Tridev 2

Haryana jitna developing state ke naam se jaana jata hai utna hi criminals ke naamo se bhi, aur inn criminals mein se ek hai Ajay Singh Chautala jinhone taakat aur paiso ki lalach mein aprad ki duniya mein apna paao dhasaate chale gaye. Ajay Singh Chautala ka janam Haryana ke Sirsa mein 13 March saal 1961 ko Chautala pariwaar mein hua tha, inke pitaji Omprakash Chautala Indian national lokdal ke senior neta mein se ek the , inhone haryana ke Kurukshetra University se apni graduation complete ki thi aur Rajasthan University mein M.A. aur law ki degree haasil ki thi. Inhone jab dekha ki padhai ke baad bhi inka mann nhi lag raha tha toh inhone socha ki kyu na politics join kar li jaaye aur saal 1980 mein inhone active hokar rajniti mein kadam rakh diya tha aur inka kismat rajniti mein aisa chamka ki wo rajasthan ke do baar vidhayak bann chuke the, jiske baad wo waha bhi nhi ruke aur saal 1999 mein ye haryana ki Bhiwani loksabha seat par paheli baar Sansad banne aur phir saal 2004 mein wo rajya sabha ke liye elect kiye gaye the, saal 2009 mein ye aakhiri baar haryana ke dabwali se waha ke vidhayak banne. Ajay Singh Chautala haryana rajniti mein majbut pakad rakhne waale Chautala pariwaar se belong karte the aur kahi na kahi inko issi baat ka faida hota tha jiske kaaran wo koi bhi election aaram se jeet jaate the. Ajay Singh Chautala ke pitaji Omprakash Chautala aur unke dada ji Chaudhary Devi laal Haryana ke jaane maane jaat neta aur chief minister rah chuke the, lekin abhi filhaal Ajay Singh Chautala apne pitaji Omprakash Chautala ke sath tihaad jail mein band saja kaar rahe the kyuki supreme court ne Haryana ke bahut charchit teachers recruitment ghotaale mein unhe 10 saal ki saja sunai thi, hua ye tha ki jab Delhi ki ek adaalat ne 3 hazaar se adhik teachers ko illegal recruitment ke maamle mein Haryana ke ex chief minister Omprakash Chautala samet 54 dusre ko doshi theraya gaya tha, aur iss maamle mein Ajay Singh Chautala bhi doshi karaar diye gaye the. Ye ghotala saal 1999 se 2000 ke bich ka hai jab 3 hazaar se jada teachers ki recruitment ki gayi thi. Department of Education ke hi ek IAS officer Sanjeev Kumar ki shikayat par iss ghotaale ka khulasha hua aur supreme court ne jaanch karne ke liye CBI ko order diya tha aur iss maamle mein ye baat sabit bhi hui thi ki JBT recruitment mein naukri paane waale har insaan se 3-5 lakh rupaye rishwat li gayi thi. Jiske baad inko das saal ke liye jail bhej diya gaya tha. Jab wo jail mein the toh waha se bhi unhone apni party ki position barkarar rakhi aur koshish ki taaki unka wo auda kam na ho aur jiss wajah se wo jaane jaate hai log unko bhul na jaaye, isliye wo jail se hi apni election lada karte the.

Jab Ajay Singh Chautala jail mein gaye toh unhone socha ki apne iss rutbey ka fayda kaise uthaaye toh unhone apni jagah apne bete dushyant aur digvijay ko party sambhalne aur usse uss mod par lekar aane ke liye kaha gaya jaha Ajay Singh Chautala chahte the. Lekin ek waqt aisa aaya jab pariwaar ke bich hi ghamasan yudh ho raha tha jiske wajah se Dushyant Chautala ne apne pitaji ki party ko chor apni ek alag party banai. JJP neta Dushyant ke pitaji Ajay Chautala ko furlough diya gaya hai aur jiske wajah se wo do hafton ke liye bahar aaye the, aur saal 2021 mein unhe aakhir kaar rihai mil gayi thi jiske baad wo direct jakar Dushyant se miley the. Aur uske baad wo digvijay se bhi milne gaye jispar JJP neta digvijay chautala ne kaha tha ki wo BJP ke sath milkar kisaan, majdur, chotey warg ke logo ke faide ke baare mein sochenge kyuki wo satta ki lalach ke liye nhi aaye hai wo rajniti mein unko sirf chaaro taraf vikash chahiye bas issi umeed se wo rajniti mein aaye hai. Jab digvijay se unke bhai Dushyant Chautala ke baare mein pucha gaya toh unhone bataya ki aane waale samaye mein Dushyant Chautala haryana ke Chief minister bhi bann sakhte hai aur jitna ho sake unhone apni bhai ki taarifo ki pool baand di thi jiske aakhiri interview tak mein wo apni bhai ki taarife hi kar rahe the. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Tridev 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

क्यों छोडा गया 93,000 Pakistani को?   2 अगस्त, 1972 को – 13 दिन के भारत-पाकिस्तान युद्ध के 16 दिसंबर, 1971 को खत्म होने के

Read More »

Khalnayak 2

जब स्टीफन सी. रिचर्ड्स (Stephen C Richards), एक criminology प्रोफेसर, अपने sociology की correction classes के पहले दिन मंच पर कदम रखते हैं, और हमेशा

Read More »
gadar 2

Gadar 2

गदर 2′ के टीजर में आपको इमोशन और एक्शन से भरपूर कुछ सीन्स दिखाए देंगे। इस टीजर को उन लोगों ने शेयर किया है, जिन्होंने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected