Black Tiger

Walker ek United States Navy chief warrant officer hotey huye bhi unhone spy agent hi Banna chuna tha. Walker ka janam washington, DC mein 28 July saal 1937 ko hua tha aur unhone Scranton, Pennsylvania mein high school mein apni padhai ki aur baad mein high school chhodne kar Walker aur unke ek dost ne 27 may saal 1955 ko chori ki ek chain ka manchan kiya tha. Unki iss loot mein do tyre, chaar chauthai tel , cleaner ke 6 dibbe aur 3 dollar cash shamil the. Tej gati se picha karne ke dauraan iss jodi ne police ko chakma diya tha lekin do din baad unhe giraftaar kar liya gaya tha, Walker ko jail ya sena ke vikalp ki peshkash ki gayi thi. Unhe saal 1955 mein nausena mein bharti karaya gaya tha aur 8 saalo mein ek radioman ke roop mein chote adhikari ke roop mein safaltapurwak success huye the. Boston mein tainat rehne ke dauraan Walker barabar Crowley se miley aur shaadi ki aur unke 4 bache ek sath huye the jisme 3 betiyan aur ek beta tha. South carolina ke charleston mein nuclear powered Fleet Ballistic Missile pandubbi USS Andrew Jackson par tainat hone ke dauraan Walker ne ek baar uss pandubbi ko khola tha jo laabh kamaane mein vifhal raha aur turant karz mein dubb gaya tha. Walker aur pandubbi ki communication team ke dusre log John birch society ke member the jo chalak dal ke sadasya aur tat par doston ko sangathan ke baare mein saahity vitrit karte the, Walker ne playboy ki jeevan jeene ki koshish ki thi. Salman Khan ko agar iss movie ke liye cast kiya jaata hai toh wo Walker ke story mein kaafi aacha fit baithega aur logo ko connect bhi kar paayenge aur full action pact ke sath sath comdey se puri bhari hogi.
Jab Walker ko final Kiya gaya tha spy ke role ke liye toh pahele usse training diya gaya tha ki uske sath kya kya ho sakhta hai verginia mein. Usspar koi shaq na kare isliye usse navy ka warrant officer bana kar bhej diya gaya tha aur waha jaate hi usne aapna kaam shuru kar diya tha. Usne toh pahele waha sabki trust jo jeetne ki koshish ki taaki uss par koi shaq na kaare aur wo kuch bhi waha freely karta jaaye. Usne ab dheere dheere saare information america ko bhejna shuru kar diya tha wo jab bhi kisi mission par jata tha toh hamesha khud ko sabke bich rakhta tha taaki unke bich kya baat ho rahi hai wo suun sakhe aur unke room se nikalte hi wo waha pade documents nikaal leta aur waha ke ek khabari ke hantho america bhejwa deta tha jisse america ko pata chal jata tha ki wo log aakhir kiya plan kar rahe hai aur unka next step kiya hoga aur agar issi scene ko thoda sa twist karke love wala angle la diya jaayega toh movie mein hame ek aur angle dekhne ko mil sakhta hai ki kaise spy agent banne Salman Khan ne khud ke emotions ko Control kiya aur apne mission par focus kiya. Kyuki jaise mijaz ke Walker the uss kahani mein ek aise character ko bhi dikhana jaruri hai jiss se spy agent banne Salman Khan ke character ko aache se inhance kar sake, unhe dara kar tabhi ye film mein wo spark dekhne mil sakhta hai jo Salman Khan laate hai apne filmo mein aur sabko excite kar jaate hai.
Ab jab Walker ne apne kaam ko bahut shidaat se karna shuru kar diya tha lekin phir bhi unke mann mein pakde jaane ka darr hamesha rehta hi tha, aur aisa hi hua tha uss din jab Walker pakde gaye the. Roj ki tarah wo apne ghar se nikle office jaane ke liye aur iss baar ek bahut badi meeting hone waali thi jiska information nikalwana bhi bahut jaruri tha toh Walker office pahuchte hi shuru ho gaye the apne kaamo mein lekin jaise hi unhone socha ki documents lekar niklu unhe waha ke officers ne rango hanth pakad liya tha jiske baad unhe direct police station lekar jaaya gaya tha jab unnse puchtach hui toh unhone bataya ki wo America ke liye kaam kare rahe hai jiske baad police waalo ne inke bete ko bhi pakad liya tha kyuki Walker ka beta bhi unn sab mein involve tha. Walker ka beta chota tha isliye usse Kam saal ki saja sunai gayi lekin wahi Walker ko 25 saal ki saja sunai gayi thi. Kuch saal jail mein bitaane ke baad ye khabar saamne aayi ki Walker ko throat cancer ho gaya hai jiske baad 28 August saal 2014 mein cancer aur diabetes ke wajah se inki jail mein hi maut ho gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Black Tiger ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

Chandan Pandit

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Krrish 4

यह घटना सन 1935 की है , और इसी वक्त भारत में govt of India act pass भी किया गया था. । उसी दौर की

Read More »

Heropanti-3

“Heropanti 3” में, Tiger Shroff को फिर एक बार एक action hero के रूप में पेश किया जाएगा. अगर हम reports की माने, तो film

Read More »
Dunki

Dunki

Dunki Hogi postponed! साल 2023 शाहरुख खान के लिए बहुत खास रहा है। शाहरुख खान ने इस साल 4 साल बाद कमबैक करते हुए हजार

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​