Soldier 2

Hamne bahut saare aise soldiers ki kahani suuni hai jinhone apne desh ke liye ladkar apni jaan kurbaan kar di ho ya apne desh ke liye shahid ho gaye ho, lekin aaj hum ek aise soldier ke baare mein jaanenge jinhone desh ki sewa karte karte apni zindagi Bharat maa ko arpan kar di thi, lekin uss solider ka isse bhi mann nhi bhara toh unhone marne ke baad bhi apne desh ki sewa karne ki thani. Hamne aksar bhagwan ki kai saare mandir dekhe hai lekin ye solider aise soldier the jinki mandir banwayi gayi hai aur inki roj puja bhi hoti hai. Shikkim ke logo ka kehna hai ki baba harbhajan singh waha roj aate hai aur unn har soldier ki madad karte hai jo kisi kaaran waha phas jaate hai ya unki Jaan par koi baat bann aati hai, aur wo soldier koi aur nhi Baba Harbhajan Singh hai jinka janam 30 August saal 1946 ko Gujranwala Punjab ke Sardana gaaon mein hua tha, jinhone apni shuruaati sikhsha wahi ke local school se ki thi. March saal 1955 mein DAV school se apni 10th ki aur jab unse pucha gaya tha ki bade hokar tumhe kiya banna hai toh wo aksar bola karte the ki unka bachpan se hi soldier banne ka sapna hai jo wo ek ek din jarur pura karenge, aur aisa hi hua bahut mehnat karne ke baad saal 1966 mein Harbhajan Singh ko Indian army ke Punjab regiment mein ek officer ke roop mein rakh liya gaya tha lekin unhe ek officer ke roop mein rakhne se thik ek saal pahele saal 1965 ko Harbhajan Singh ko ek commision ka assignment diya gaya tha jiske baad unhe 14 rajput regiment mein tainaat kiya gaya tha aur saal 1965 ke India – Pakistan war mein unhone ek important role nibhaaya tha jiske wajah se unka promotion ho gaya tha. Jiske baad aaya unke life ka sabse bada turning point jisse agar makers aache se uss scene ko banate hai toh wo Kaafi interesting ho sakhta hai, makers scene ko thoda sa aur inhance karne ke liye usme ye dikha sakhte hai ki kaise jab Harbhajan aur unke group ko jab transfer Kiya ja raha tha toh wo ek baar bus accident se bach gaye the jo kahi na kahi ye unke liye ek singal bhi tha ki unki bahut jald maut hone waali hai.

Saal 1968 ko Harbhajan Singh ko unke team ke sath shikkim bheja gaya tha. Jaha wo sab aaram se pahuch gaye the jiske baad unhe unka location bata diya gaya tha jisko peeche se lead karte huye Harbhajan Singh jaa rahe the tabhi unki pairr pichal gayi aur wo nadi mein girr gaye jiske wajah se wo behkar karib 2 km dur chale gaye the jiske wajah se baakiyon ko unko dhundhne mein bahut dikat aa rahi thi. Baad mei jab wo nhi miley toh unke group waalo ne unhe lapata ghosit kar diya tha, inn sab chiz ko huye 5 din ho chuke the tabhi achanak ek din soldier Pritam Singh ke sapne mein Harbhajan Singh aaye the unhone pritam ko bataya ki unki maut ho gayi hai aur unki dead body kaha hai. Jaise hi pritam utte unhone turant ye jaankaari apne senior ko di aur wo sab uss jagah par pahuch gaye jaha sach mein unhe Harbhajan Singh ki dead body mili jiske baad unhe uthaya gaya aur unhe base camp par le jaaye gaya aur unki antim sanskaar ki gayi. Jiske baad makers thoda sa twist and turn karke dikha sakhte hai ki kitne muskil se logo ne Pritam ki baaton par biswas kiya tha aur jab wo sab waha gaye toh saare ke saare log Harbhajan Singh ki dead body dekh kar chauk gaye aur Pritam se maafi bhi mangi , jisse audience ke mann mein bhi koi doubt nhi rahega aur wo movie ko feel bhi kar paayenge.

Ab aisa roj maano hone laga tha jab bhi kisi soldier par koi khatra aata toh harbhajan singh aksar pritam ke sapne mein aate aur unhe agah kar dete the. Ek din baaki dino se thoda sa kuch alag hua, jab iss baar Harbhajan Singh sapne mein aaye toh unhone Pritam se bola ki unki iccha hai ki unki samadhi banayi jaaye aur thik aisa hi hua. Shikkim mein baba Harbhajan Singh ki mandir banwai gayi aur unke retirement tak unko wo har shuvidha di jaati thi jo ek soldier ko milti hai . Ye kahani ho sakhti hai aane waali movie Soldier 2 ki, aapko ye story kaisi lagi comments karke jarur bataiyega aur tab tak aap apna dhiyan rakhiye aur hamesha muskurate rahiye.

 

 

 

 

Chandan Pandit

 

 

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Beta 2 , Anil Kapoor, Madhuri Dixit,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Beta 2

Nancy ko hamesha se pariwaar ka sukh mila hai, aisa woh sochti thi. Nancy 2 saal ki thi jab uski maa chal basi. Uske baad

Read More »
Mr .India 2 , Anil Kapoor, by Khyati raj bollygradstudioz.com

Mr. India-2

Kya aapne kabhi bhi aise insaan se baat ki hai jo future se aaya ho? Nahi naa? Lekin John Titor(जॉन टिटर) ek aisa naam hai

Read More »
Gadar 2

Gadar 2

Actor अमीषा पटेल की दूसरी फिल्म थी गदर। इससे पहले उन्होंने ‘कहो ना प्यार है’ से अपने फिल्मी करियर की शुरुआत की थी। अमीषा ने

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​