Krrish-4

Maana jaa raha hai ki iss baar Krish time travel karne waala hai, jisme woh samay me peeche jaayega. Kaha jaa raha hai ki “Krish” aur “Koi mil gaya” ki duniya ek saath nazar aayegi aur yeh sab kuch Time Travel ki madad se hoga.
Time Travel ki baat kare toh ek aisi ghatna 2003 me ghati thi, jab ek aadmi ne future se aane ka daawa kiya tha.
February 25, 2003 ko Andrew Carlssin(कार्ल्ससिन) naam ke aadmi ko police ne arrest kar liya. Andrew pe “insider trading” karne ka aarop laga tha. Insider trading ka matlab hota hai, jab ek aadmi company ke internal information ko jaan’ne ke baad uski stock ki trading karta hai. Aise trading kar munafa kamana kanooni taur pe galat hai. Apne arrest hone ke baad hi Andrew kehne laga ki woh future se aaya hai. Jaankaaron ke mutabik sirf do hafton ke andar hi Andrew ne, US Stock market me 126 commercial trading kar, 800 dollar ko 350 million dollar me badal diya tha. Iss khabar ne chaaron yor sansani फैलाई, Khaas kar “Wall Street stock exchange” ke traders, iss news ko padh kar kaafi hairaan aur pareshaan the. Police ko Andrew pe insider trading ka shak tab hua, jab unhe yeh pata chala ki Andrew dwara kiye gaye investments me kaafi risk tha, lekin inn risks ke bawajood bhi Andrew ko bhaari muanafa hua. Jaahir si baat police ko yahi laga ki aisa tabhi ho sakta hai, jab kisi ko company ke internal information ki jaankaari ho. FBI ke officers ko bhi iss maamle me aana pada. Officers jaante the ki koi luck ke sahaare itna munafa nahi kama sakta hai. Issi kaaran Andrew ko insider trading ke aarop me arrest kar kaafi puchtaach ki gayi. Andrew ne police ko bataya ki woh “2256” se, time travel ke sahaare wakt me peeche aaya hai. Andrew ke iss jawaab se officers kaafi chaunk gaye the. 4 ghante tak chali iss puchtaach me Andrew ne kaha ki woh kyunki future se aaya hai, issi kaaran use pata tha ki kon sa stock use munafa karwa sakti hai. Andrew ne ek videotape me confess kiya ki usne socha tha ki woh natural tarike se trade karega, jisme woh kuch stocks me idhar-udhar jaankar haarega taaki kisi ko uspe shak naa ho, lekin woh beech me hi pakda gaya. Andrew ke mutabik sab jaante huye bhi stocks me haarna kaafi mushkil tha, woh munafa karwane se khud ko rok hi nahi paa raha tha. Yahi kaaran raha ki usne 800 dollars ko badi asaani se 350 million dollars me badal liya.
Authorities ko Andrew ki baaton pe bharosa nahi ho raha tha. Unhe aisa lag raha tha ki Andrew yaa toh juth bole raha hai, yaa toh woh dimaagi taur pe thoda bimaar hai. Halanki officers iss baat ka pata nahi laga paayen ki aakhir Andrew ko stocks ki sahi khabar mili kaha se. Authorities ke mutaabik company ka stock agar partnership ya phir kisi technological development ke kaaran rise hota hai, toh usse secret rakha jaata hai, lekin pata nahi kaise Andrew ko yeh baat pehle se hi pata thi. Kahi naa kahi yeh baatein uske future se hone ka saboot de rahi thi. Authorities ne yeh bhi maana ki unhe Andrew Carlssin ki koi bhi detail, December 2002 se pehle ki nahi mili hai. Apne baat ko sach saabit karne ke liye Andrew ne police se kaha, ki woh bata sakta hai ki aakhir AIDS ki bimaari ka cure kya hai. Woh yeh bhi bata sakta hai ki aatankwaadi Osama Bin Laden kaha hai aur America kis din Iraq pe humla karne waala hai. Yeh saari baatein 2003 ke March 19 tak nahi hui thi. March 20 2003 ko America ne Iraq pe humla kiya tha, jiski date Andrew pehle hi batane ko taiyaar tha. Andrew ka kehna tha ki woh apne “Time craft” tak pahuchna chahta hai, taaki woh apne ghar jaa sake. Andrew ke mutaabik woh Time craft ke sahaare hi past me aaya hai. Jab authorities ne usse time craft ki jaankaari maangi toh Andrew ne Craft ke baare me kuch nahi bataya. Andrew ka kehna tha ki use dar hai ki uski Time craft kisi galat aadmi ke haath lag sakti hai. Andrew ko 2 mahine tak jail me rakha gaya, jiske baad ek anjaan aadmi ne 1 million dekar Andrew ki bail karwa di. Shaayad Andrew ke paise se uss anjaan aadmi ko bhi kuch fayeda hoga. Andrew ko April 2003 me court me pesh hona tha, jaha Andrew nahi pahucha. Andrew ke baare me “US Paranormal Defence Agency” kuch bhi pata lagaane me naa kaamyaab huye. Authorities aisa maan’ne lag gaye ki ho sakta hai ki Andrew apne jagah waapas chala gaya ho.
Aage hum jaanenge ki aakhir Andrew gaayab kaha aur kaise hua. Kya Andrew jo keh raha tha woh sach tha? Jaan’ne ke liye dekhte rahiye humara yeh channel jiska naam hai Bollygrad studioz.
To Be Continue… PART-1

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Drishyam 3

Drishyam 3 Thumbnail part 2 इंसानियत hui शर्मसार 25 नवंबर की तारीख बीत जाती है लेकिन वह काली रात खत्म नहीं होती क्योंकि रात 12:00

Read More »
Adipurush

Adipurush

आदिपुरुष फिल्म देखने के बाद सभी को रामानंद सागर की रामायण याद आ रही है। इसी रामायण में लक्ष्मण का किरदार निभाने वाले एक्टर Sunil

Read More »
brahmastra 2

Brahmastra 2

Bhramastra   ब्रह्मास्त्र पार्ट 2 में देव, जल देव, वायु देव, अग्नि देव – यह देव कौन हैं जिन्होंने आखिर में ब्रह्मास्त्र को हासिल करके

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected