India aur Pakistan ke bich huye yudh saal 1971 mein sirf nuksan yudh ke maidaano mein nhi hua tha, pakistanio ne jaha kahi bhi Indian ko dekha usse ya toh unn logo ne wahi maar diya ya phir unhe apne sath bandi bana kar apne sath Pakistan ke gaya. Yudh mein bhale hi chizo ka bahut nuksan hota hai lekin unn sabse jada nuksaan waha reh rahe logo ka hota hai wo bhi har taraf se, aisa hi kuch hua tha marwadiyon ke sath jab wo yudh ke dauraan train se India aa rahe the. Saal 1971 ki jung mein sirf aur sirf charo taraf Bangladesh ki azaadi ki gaatha gayi ja rahi thi lekin uske dusre taraf indians ke sath kya ho raha tha iss chiz ki bhanak kisi ko bhi nhi thi . Aisa nhi tha ki uss samaye pakistan sirf Bangladesh mein tabhahi macha raha tha, kyuki India ne Bangladesh ki support ki thi toh Pakisthanio ne India ko bhi nhi baksha aur apna badla nikaalne par lag gaya tha. Ek taraf India Bangladesh ko azaadi Dilwaane ke piche pada tha toh wahi pakistan dono desho par ek sath hamla kar raha tha, kai pakistanio ke group ne alag alag jagah par group mein apne kai saare murder ko anjaam diya tha. Pakistani sainiko ne lagbhag 30 lakh logo ko maut ke ghat utaar diya tha wo sirf isliye kyuki India, Bangladesh ki madad kar raha tha usse azaad karwane mein. Uss waqt aisa nhi tha ki wo ek ko maarte toh dusre ko chhod de unke najar mein uss waqt jo unke nisaane mein tha wo tha marwadi aur unn marwadiyon ko pakistanio ne aisa dhoka diya ki shayad hi aaj ke waqt mein bhi koi pakistanio par biswas Karega. Pakistanio ne pahele toh marwadiyon ko ye yakeen dilwaya ki wo unke sath chale aur wo unko unke ghar chhod denge, marwadiyon ne bhi unki baat maan li aur unnpar biswas karke chal diye unke sath. Ek report ke mutabik 450 logo ne unn pakistanio par biswas kar liya aur unke sath chale gaye, unn par biswas karne ka ek ye bhi reason tha ki unhone marwadiyon ko yakeen dilwaya tha ki uss dange fasad se unnko bacha kar safely ghar pahucha denge. Lekin baad mein unhone apni asli rang dikha di unn saare logo ko jinhone unnpar biswas kiya tha ki wo unhe kuch bhi nhi hone denge. Unn 450 logo mein adhiktar marwadi hi the aur baaki Bangali log jinn par unn pakistanio ne andha dhun firing kar di thi.
Jab wo saare log waha se nikle toh loudspeaker par ye announcement karwa diya gaya tha ki India wapas jaane ke liye unhe railway station par khadi aakhiri gaadi par sawar hona hai kyuki uske baad koi bhi gaadi India nhi jaayegi. Unhe aadhi raat ko bola gaya tha ki neelphamaari se saidpur pahuchne ke liye jaha wo saalo se apne business ke liye basse huye the. Aisa mana jata hai ki train chilhati sima hotey huye west bengal ke Jalpaiguri ki taraf jaayegi. Train chalni shuru hui aur wo Golhat chetra mein railway puliya number 338 ke paas aakar rok di gayi thi, train jada dur nhi sirf 2 kilometre aage hi rok di gayi thi uss train mein baithe log bahar ka najara dekh rahe the ussi bich waha ka mahol dekh kar log samjh gaye the ki ab unke sath kiya hone waala hai. Unn pakistanio ne sabhi dibbo ko bahar se band kar diya tha, train mein bhaithe logo ne jab bahar dekha toh unhe kai bihari muslim aur Pakistani Sainik hathiyaro se lais the jo kuch hi der mein unn saare logo ko maarne waale the. Kuch der rukne ke baad unhone firing start kar di aur ek ek karke logo ko maut ke ghat utaar diya. Uske aage waale dibbe mein aurotoh ko rakha gaya tha, unn papiyon, jalim pakistanio ne unn ladies ko bhi nhi chhoda unhe train se bahar nikal diya aur ek ek karke unn logo ne bhediyon ki tarah unn par hamla kar diya. Inn sabke kaaran waha pura sannata pasar gaya tha aur toh aur wo ladies apno ki izaat taar -taar hoti dekh kar bhi koi chu tak nhi kar raha tha. Train mein maare gaye logo mein se sirf 8-10 log hi khud ko bacha paaye the aur unnme se ek Nijhu Kumar agrawal bhi the jinhone ye saari chize aapni aankhon se hota dekha tha. Unhone bataya tha ki usi mein se 100 logo ko unn pakistanio ne bandi bana liya tha aur apne saath usse Pakistan le gaye aur wo kuch kar bhi na paaye. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Gadar 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit