Soldier – 2

5 June 2015,Major Sunny apni uniform pehenkar ready hote hai, or apna samaan lekar Delhi ke Palam airbase jaane lagte hai. Palam airbase pahuch ne ke baad Major Sunny apne sathiyo se milte hai or unse baat cheet karne lag jaate hai. Darasal, aaj Indian Army ki Parachute Regiment ke 100 commandos Congo jaane ke liye ravana hone Wale the, or inme Major Sunny bhi shaamil the. Civil war ki maar jhel raha iss African desh mein in 100 commandos ko United Nations ke peacekeeping mission mein serve karna tha. Major Sunny apne commandos ke sath Congo ke liye jaane hi wale the ki tabhi Assam mein stith Para SF base se inhe call aati hai or in commandos ka mission ekdum se change ho jaata hai. Abhi thodi der pehle 100 commandos ko lekar jo plane Congo jaane wala tha, ab vo apne full throttle mein Manipur jaane lagta hai. 

Abhi thodi der pehle aayi phone call se mili jaankari ke mutaabik ek algaavvadi hamle mein Dogra regiment ke 18 soldiers veergati ko prapt ho gaye the. 5 June 2015 ki subah teen algaavvadi groups ne milkar Dogra regiment ke kafile par attack kar diya tha, or soldiers ke upar tabadtod firing karne ke baad ye baaghi border cross karke Mayanmar ke jungle mein bhaag Gaye the. Major Sunny Para SF unit ke one of best commandos mein se ek hai or unhe kaafi saalon tak North East mein serve karne ka experience bhi hai. Or jab se unhe 18 soldiers ki veergati ke baare mein pta chala tha tabse unke mann mein ek hi baat chal rahi thi or vo thi “ Badla”.Major  Sunny ki ye ichcha bhi bohot hi jald poori hone wali thi. Manipur mein huye iss attack ke baad NSA Ajit Doval, Indian Army chief General Dalbir Singh or 3 Corps ke commander Lt. General Bipin Rawat ke alava kuch gine chune Army officers ke sath ek meeting karte hai. Meeting mein Lt. General Bipin Rawat batate hai ki Manipur ke hamlavar Border cross kar chuke hai or Mayanmar ke jungle mein chupe huye hai. Lt. General Bipin Rawat se shuruaati plan sun ne ke baad General Dalbir Singh vahan mojood officers se kehta hai ki “ gentleman humaare iss mission ko khud prime minister ne approve Kiya hai or iss baar humaare pass government ka full support bhi hai”. Iss secret meeting ke khatam hote hote ye decide ho jaata hai ki India apne 18 soldiers ka badla agle 72 hours mein lekar rahega. 

Iss meeting mein decide hota hai ki Indian Army ke Para Commandos border cross karke Mayanmar jaayenge or vahan par bane algaavvadi camps par surgical strikes karenge. Surgical strike ki khabar dete huye General Dalbir Singh vahan mojood officers se aage kehte hai “ gentleman in surgical strikes ko 7 June ki subah execute Kiya jaayega or iss mission ka naam hoga Operation Sunrise”. Iss operation ke tehet Para SF Commandos ki do teams ko Manipur or Nagaland ke raaste se Mayanmar mein enter hona hai or vahan mojood algaavvadi camps ko poori tarah se destroy karna hai . Inme se ek team ki command Major Sunny ko saunpi jaati hai, vo turant hi ese camps ko select karne lag jaate hai jahan unke Anusaar algaavvadi apne aapko sabse jyada safe mehsoos kar rahe honge. Or Kai saari satellite images or satellite feeds ko check karne ke baad Major Sunny Mayanmar ke jungle mein ese teen camps ko select kar lete hai. Algaavvadiyo se bhare in teen camps ke upar Major Sunny or unki team ko Manipur se attack launch karna hai. Or theek usi samay Nagaland se bhi Para SF commandos ki ek team ko border cross karke pehle se selected camps par attack launch karna hai. Nagaland wali team ke liye apne target camps tak pahunchna itna kathin nhi tha lekin Major Sunny ki team ke liye apne targeted camps tak pahunchna kaafi kathin hone wala tha. Mayanmar mein stith ye camps jungle ke kaafi andar the or do din ke time period mein Manipur se in camps par attack launch karna kaafi mushkil hone wala tha. 

Kya Major Sunny surgical strike ko karenge postpone ? Kya India le paayega apne soldiers ki maut ka badla ? Jaanenge iss blog ke agle part 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Gadar 2

Gadar 2

फिल्म गदर हो या गदर 2 इसका हिस्सा होना सभी का सपना होता है और उस सपने को जीने का मौका मिला एक्ट्रेस सिमरत कौर

Read More »

Soldier 2

Major Shaitan Singh ka janm 1 December 1924 ko Jodhpur ki Rajput family mein hua tha. Desh ki seva karne ka jajba unke khoon mein

Read More »
Soldier 2 ,Bobby Deol ,Sara Ali Khan , Prakash Raj , Abbas Mastan ,By Yash Vashishtha bollygradstudioz.com

Soldier 2

Kahani ki shuruaat hoti hai North Kashmir ke Gurez sector se. Hum dekhte hai ki har raat ki tarah 18 August 2011 ki raat bhi

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected