India mein Mayawati ka naam bahut famous hai, aur woh bhi sabhi galat karano ki wajah se. Mayawati shuruaat mein itni strong personality ubhar kar aayi thi ki agar woh chahti toh unke raj mein UP ka vikaas ho sakta tha. Magar vikaas hua unke bank balance ka!
Apni Chief Minister ki powers ka pura istemaal karte hue Mayawati ne UP mein alag alag statues banane ka order diya tha. Matlab jis state mein literacy level kam hai, crime rate zyada hai, mahilaon ki safety kam hai, uss state mein Mayawati saare paise statues banane mein kharch kar rahi thi! Unhone kaafi Dalits aur OBC icons jaise Sant Ravidas, Sant Kabir, Jyotirao Phule aur bhi kayin statues banwane ka order de diya tha. Itna hi nahi public libraries ka idea drop kar kar unhone parks, galleries, museums banwana shuru kiye the. Ek cheez ka order khatam hota nahi tha, usse pehle hi woh kisi dusri city mein bhi similar project launch kardeti thi. Aur waise toh government ka kaam delay hojata hai, magar yeh statues aur yeh sab cheezein banane ka kam ek hafte ke andar shuru hojata tha!
Magar ismein dikkat kya hai?
Ho sakta hai ki Mayawati yeh sab tourism badhane ke liye kar rahi ho!
Magar aisa nahi tha. Darsal Mayawati ka main aim tha paise khaana. Iss construction business mein unhein kaafi commission mil jaati thi. Jo funding ati thi woh puri istemaal ki hi nahi jaati thi, balki aadhe se bhi zyada paise unke bank account mein chale jate the. Abb yeh paisa aata toh hamare income tax se hi hai na. Toh basically Mayawati ne apni jeb bharne ke liye yeh chote chote projects launch kar kar, moti moti rakam ko apne bank mein route kara liya tha. Issi wajah se gaon se aane wali Mayawati ki lifestyle change hoti dikh rahi thi!
Unhone nayi nayi kar kar 685 crore rupay kharch kiye sirf yeh statues banwane mein!
Aise mein bahut se officers ne Mayawati ki complaint ki thi ki woh bahut logon ka paisa waste kar rahi hain, aur unki yeh badi badi gaadiyan, bade bade mansion aakhir aa kahan se rahe hain?
Kuch officers se pange ke baad Mayawati ka raaz khulne laga tha. Aise mein ek inspector jo ki chief the unki Mayawati se bahut kaha sunni bhi hogayi thi, jinhone tay karliya tha ki woh Mayawati ke against proof lakar rahenge. Aur iss officer ko proof mila bhi tha kyun ki iss officer ne World bank se liye hue paison ki detailing nikalwaayi thi, jismein world bank ne bhi yeh statement diya tha ki Mayawati ne unke funds sahi jagah istemaal nahi kiya hain, jinka proof unke paas hai.
Toh bus aisa hi Police officer aur aisi hi corrupt Politician hamein Singham 3 mein dekhne ko mil sakti hai. Abb Politician hai toh obviously uske kuch chahite honge jo uski Raksha karte honge. Toh bus hamare Singham ke saath aisa hi kuch log action karte dikh sakte hain.
-By Pratima Ratwani.