Karan Arjun 2

Hamne hamesha Haryana ke kai punarjanam ki kahani suuni hai lekin ye Kahani uttar pradesh ke Bisan chand ki hai jisne apne pariwar ko ek din aachanak bataya ki wo koi aur hai aur uska naam bhi kuch aur hi hai. Baat hai saal 1921 ki jab uttar pradesh ke Bareilly mein Bisan chand ka janam hua tha jisne aage chalkar apne pariwar ko apni punarjanam ki kahani batayi thi. Jab Bisan thoda bada hua aur bolna sikh gaya tha toh ek din usne ghar mein baithe logo ko bola ki wo Laxminarayan hai aur uska ghar, uske Mata pita sab Pilibhit mein hai. Usne aisa jab paheli baar bataya toh sabko laga bacha hai toh shayad apne sapne mein usne kuch dekha hoga jo abhi bata raha hai, itna suunne ke baad unhone iss baat par jada dhiyan nhi diya aur usse uske halat par chhod diya gaya tha. Bisan ko har din ek nayi chiz yaad aati toh koshish karta tha ki ghar mein kisi ko bataye aur log unki baaton par dhiyan de lekin aisa nhi ho pata tha ek din usne apni maa ko wo baat batane ki koshish ki lekin uski maa ne bhi uske baat ko ansuna kar diya tha jiske baad usse samjh nhi aa raha tha ki wo ab kiya kare. Ab jab Bisan 4 saal ka ho gaya tha toh uska naam school mein likhwa diya gaya tha ye soch kar ki ab shayad ye school jaayega toh wo saari baaton par dhiyan nhi de paayega aur chizo ko bhulne lage ga. Lekin aisa ho nhi paya, ek din jab Bisan school gaya aur jab uske teacher ne uska naam pucha toh usne apne punarjanam ka hi naam bataya Laxminaray, teacher ne usse bola nhi beta yaha toh tumhara naam Bisan chand likha hai jisko sunte hi Laxmi ne bola ki Bisan chand mere iss janam ka naam hai lekin mera pichley janam ka naam Laxminarayan hai aur mai Laxmi hi hu. Itna suunne ke baad teacher ne Bisan ke parents ko bulwaya unnse baatein hone par unhe pata chala ki Bisan ab school mein bhi aisi hi baatein karta hai. Uss waqt bhi uske teachers aur parents ne uss baat ko ignore kar diya ye soch kar ki aisa kuch kaise ho sakhta hai. Ab roj ki tarah Bisan ko apne pichley janam ki baatein yaad aati aur wo usse kisi ko baatane ki sochta lekin wo bhi majbur tha. Lekin usne ek din socha ki agar wo khud Pilibhit chala jaaye toh wo asaani se apne pichley janam ke parents se mil sakhta tha. Itna chota hotey huye bhi usse apne ghar ke baare mein sab pata tha wo jaanta tha ki kis bus se wo waha jaldi pahuch sakhata hai, ya kis raste se jldi ghar ja sakhta. Usne ab thaan liya tha ki ab wo apne ghar ja kar rahega, apne plane ke mutabik usne ek din chuti ke waqt ghar na jakar bus stand chala gaya ab usse waha kuch samjh nhi aa raha tha ki wo ticket kaha se aur kaise le. Tabhi ek bus ke conductor ne awaaz lagai ki 5 minute meib Pilibhit jaane waali bus niklengi, itna suunte hi Bisan ne uss bus ke pichey bhaga aur jaise hi usne bus mein ghusne ki koshish ki uske pitaji ne usse pakad liya aur usse bahut daatne lage jispar Bisan chila chila kar rone laga sath hi sath wo chila raha tha ki usse apne ghar, apne mata pita ke paas jaana hai. Udhar Bisan ke kai rishtedaro ne Bisan ke pitaji ko samjhaya ki usse ek aache doctor ke paas lekar jaao, Bisan ke pitaji ne waisa hi kiya jab usse doctor ke paas lekar jaya gaya aur doctor ne jab uski baatein suuni toh khud doctor bhi hairan reh gaye ki ye chota sa 5 saal ka bacha kaise apne pichley janam ke baare mein sari baatein bata raha hai. Thodi der ke baad doctor bahar aaye aur unhone Bisan ke pitaji se kahi ki Bisan ki tabiyat bilkul thik hai aur wo jo apni punarjanam ki baatein kar raha hai wo bhi baatein saari ki saari sachi hai, tumhe bisan ko lekar Pilibhit jana chahiye aur ye baat check karni chahiye ki Bisan jo bol raha hai ki uska naam Laxmi tha wo kitna sach hai aur kitna jhut. Itna suunne ke baad Bisan ke pitaji maan gaye aur phir unhone phaisla liya ki wo kal subha hi Pilibhit jaayenge aur check karenge ki baat kiya hai.

Pitibhit jaate hi unko saari baaton par yakeen aa gaya tha kyuki usne sabko khud apne ghar le gaya tha aur apne mata pita se khud sabko milwaya tha. Jab Bisan se kuch sawal jawab puche gaye toh usne saare sahi jawab de diye the jiske baad sabko ye yakeen ho gaya tha ki ye Bisan nhi Laxmi Narain hai jo punarjanam lekar aaya hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Karan Arjun 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Sholay 2

आए दिन खबरें आती है कि इस मूवी की सीक्वल आ रही है, या किस मूवी की सीक्वल आएगी, लेकिन जब ऑडियंस के लिए दूसरी

Read More »

Sholay 2

कोई भी फिल्म यूंही हिट या ब्लॉकबस्टर नहीं बन जाती है उसे पहले बहुत सारे मुस्किलो से गुजरना पड़ता है तब जा कर उसे सिनेमा

Read More »
Mr. India 2 , Anil Kapoor,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Mr. India 2

मिस्टर इंडिया फिल्म के बारे में सभी को पता है कि lead role के लिए अनिल कपूर को बतौर अरुण वर्मा दिखाया गया था, जिनके

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​