Baat May 2000 ki hai, jab Manali-Leh Highway ke raaste se aa rahe 4 dost, apne do Royal Enfield bullets ke saath Leh ke घुमावदार sadak se gujar rahe the. Chaaron dost apne 20s me the, jo Manali se Leh tak bike tour kar rahe the.
Yeh unke trip ka dusra din tha, jaise-jaise unhone chadhai shuru ki, waise-waise unke hosle bhi badhte chale gaye. Gata Loops ke naam se famous 21 मोड़ों ka yeh 10 km ka poora rasta, kaafi jyada sundar hai. Yeh tab ki baat hai jab yeh ilaaka logon ke beech utna nahi famous tha. USS dauran “Rohtang Pass” ke raaste guzarne waala Manali-Leh highway, yaa toh truck driver dwara istemaal kiya jaata tha, yaa phir adventure lovers ke dwara, kyunki tab yeh raasta kaafi utaar-chadhaav se bhara tha. Yeh raasta sarkaar dwara 6 mahine pehle hi heavy snowfall ke baad khola gaya tha. Waise toh yeh jagah apni sundarta ke kaaran kaafi jaani jaati hai. Issi kaaran inn chaaron doston ne Leh tak ek trip karne ka iraada banaya. Jab yeh chaaron ladke sadak ke 19ve मोड़ pe pahuche, tab unhone raaste me ek aadmi ko dekha, jo apne late 30s me lag raha tha. Woh aadmi sadak ke beechon-beech khade hokar paani maang raha tha. USS aadmi ne ek maroon colour ki shirt pehan rakhi thi, jo kaafi puraani aur phati hui thi. Aisa lag raha tha jaise woh aadmi koi bhikhaari ho. Chaaron dost uss aadmi ko dekh kaafi chaunk gaye the, kyunki uss sunsaan raaste me kabhi-kabhi yaa toh bikers dikhayi dete the, yaa phir bahut rarely kuch local gaaon waale, iske alawa iss area me koi aata-jaata nahi tha. Aise me uss kamzor aadmi ka utne utaar-chadhaav bhare raaste me nazar aana kaafi ajeeb tha. Halanki inn sab ke bawajood bhi unn chaaron ladkon ne apne bike ko uss aadmi ke saamne roka, jinme se ek ladke ne paani ki bottle nikaali aur uss pyaase aadmi ko dedi. Par ladke ke hosh tab udd gaye, jab paani ki bottle uss aadmi ke haaton se aar-paar hokar zameen pe gir gayi. Chaaron ladke hairaan bhari nazaron se uss aadmi ko aur zameen pe gire uss bottle ko dekh rahe the. Woh chaaron darr se itna chaunk gaye the, ki unhe samjh hi nahi aa raha tha ki aakhir abhi unke saath hua kya tha. Par unhone apna wakt jyada barbaad naa karte huye turant apni bike pe baith kar uss jagah se bhaag nikale, lekin unn chaaron ko jaate dekhkar woh aadmi lagataar paani maangte reh gaya.
Ho sakta hai Bhool Bhulaiyaan-3 iss baar ek couple pe based naa hokar, kuch aise doston ki kahani pe filmayi jaaye, jo aise hi kisi trip pe jaa sakte hai, jaha raaste me unhe kuch ajeebo-gareeb experience karne ko milega, jo unhe aage jaakar ek alag journey ki yod le jaane ka kaam karega.
Khair, sochne waali baat yeh hai ki aakhir uss jagah pe woh aadmi yun iss tarah se paani kyun maangta hai. Dekha jaaye toh iski kahani hume saal me aur peeche le jaati hai, jab North India me thand ka mausam shuru hi hua tha. Yaani ki 1999 ke October mahine ka teesra hafta. Thand dheere-dheere badh rahi thi, Manali-Leh highway ke alawa kuch aur jagahon pe barf ab jamni shuru ho chuki thi. Issi dauran ek subah samaan se loaded ek truck, Rohtang Pass se guzarkar Manali-Leh ke raaste ho leta hai. Issi ke thodi der baad achaanak tezi se barf-baari honi shuru ho gayi, jisse aage ka raasta barf ke kaaran block ho gaya. Wahi uss ilaake ka dusra raasta, yaani ki “Kunzum paas” bhi kuch din pehle hi barf ke kaaran band kar diya gaya tha. Pura ilaaka ajeeb si shaanti se bhar gaya, maano jaise kisi bhyaanak toofan ki yor ishaara kar raha ho. Par truck driver aur uske helper ne bhi waada kiya tha, ki woh kisi bhi tarah sadak ke block hone se pehle woh samaan ko tai jagah pe deliver kar denge. Issi kaaran kisi tarah truck ko kheenchte huye, use shaam tak “Gota Loop” tak pahuchaya gaya, lekin utaar-chaadav se bhare iss khatarnaak raaste ke kaaran, truck 19ve मोड़ pe aakar jald hi gir gaya aur toot gaya. Truck ka driver aur uske helper yeh dekhye hi chaunk gaye. Unhone truck ko theek karne ki poori koshish ki, par woh naakaamyaab rahe. Issi kaaran dono ne raat ussi jagah bitaane aur waha se guzarne waale tourists se madad maangne ki sochi. Lekin truck ke driver aur uske helper ko yeh baat pata nahi thi, ki unke Rohtang Pass cross karne ke baad hi woh jagah bhi barf ke kaaran block ho chuki hai, yaani ki unka truck uss ilaake se jaane waala aakhiri vehicle tha. Poori raat Gata Loops ke 19ve मोड़ pe phanse rehne ke baad truck ke driver ne, Gata Loop se 24 km ki doori pe stith “Sarchu” tak paidal jaakar aur waha se kisi mechanic ko laane ka faisla kiya. Wahi helper ne ussi jagah reh kar truck me loaded samaan ki dekh bhaal karne ka faisla kiya, jiske baad driver turant Sarchu ki yor bhaaga.
Aage hum jaanenge ki aakhir kis tarah ki mushkilon ka saamna driver aur uske helper ko karna pada aur aakhir kis ka bhoot Gata Loop ke 19ve मोड़ pe aaj bhi bhatakta hai. Puri kahani jaan’ne ke liye bane rahiye humare saath iss channel pe jiska naam hai Bollygrad studioz
To be continued…
Rowdy Rathore 2
UP में एक ऐसा गैंगस्टर पैदा हुआ था जो किस्से-कहानियों में आज भी जिंदा है। 90 के दशक के इस गैंगस्टर ने न सिर्फ अपराध