Krrish-4

44 saal ke Andrew Carlssin(कार्ल्ससिन) ke achaanak gaayab ho jaane se logon me kayi tarah ke sawaal paida hone lage. Log, khaas kar Andrew ke investigation me shaamil officers ko, Andrew ke future se hone ki baat ab sach lagne lagi thi. Andrew ke gaayab hone ke baad, use lekar kayi tarah ki baatein saamne aayi. Halanki yeh kitni sach thi, ispe koi tippani nahi ki jaa sakti hai. Jaankaari ke mutaabik saal “2256” ke psychologist ne jab Andrew pe research kiya, toh unhone Andrew ko dimaagi roop se bimaar insaan bataya. Psychologist ke mutaabik Andrew ek ajeeb si bimaari se guzar raha tha, jiska ilaaj Psychologist kar hi rahe the ki usi beech Andrew medical-care facility se bhaag gaya. Andrew saal 2256 me apne paas ke hi ek complex me employee ke taur pe kaam karta tha, jaha pe woh time travel pe experiment karta tha. Medical-care facility se bhaagne ke baad, Andrew complex ke workspace me apne puraane ID ki madad se ghusta hai aur ek aisi spaceship chura leta hai, jo time travel karne me capable thi. Andrew ko zara bhi andaaza nahi tha, ki aakhir uss spaceship ko kaise operate kiya jaata hai aur issi kaaran Andrew galti se saal 2256 se seedhe 2002 ke December me pahuch gaya. Waha pahuch kar Andrew ne jaldi se ameer hone ke baare me vichaar kiya. Iss maamle me Andrew ki madad uss information ne ki, jo Spaceship ke historical database me maujood thi. Waise toh Andrew past me hi reh kar aaram ki zindagi bita sakta tha, lekin 23rd century ke “Time cops”(police) Andrew ko doondh rahe the, kyunki usne bina bataye spaceship ka istemaal kiya tha. Logon ka kehna hai ki time cops ne hi Andrew ki bail ke liye 1 million dollar FBI ko dekar aur use waapas apne samay me le gaye the. Kaha jaata hai iske baad, Andrew ke spaceship ko time cops dwara seize kar diya gaya. Time cops Andrew ko 2256 me le gaye jaha pahuch kar unhone “Mars Time experiment Centre”(MTEC) se contact kiya.
Time cops ne “Mars Time experiment Centre” (MTEC) se contact kar kaha, ki woh tabtak ke liye time travel pe kaam karna band kar de, jabtak ki cops security ko mazboot aur time travel ke sabhi consequences ko samjh nahi lete. Aane waale 5 saalon me Andrew ki dimaagi bimaari thik ho gayi, jiske baad use release kar diya gaya. Wahi 2256 ke authorities ne use bhrosa dilwaya ki woh kabhi past me gaya hi nahi tha aur yeh sab uske man ka भ्रम hai.
Iss theory ke alawa Andrew se जुड़ी ek aur kahani hai.
April 9 2003, ko “Weekly World News” ne ek article publish kiya, jisme uss magazine ne daawa kiya ki unki company ne telephone ke sahaare Andrew se baat ki hai. Hum aapko bata dena chahte hai ki “Weekly World News” America ki ek aisi news agency thi, jo sirf ajeeb aur fictional stories hi publish karti thi. Yeh agency America me 1997 se 2007 tak chali thi. News agency ke mutabik Andrew ne unse kaha ki woh philhaal ek company ke formation ke silsile me Toronto(Canada) me hai, jo 2007 me public hone waali thi. Andrew ne aage kaha ki woh ek aadmi ke daya ke chalte, 29th March 2003 ko FBI ke kabze se mukt hua, jisne uski bail ke liye 1 million dollar FBI ko diye the. Andrew ko bail dilwaane waale aadmi ne apna naam kisi ko nahi bataya tha.
Wahi Apne arrest hone ke dauran Andrew 44 saal ka tha, lekin iske kuch saalon baad Andrew ne maana ki woh 2003 ke baad budha hi nahi hua. Jab Andrew se pucha gaya ki usne utne saalon me aakhir kya kiya toh Andrew ne sirf “No comments” kaha. Aur issi ke saath Andrew ki kahani bhi wakt ke saath gaayab ho gayi.
Bhale hi aaj ke log time travel pe bharosa naa kare, lekin duniya ke do mahaan scientist “Stephan Hawking” aur “Albert Einstein” ne maana hai ki logon ka Time travel karna possible hai, kyunki yeh kaafi aam baat hai.
Krrish-4 ki baat kare, toh iss film me Krrish time craft ki madad se samay me peeche jaane waala hai. Krrish Rohit Mehra se milega, jo ek aisi device pe kaam kar raha hai, jisse wakt me peeche aur aage jaaya jaa sakta hai. Yeh device asal me ek “Time-craft” hogi, jiski madad se Krrish film ‘Koi mil gaya’ ke daur me pahuchega.
To yeh thi aaj ki kahani, agar aapko yeh video pasand aaya toh ise like karna naa bhule. Dhanyawaad
The End
Part:- 2

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Krrish 4

Krrish 4

फिल्म क्रिश 3 के सेट पर सभी को equally importance दिया जाता था लेकिन एक्टर ऋतिक रोशन डायरेक्टर के बेटे होने का कुछ ज्यादा ही

Read More »
Singham 3

Singham Again

Mumbai ke Andheri ilaake mein kuch din pehle ek bus mein lagi thi aag. Hua yun ki yeh ek local bus thi jis mein 30

Read More »
Judwaa 3

Judwaa 3

भले मेकर्स कॉमेडी फिल्म को कॉमेडी के नज़र से ही देखते हैं, लेकिन जब वो फिल्म बना रहे होते हैं तो कई बार वो मजाक-मजाक

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​