Soldier 2

Major Sunny or unke commandos apni target location tak pahunch jaate hai, or subah hone ka wait karne lagte hai. Camp ke kuch baghi baar baar patrolling karne aate hai or hawa mein fire karke vaapas camp mein laut jaate hai. Major Sunny plan banate hai ki commandos ko teen teams mein divide Kiya jaaye, inme se do teams camp ke upar direct offensive attack karegi, jabki teesri team piche se cover fire degi. 9 June 2015 ke din subah 4 baje commandos apni apni positions lene ke liye pet ke bal camp ki taraf badhne lagte hai. Major Sunny apne night vision device ki madad se dekhte hai camp ke parameter par kuch baghi pehra de rahe hote hai, isliye Major Sunny apne commandos ko rukne ka ishara karte hai. 10 minutes baad jab vo baghi camps ke andar chale jaate hai tab 20-20 commandos ki do teams bilkul chup chaap camps ke ek semi circle bana leti hai. Aur teesri team ke 24 commandos pehle se hi peeche se cover Dene ke liye apni position le chuke the. Camps ke andar baghi apna subah ka breakfast ready karte hai, lekin unhe jara bhi andaja nhi hota ki ye unka last breakfast hone wala hai. Major Sunny ko pta hota hai ki, ye baghi subah ke 5 baje breakfast karne ke liye baithenge, isliye Major Sunny ne camp par attack karne ke liye subah ke 5 baje ka samay chunte hai.

Jaise hi subah ke 5 bajte hai Major Sunny rocket launcher liye apne do commandos ko ishara karte hai, jiske baad vo dono commandos ek ek rocket launch karte hai, jisse camp ke bahar bani do santri posts destroy ho jaati hai. Ab Operation Sunrise ki shuruaat ho jati hai or Indian commandos ke pehle hi attack mein dushman ke 6 baaghi maare Jaate hai. Rocket launcher ke dhamako se breakfast kar rahe algaavvadiyon  ko pta chalta hai ki, unke upar attack ho gaya hai, lekin isse pehle ki vo kuch kar paate, usse pehle hi Para SF ke 40 commandos unke upar apni assault rifles se tabadtod firing karna shuru kar dete hai. Para SF ke suddenly kiye gaye iss attack se ye algaavvadi itne jyada confuse or darr jate hai ki shuru ke 25 minutes tak unki taraf se ek bhi goli fire nhi hoti. Pehle camp ko clear karne ke baad jab commandos dusre camp ko clear karne ke liye jaate hai tab un algaavvadiyon ki taraf se firing hona start hoti hai. Major Sunny ko mili intelligence ke mutaabik in camps ke neeche bunker nhi hone chahiye the, lekin unki ye intelligence thodi galat saabit hoti hai. Teesre camp ke niche bane bunker mein se se commandos ke upar andhadhun firing kar di jaati hai, or iss firing se nikli kuch goliyaan Major Sunny ke helmet ko chho kar nikal jaati hai.

Lekin poori taiyaari ke sath aaye in commandos ko chote mote intelligence failure se koi fark nhi padta. Commandos bunker se ho rahi firing ka jawaab heavy firing se de dete hai. Major Sunny apne ek Commando ko ishara karte hai jiske baad rocket launcher se nikla ek rocket seedhe bunker par jaakar fat ta hai or vo bunker destroy ho jaata hai.

Ab tak Major Sunny or unki team ne algaavvadiyon ke do camps ko poori tarah se tabah kar diya hota hai, or teesra camp bhi aadhe se jyada tabah ho jata hai. Operation Sunrise ka motive poora ho jata hai. Ab Major Sunny ko yeh decide karna hota ki unhe vaapas lautna hai ya attack karna jaari rakhna hai. Darsal Major Sunny ko Lt. General Bipin Rawat se saaf saaf orders mile huye the ki, unhe operation poora hote hi bina deri kiye vaapas aana hai. Or Major Sunny bilkul vaisa hi krte hai, vo bina koi der kiye apne commandos ke sath border ki taraf chalna shuru kar dete hai. Major Sunny apne sabhi commandos ke sath sahi salamat ghar vaapas aa jaate hai or operation sunrise ke baare mein poore desh ko bata diya jaata hai.

The End.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

gadar 2

Gadar 2

गदर 2 को रिलीज करने की तैयार जोरों सोरों से शुरू हो चुकी है, और फिल्म का प्रमोशन कर रहे मेकर्स काफी एक्साइटेड है फिल्म

Read More »
Gadar 2: The Katha Continues is an upcoming Indian Hindi-language romantic period action drama film directed by Anil Sharma. It is a direct sequel to the 2001 film, Gadar.

Gadar 2

एक आस्तिक और नास्तिक की love story!   Ishu और Jony दोनो की मुलाकात उनके mutual friend की वजह से हुई और आज उनकी first

Read More »
Karan Arjun 2 , Salman Khan , Shah Rukh Khan ,bollygradstudioz.com

karan-arjun2

राजसमंद में 4 साल एक मासूम के पुनर्जन्म ki kahaani hai. दरअसल यहां किंजल नाम की एक मासूम ने अपने परिवार को ऐसी बाते बताई,

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​