab Frank ko utni importance nahi di jaa rahi thi.
1973 me 82 saal ke Frank Costello ki maut, heart attack ke kaaran ho gayi.
Toh yeh thi Italian-American crime boss Frank costello ki kahani. Ho sakta hai KGF-3 me Rocky ka sona apne kabze me karne ke liye Frank ki tarah, videsh se kayi powerful mafia Rocky se panga lene ke liye saamne aaye. Ho sakta hai Rocky ka saara sona hathiyaane ke maksad se America ke saare mafia ek ho jaaye. Dekhna yahi hoga ki Rocky inn powerful mafia se kaise bach paata hai.
The End

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Pushpa 2

Pushpa 2

पुष्पा 2 मूवी के डायरेक्टर सुकुमार जोरो शोरो से तैयारी में बिजी हो गए हैं, क्योंकि शुकुमार ने ये कंफर्म कर दिया है कि वो

Read More »
PUSHPA 2

Pushpa 2

एक्टर डाली धनंजय ने अपनी एक्टिंग से फिल्म पुष्पा में सभी का दिल जीत लिया था वो भी जॉली रेडी के कैरेक्टर में। लेकिन धनंजय

Read More »
KGF 3

KGF 3

Thumbnail : –  कैसे हुए action scene shoot ? Rishtedar har kisi ki life mai hote hai lekin rishtedar kisi ko bhi ache nhi lgte

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​