Black Tiger

Ye movie pura thriller, action pact aur jasusi ke upar based hone waali hai aur makers ne bhi iss movie ke liye kisi aur ko nhi balki hum sab ke bhaijaan Salman Khan ko cast karne ka soch rahe hai kyuki yahi wo ek actor hai jo aisi movie ko aache se kar sakhte hai aur ho sakhta hai ki wo iss movie ke liye Dusko popov ki kahani isme dikha sakhte hai kyuki jaisa character Dusko ka hai waisa hi personality Salman Khan ka bhi hai, toh aayiye jaante hai Dusko ke baare mein. Juwa, jasusi aur haseenaen jaise har fun mein maharat hasil thi aur inka naam Dusko popov tha jo second world war ke dauraan mashoor huye ek Sarbia ke double agent the jinko jasusi ki duniya mein itihaas ke panno par triple agent ke naam ke taur par bhi liya jata hai, kehte hai ki british naval intelligence ke officer Ian Fleming ne Dusko popov se mulakaat ke baad hi James bond ka kirdaar racha tha. Dusko popov ka janam saal 1912 mein ek samrddh serbian pariwar mein hua tha, Belgrade University se kanoon ki padhai ke baad wo aage ki study ke liye Germany chale gaye the wahi second world war ki background par likhe gaye novel mein bataya gaya hai ki unhone kaise Germany jakar aise logo se dosti ki jinka connection spy agent se judde hua tha aur unko usme jodne waala koi aur nhi unka ki dost Abyehar tha kyuki uss jamaane mein Germany ke paas britain se jada videshi jasus nhi the . Dusko ne Abyehar ka offer maan liya tha aur wo seedhe British foreign intelligence agency MI-06 ke paas chale gaye aur baad mein dusko ne MI-06 ko saari baatein bata di thi ,iske sath hi Dusko britain aur Germany dono ke liye kaam karne waale double agent bann gaye the. Yeh baat saal 1940 se 1944 ke bich ki hai jab british jasusi circles mein Dusko ka code name agent tricycle rakha gaya tha. Dusko ne 18 saal pahele hi Britain se paheli baar world war ke jamaane ke jasuso aur double agents se judde classified documents sarvajanik kiye the. BBC ki claire hills ne unn documents ko dekhne ke baad tab ye likha tha ki british ke hitoh ke liye kaam karne waale wo sabse rangin mijaaz waale jasus ko kewal ek hi codename se bulaya ja sakhta hai aur wo tha Dusko double agent jo apni biwi aur mehbuba dono ko ek sath manage kiya karta tha. London ke Sevoy hotel ke ek khaas kamre mein Dusko thehra karte the, hasinaaon ka khiyal kis tarah se rakha jaata hai Dusko issme baazigar the unhe playboy ki sohrat isi se mili thi. Halaaki baad mein duniya ko pata chala ki Dusko popov apne bistar par ek se jada partner ka bhi shauk rakha karte the , aur ye unki khubiyon ko dikhata tha ki wo kaise logo ko attract karte the taaki koi bhi unn par jldi Biswas kar le aur ye spy agents ke liye bahut important hota hai kisi ki bhi trust ko jeetna ko jisme hamare Salman bhai bilkul maahir hai.

Waha ke logon ka kehna tha ki itihaas mein aise jasus bahut kam huye hai jinki shakshiyat James bond ke kirdaar se bilkul mel khaati hai lekin Dusko popov sachmuch aise the jo James bond ki tarah lagte the , haan sirf unki sharaab pine ki aadat ko chhod kar. Bahut se logo ka ye bhi kehna tha Dusko ko agent tricycle codename isiliye diya gaya tha kyuki wo ek triple agent the aur unhone america ke liye bhi kaam kiya tha. Dejan tiago Stankovic iski ek dusri kahani batate hai, jis kahani par sabhi ko abhi tak yakin hai. American khufiya agency FBI ke tatkaaleen director Edgar hoover unn par yakin nhi kar paaye , unka kehna tha ki dusko aise shaqs ki tarah nhi lagte the jinke paas itni bharosemand jaankaari ho. Uske baad kiya tha inhone sabko maja chakhaya tha, khaas karke unn desh waalo ko jinke desh mein Dusko ne ghus kar saare important information nikalwai thi aur baad mein inhone retirement le li thi taaki wo apni life ko aache se jee sake jaise ki Salman Khan jeete hai. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Jawan

Jawan

वैसे तो जवान का पूरा trailer ही fire है, लेकिन इस trailer का एक हिस्सा ऐसा है जो इस fire में gasoline add कर रहा

Read More »

Gadar 2

Bharat aur Pakistan ke bich saal 1947 mein azadi ke baad sabse paheli yudh hui thi wo bhi Kashmir ko lekar jo aaj tak ho

Read More »
Sooryavanshi 2

Sooryavanshi 2

United Nations ne thode hi din pehle yeh ailaan kiya hai ki Afghanistan mein Indian embassy mein kaam karne waale officers ko death threat mili

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​