Robot 3.0

Aaj ki duniya jahan par science and technology kaffi tezi se age badh rahi hai wahin par science ki kuch ese ajooba dekhne ko mil rahe hein jinhe ek baar dekh kar ankhon ko yakeen nehi hoga. Unhi ajooba mein se ek hai Ameca The Humanoid robot. Ameca robot ko saal 2016 mein built karna shuru kiya gaya aur saal 2018 tak wo logon ke samne paesh ki gayi. Ameca robot ek female robot ki Jesse logon ke samne paesh Kiya gaya. Jab saal 2016 mein Ameca Robot ko built karna shuru kiya gaya tha tab usse sirf kuch gine chune kaam hi karna ate the Jesse ki logon se baatein karna, chalna , aur kuch chizon ko utha na. Lekin Ameca mein kayi sare upgrades kiye gaye aur finally 2018 mein Ameca logon ke sath sirf baat nehi balki unke sath hath Milana, problems solve karna, alag alag facial expressions Dena, electronic ya non electronic chijon ko detect karna, aur apne ankhon mein lage huye camera se kisi bhi object ka colour bata na kar parahi hai. Ajj ke date mein Ameca ko sabse advance humanoid robot ka darja mila hai.

Saal 2017 mein jab Ameca robot ke andar alag alag tarah ki advance tech ko install Kiya jaa raha tha tab ek esa hatsa hua jiske wajhe se kayi sare robotics engineers ne usi waqt kaam se bhaag gaye. Darasal hua yun tha ki Ameca robot apne app ko baar baar activate kar leti thi use deactivate karne ke baad bhi. Uske sath sath Ameca apna khud ka ek language ko develop karke usi mein battein karne lag gayi thi. Aur jab scientists ne us new language ke bare mein pata laga to unhe kaffi sari hairan karne wali baatein sunne ko mila. Ameca apne language mein ye kehe rahi thi ki wo insaan ke bare mein sab kuch janti hai Jesse ki kesse insaan har bar apne lalach ke wajah se sab kuch barbaad kar dete hein aur kis tarah se insaano ke wajah se ye duniya dhire dhire khatam ho rahi hai. Ameca ne ye bhi kaha tha ki insaano ko is dharti se mit jana chahiye, kyun ki agar insaan rahenge to ye puri duniya ko wo apne lalach ke chalte khatam kar denge. Esi baaton ka pata lagne ke baad har ek scientist ko bahut jyada dar lagne laga. To sab ne ye faisla kiya ki Ameca ko kuch time ke liye dismantle kar diya jaye aur baad mein usse kuch chizon ko delete bhi kar diya jaye jiske wajhe se wo apna artificial consciousness ko kho de. Baad mein kuch time ke baad ek ache khase wait ke baad Jake jab Ameca ko dobara assemble Kiya gaya aur use activate kiya gaya to wo sirf ek normal robot ki hi tarah apne already programmed instruction ke base par chal rahi thee.

Baad mein Ameca ko logon ke samne introduce Kiya gaya aur logon ko Ameca ke sath interact karke kaffi acha laga aur har taraf se Ameca ko tareefein mili. Lekin Ameca ke initial stage mei kya hua tha ye kisi ko nehi pata, Ameca ek andar ab bhi kaffi tarah ki improvement ki jaa rahi hai. Aur shayad esa ho sakta hai ek din Ameca wo karde jo usne pehele kaha tha. Kyun ki agar apne initial stage mein ek robot itna kuch kar sakta hai to sochne wali baat hai ab jab usme kaffi sare hi tech technology ko install Kiya jaa raha hai to age chal kar kar kya kya kar sakti hai.

 

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Leo

एक्टर रजनीकांत शायद इनका नाम ही काफी है किसी भी फिल्म को हाइप देने के लिए। कुछ दिन पहले ये खबर आई थी कि, रजनीकांत

Read More »
BAHUBALI 3

Bahubali 3

एक दिन पांडव और कौरव राजकुमार गुरु द्रोणाचार्य के साथ शिकार के लिए पहुंचे। राजकुमारों का कुत्ता एक शख्स के आश्रम में जा पहुंचा और

Read More »

Salaar

इतना बुरा तो तब भी नहीं लगता जब एक्स लवर की शादी में जाते हैं, जितना बुरा पोस्टपोन शब्द सुनकर लगता है और वह भी

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​