Bhool Bhulaiyaa 3

Yeh kahani Japanese snow spirit “Yuki-Onna” ki hai.
Ek baar ek budha aadmi aur ek ladka, kahi door ki yaatra karne ke liye apne gaaon ko chod kar saath me kahi jaa rahe the. Par yeh baat koi nahi jaanta , ki aakhir woh apne gaaon se itni door jaa kis liye rahe the. Lekin shaayad woh jis kaam se nikale the, woh pura ho chuka tha, tabhi toh sardi ke mausam ke saath hi woh dono bhi ab apne ghar waapas laut rahe the. Lekin uss dauran log sardi ke mausam me yaatra karne ko safe nahi maante the. Woh dono jaise-jaise aage badhte gaye, unhe jald hi pata chal gaya ki, woh apne raaste se bhatak chuke hai. Desh ke kisi anjaan kone me me woh dono yaha waha akele bhatak rahe the, lekin unhe raasta dikhane waala koi nahi tha. Jaise hi raat aayi, unn dono ne khud ko ek tej behane waali nadi ke kinaare paaya. Uss nadi ko paar karne ke liye naa hi waha koi Bridge tha aur naa hi koi boat. Jaise-jaise raat badhti gayi, aasmaan me kaale baadal chaahne lage, mausam bhi kharaab hone laga aur tej hawa bhi behne lagi, jo aas-paas ke sukhe pade झाड़ियो(bushes) ko apne saath udaa le jaa rahi thi. Phir achaanak barf girni bhi shuru ho gayi, jiski bade-bade tukde nadi me bhi gir rahe the.. Fir Ladka barf ko dekhte hi khush hokar chilaya, “Kitna jyada white hai yeh!” wahi dusri taraf woh budha aadmi thand se kaanp raha tha. Dekha jaaye toh unn dono ki haalat kaafi khraab thi, kyunki thand kaafi jyada tha. To Film Bhool Bhulaiyaa 3 me bhi main kirdaar apne pita ke saath aise hi kisi lambi yaatra pe nikal sakta hai, jaha se laut te wakt woh rasta bhatak jaaye aur khraab mausam ke beech me phans jaaye.
Khair, kahani ki baat kare toh thand kaafi badh gayi thi, jis kaaran uss budhe aadmi ne khud ko ek shawl se cover kiya aur wahi zameen pe hi बैठ gaya. Wahi ladka apne muh ki garam hawa se khud ki ungliyon ko thand me freeze hone se bacha raha tha. Ladka nadi ke kinaare se thoda upar gaya, jaha pe use ek choti si gareeb झोपड़ी mili. Ladka khush ho gaya aur kehne laga ki itne khraab mausaam aur itni raat me ek rehne ki jagah dene ke liye hume bhagwaan ki taarif karni chahiye. Shaayad woh ghar khaali tha aur waha koi nahi rehta tha. Ladke ne turant uss budhe aadmi ko ghar ka raasta dikhaya. Uss ghar me aag ya khaane ki kuch bhi cheezen nahi thi, bus kuch sukhe पत्ते pade the. Unn dono ne khud ko sukhe घास se bane raincoat se cover kar liya aur wahi let gaye. Thand jyada hone ke bawajood bhi dono ko jald hi neend aa gayi. Japan me puraane zamaane me log khud ko baarish aur khraab mausam se bachaane ke liye sukhe घास se bane raincoats aur hats ka istemaal karte the.
Khair, gehri neend me so rahe uss ladke ki neend achaanak aadhi raat ko khul gayi. Aisa laga jaise barfili hawa ne uske गाल छूए. Iss kaaran Ladke ki neend achaanak khul gayi aur woh dekhta reh gaya ki ghar ka darwaza puri tarah se khula hai aur baahar barf ka tornado bana hua hai. Ladke ne uthne ki koshish ki lekin uske पैर barf se covered ho chuke the. Fir Achaanak ek ladki barf ke toofan ke saath andar aa gayi. Woh budhe aadmi ki taraf jhukti gayi aur use dekhti rahi. Wo ladki barf ki tarah safed thi. Yaha tak ki uske kapde bhi puri tarah se white the. Woh kaafi sundar thi, jiske baal barf girne ke kaaran safed nazar aa rahe the. Usne budhe aadmi ko apni ugliyon se touch kiya aur woh jaise hi aisa karte gayi, uske haathon se snow drops girne lage. Aisa karne ke baad jaise hi wo ladki uss budhe aadmi ki yor jhukna band karke khadi hui, uske pairon ke neeche se bhi barf girne lagi. “yeh asaan tha” aisa keh kar ladki saamne khade ladke ke paas pahuch gayi.
To Aage hum jaanenge ki aakhir barf me samayi woh ladki kon thi aur aakhir usne uss budhe aadmi ko kya kiya. jaan’ne ke liye dekhte rahiye humara yeh channel, jiska naam hai Bollygrad studioz.
To be continued… part-1

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Black Tiger, Salman Khan,Yaami Gautam,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Black Tiger

Aldrich Ames ek aise desh bhakt the jinhone apne desh ke liye haste haste aapni zindagi daao par laga di thi . Unhone bachpan se

Read More »
Krrish

Krrish-4

Rakesh Roshan ने Hollywood फिल्मों के famous characters को ध्यान में रखते हुए Krrish बनाया है, यह बात तो सब जानते है, लेकिन तब भी

Read More »
Mr. India

Mr. India 2

Mr India 2 जब भी हम किसी नए virus के बारे में सुनते हैं तो अक्सर हम यह देखते हैं कि उस वायरस की शुरुआत

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​

Get Connected