Singham 3

Sixteen saal ka Karanbeer waise toh apni maa ka ladla tha, magar uska jigra bahut bada tha. Usse zyada darr nahi lagta tha, aur apne doston mein sabse daring kaam karne mein wahi aage tha. Magar Karanbeer koi lafanga teenager nahi tha. Woh sabki madat karta tha aur aise hi ek madat usne tab ki jab uski khud ki jaan ko khatra ho sakta tha!
20 September 2016 ko Attari village ke paas ek school bus jaa rahi thi. Yeh bus din ke samay school se kariban 25 bachon ko lekar nikal rahi thi. Khaali road tha aur bus wala pull se gaadi ko utaar raha tha. Kyun ki khali road tha, aur din ka samay tha toh driver ne thodi speed badha rakhi thi. Itne mein kaise driver ka balance bigad gaya aur bus paas ke talab mein jaa giri, kisi ko pata hi nahi chala.
Tab Karanbeer paas se hi nikal raha tha. Karanbeer ne jaise hi dekha ki bus mein logon ko madat chahiye woh turant hi bhagta hua chala aya. Usne sabse pehle punch kar kar ek khidhki todi jisse 1, 2 chote bachon ko nikaala. Magar baaki sab khidhki se nahi nikal sakte tha. Isi liye Karanbeer ne paas se ek iron rod dhundhi aur aage ke gate ka tala toda. Bus mein kaafi paani ghus chuka tha. Magar woh ruka nahi. Usne ek ek kar kar logon ko bhaar nikalna shuru kiya. Abb hua yeh ki kuch logon ko toh usne bhaar nikaal diya, magar ek teacher thi bus mein jiski saari atak gayi thi. Toh Karanbeer ne apni saans rok kar paani mein jaakar saari ko bhi chudwaya. Uss teacher ki madat karna uske liye asaan nahi tha kyun ki usse swimming nahi aati thi. Usne jaise taise kar kar apni saans rok kar yeh jokhim uthaya tha. Abb usse yeh karna hi padha kyun ki woh aise darr mein kisi ki jaan jaate nahi dekh sakta tha.
Iske baad Karanbeer ne bhaar nikal kar sabhi se yeh bhi confirm kiya ki koi andar bacha toh nahi, aur uske baad hi woh khud zameen par gir padha. Uske baad usse bhi baaki sabhi ke saath hospital lejaya gaya jahan doctor ne bataya ki Karanbeer ko kuch nahi hua hai, bus uski body exhaust hogayi thi isi liye woh wahan behosh hogaya!
Uss din ke baad se puri city mein Karanbeer ka naam sunayi dene laga, aur jagah jagah log uske maa baap ko bhadhai dene aaye ki unke bete ne kaise, apni jaan khatre mein daal kar dusron ki jaan bachana zaroori samjha!
Toh bus kya pata iss baar Singham ke bachpan ki kahani Karanbeer ki kahani se milti jhulti ho? Kya pata Singham bachpan se logon ko bachata aya ho. Yeh dekhna hoga Singham 3 mein!

 

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Tiger 3 , Salman Khan, Emraan , Katrina, Bollygrad Studioz,bollygradstudioz.com

Tiger 3

Tiger 3 Tiger 3 की कहानी की कहानी twists और turns से भरी होने वाली है। माना जा रहा है कि film के part 3

Read More »

Rowdy Rathore 2

35 saal ki Latha Unni ek din ek bus mein jaa rahi thi. Latha uss din bhi roz ki tarah kaam ke liye iss bus

Read More »
DOSTANA 2

Dostana 2

करण जोहर की produce फिल्मों में दोस्ताना एक ऐसी फिल्म थी जो करण की बाकी फिल्मों से बिल्कुल अलग थी, करण जोहर के साथ साथ

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​