Shark Tank me aane waale Kamlesh ke anusaar unhone iss show ka add, apne phone pe dekha tha, jiske baad uske bhai ne use iss show me jaane ke liye kaha. Kayi round audition dene ke baad aakhirkaar Kamlesh Shark Tank ke judges ke saamne aayen. Kamlesh iss show me apne cousin Nathu ke saath aaye the. Apne product ko dikhaate wakt kamlesh ne kaha “humare muh me, aankh me yeh pesticide jaane se bimaariyaan hoti hai, toh mere papa ko bhi yeh bimaari thi. Din bhar agar woh khet me kaam kar lete the, toh unhe raat me neend nahi aati thi. Maine khud yeh problem face kiya hai, jab mai din bhar khet me kaam kar leta tha toh mujhe bhi raat me neend nahi aati thi. Mujhse mere papa ki yeh problem dekhi nahi gayi, issi kaaran maine raat me apne dimaag me ek design banaya aur uske baad yeh jugaad banaya.” Kamlesh ki baaton se show ke judges kaafi prabhaavit huye. Halanki jab baari investment ki aayi toh 5 me se 4 judges ne Kamlesh ki company me investment karne se mana kar diya, lekin lenskart ke co-founder aur CEO Peyush Bansal ne Kamlesh ka offer accept kar liya. Peyush Bansal ne Kamlesh ko unki company “KG Agrotech” me 40% share pe 10 lakh rupay dene ke alawa, 20 lakh rupay ka loan bina kisi interest rate ke dene ka offer diya. Show ke kuch dino baad Peyush Bansal ne Kamlesh ko apne Delhi stith ghar pe bhulaya aur product ke baare me discuss kiya. Kamlesh ne iss discussion ka ek live video bhi apne Instagram Handel pe bhi share kiya tha, jisme Peyush aur Kamlesh product ko market me launch karne ke baare me baat karte dikhaayi de rahe the. Kamlesh ne isse pehle apna luck acting me bhi aazmaya hai aur woh kuch Marathi web series me bhi dikhayi de chuke hai jinme se ek “Patang Premacha” hai. Kamlesh “Kaal” naam ke ek short film me bhi kaam kar chuke hai, jo Corona virus pandemic pe based thi.
Wahi Kamlesh ke bade bhai bhi hai, jo Indian army me apni servicing de rahe hai. Kamlesh bhi apne teenage me Indian army join karna chahte the, unhone kayi baar entrance exam bhi dene ki koshish ki, lekin jab unke पैरों ki do उँगलियाँ fracture ho gayi, toh unhone army ke liye prepare karna chod diya. Fracture hone ke kaaran kamlesh kayi mahino tak bed rest pe the. Acting ki baat kare toh yeh skill Kamlesh ko apne college ke dauran aayi. College ke dauran hi Kamlesh kayi saare acting aur singing competition me participate karte the. Unki acting skill ko dekh kar, Kamlesh ke doston ne unhe apna luck acting me aazmaane ko kaha. Kamlesh ke Mumbai me reh rahe ek dost ne unki madad Mumbai me rehne aur audition dilwaane me ki, lekin Kamlesh ke looks aur unki language ke kaaran unhe har baar hi reject kar diya jaata tha. Issi kaaran Kamlesh acting chod kar apne ghar waapas aa gaye. Kamlesh ne iske baad naukri doondhne ki koshish ki. Unke gaaon ke hi ek aadmi ne unhe government job dilwaane ka waada kiya, lekin uske liye Kamlesh ko apne kuch documents aur 1 lakh rupay jama karwaane the. Kamlesh uss aadmi ki baaton ko maan gaya, lekin baad me pata chala ki woh aadmi asal me ek fraud tha. Issi ke baad Kamlesh ne decide kiya ki woh kabhi naukri nahi karenga. Apne zindagi me lagataar mil rahe failure ke kaaran Kamlesh depression me chale gaye aur iss kaaran unhone do baar suicide karne ki bhi koshish ki. Kamlesh jab se Shark Tank me gaye hai, tab se unki kahani ko lagataar bade media company ne cover kar, unka interview liya hai. 2021 me Kamlesh ko Zee ki yor se “24 hour Rise startup to unicorn” ka award mila. Kamlesh Josh talks me bhi shaamil huye hai jaha pe unhone apni life story share ki hai.
Toh yeh thi “jugaadu kamlesh” ki kahani, jisne jugaad kar ke naa sirf apni khud ki ek company shuru ki balki unhone humare desh ke kisaano ke liye madad bhi kiya hai.
The End
Krrish 4
अब फिल्मो का जो दौर शुरू हुआ है वो ऐसा दौर है जहां एक्टर के साथ एक्ट्रेस भी कदम से कदम मिलाकर चल रही है।