Surya sen ka janam 22 March saal 1894 ko Chittagong mein Ravzan ke tahat Napara mein hua tha, unke pita Ramaninjan sen ek teacher the . Saal 1916 mein Surya ne BA paas kar li thi jiske baad unhone apne teacher se India freedom andolan ke baare mein sikha jiske sath sath unhone ye mehsus kiya ki unke andar bhi kahi na kahi ek karantikaari ki chingaari thi jo khud ko dheere dheere aaga mein badal rahi thi. Apni padhai puri karne ke baad unhone saal 1918 mein Chittagong laut aaye aur ek karantikaari group mein shamil ho gaye the, ab maano aisa lag raha tha ki kisi bhi haal mein Surya sen ko apne desh ko azaad dilwana hi tha sath mein unhone socha ki agar wo kisi school ke teacher bann jaate hai toh isme bhi inka hi faida hai aur wo faida aisa tha ki wo bacho ko aache se bata paate ki kyu jaruri hai bharat ka azaad hona aur iss scene mein agar makers thoda change karke agar ye dekhte hai ki aage chal kar inhi students ne Surya sen ka sath diya tha azaadi ke liye toh kahi na audience ko ye scene touch kar sakhti hai jinko aisa feel hoga ki Surya sen ki strategy kaam kar gayi aur unke students aaj unke sath hai. Surya sen national school Nandankanan mein maths ke teacher bann gaye the jiske baad unhone apna kaam shuru kar diya tha. Ab Surya financially independent ho gaye the toh unhone sirf apni Dil ki suuni aur jab bhi koi andolan hota toh wo usme badh chadd kar hisa liya karte the. Uss samaye jo party sabse jada mashur thi wo thi bhartiya rashtriya congres jisme aane ke baad Surya sen ki takat aur badh gayi thi.
Maharshi Dayanand University se sambandh itihaasavetta N Malik ke anusaar ye Chittagong vidroh ki ghatna 18 April saal 1930 mein shuru hui thi jab bangal ne Chittagong mein azaadi ke deewaano ne British ko ukhaad phekne ke liye Indian republican army ka gathan kiya tha. IRA ke gathan se purey bangal mein karanti ki jwala bhadak uthi thi aur 18 April saal 1930 ko Surya sen ke leadership mein darzano karantikaariyo ne Chittagong ke armory ko lootkar British shashan ke khatme ki ghosna kar di thi jiske baad waha karantikaariyo ko dekh kar kuch dino ke liye British ka shashan waha khatam ho gaya tha. Lekin kuch waqt ke baad British wapas aaye aur unhone apne sath iss baar bahut saare sainiko ko sath laaye the jiske baad Surya sen ko samjh aa gaya tha ki 10 logo se kuch bhi nhi hoga unhe khud apni ek team banani hogi aur aisa hi hua, Master Surya sen ke Chittagong se british ki hukumat ke khilaaf khud ki ek army taiyar ki jiska naam Indian Republican Army rakha aur dheere dheere 500 logo ko usne add kar liye gaye the. Iss army gruop mein ladko ke sath sath ladkiyan bhi shamil thi, kuch dino ke baad unhe hathiyar ki jarurat mehsus hui jiske baad Surya sen ne 18 April saal 1939 ki raat ko Chittagong ke do shastraagaaron ko lootne ka plan banaya jisme wo kuch hadd tak safal bhi ho gaye the. Jab Surya sen shastraagaaron ko lootne ka plan bana rahe the tab uss scene ko aise add karke dikhaya ja sakhta hai ki kaise uske dost ne hi khud kuch paiso ke liye uske sath dhoka kiya aur aisa hi scene hamne RRR ke part one mein dekha tha lekin usme usne sirf British ke ghar mein ghusne ka plan banaya tha aur RRRR ke iss part mein agar usse paiso ke lalach mein badal diya jaayegaa toh wo scene kahi na kahi logo se aache se connect kar paayegi.
Aapne desh ki azaadi ke liye ladte huye Surya sen Shahid ho gaye , Surya sen ko logo ko bhadkane ke liye phasi ki saja sunai gayi thi lekin unko saja dene se pahele unke ek dost Tarakeshwar Dastidar ne bhi koshish ki unhe bachane ki lekin unko bhi pakad liya gaya aur Surya sen ke sath phasi dene ki saja sunai gayi, unhe saja dene se pahele kaafi tadpaya gaya tha aur phir 12 January saal 1944 ko unko phassi de di gayi thi. Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie RRRR ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.
Chandan Pandit