Sooryavanshi 2

Arif philhaal hiraasat mein hai. Kuch din pehle Bangalore ke ek software engineer ko pakdha gaya tha kyun ki NIA aur ISD ko ek nahi, do nahi balki multiple tips mili thi ki iss aadmi ka taaluk terrorist organization Al-Qaeda ke saath hai. Usse pakdh liya gaya tha aur uske paas se bahut se saboot bhi mile the jo saaf darshate hain ki yeh information sach thi. Magar investigation hui kaise?
Darsal hua yeh ki Arif ke paas se bahut se devices aise mile the jo ki frequency ko pakdh kar communication establish karte the. Aaj kal ke phones network par chalte hain, magar frequency ko catch karne waale yeh devices khaas banaye jaate hain. Agency ne issi frequency ko dundh nikala!
Jis frequency par yeh devices apne head se communicate karte the, woh ek coded frequency thi. Abb Arif ka jo phone baramat kiya gaya tha usmein sabhi contacts normal the. Koi colleagues the, toh koi padosiyon ke number. Koi bhi number suspicious nahi lag raha tha. Aise mein agencies ne ek ek number dial kar kar dekha yeh check karne ke liye ki kaunsa number registered hai aur kaunsa nahi. Iss list se toh unhein kuch nahi mila. Uske baad unhone Arif ki call history check ki. Iss mein bhi sabhi contacts ke hi number the. Iske alawa Arif swiggy, Zomato, online shopping kuch bhi nahi karta tha. Isi liye koi aisa number nahi tha jo ajeeb ho. 4 din call history chaani gayi, magar kuch nahi mila. Shayad paanchve din bhi agar unhein kuch nahi milta, toh bilkul hi yeh raasta chodkar koi aur lead dundhna padhta inhein! Magar yeh din investigating officers ke liye productive shaabit hua. Analysts ne yeh notice kiya ki bhale hi Arif Zomato, swiggy, online shopping kuch nahi karta tha magar woh ek customer care ko harr 9 din mein same waqt par phone karta tha. Yeh customer care ki head company thi. Inka kaam yeh hota tha ki yeh request sunte the, aur jis bhi tarike ki complaint hoti thi uss company ka customer care number provide karte the. Matlab agar aapki dikkat technical kaam ki hai toh woh saare listed customer care ke number batate the, aur agar aapki dikkat health related hai toh woh waise customer care par redirect kardete the. Abb agency ke analysts ne bhi yahi kar kar dekha. Harr baar woh issi number par call karte the, aur harr baar yeh company ek ticket number generate karti thi aur redirect karti thi call ko. Inhone baar baar number dial kiya but koi pattern samjh nahi araha tha!
Achanak se ek baat notice hui. Yeh ticket number kya tha?
Tabhi lead analyst ko strike kiya aur usne iss ticket ke numbers ko arrange karna start kiya. Yeh 8 didgit number hota tha. Aur unhone pehle 3 numbers ko use kar kar device ki frequency set karne ki kosish ki.
94.3, 92.7, 96.7 aur aise sab. Pure 4 ghante baad yeh samjh aya ki iss ticket number ke last ke 3 digit hamesha woh numbers hote the, jis mein yeh organization operate karti thi. Harr baar yeh number change hota rehta tha. Isi liye jabhi Arif ko contact karna hota tha, toh woh yahan call karta tha, aur active frequency yaa yun kahein tuned frequency pata laga leta tha, jisse contact hojata tha!
Toh bus aisi hi deep investigation hamein Sooryavanshi 2 mein dekhne ko mil sakti hai.

-By Pratima Ratwani.

Comment Your Thoughts.....

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Related Post

Karan Arjun 2 , Salman Khan , Shahrukh Khan ,by Tannu bollygradstudioz.com

Karan Arjun 2

Karan Arjun 2 की हमारी कहानी जिसमें Karan, Rajnath Thakur का bodyguard होता है। और उसके बचपन के अनाथालय मे मिले दो दोस्त पूजा और

Read More »
Karan Arjun 2,Salman Khan and Shah Rukh Khan,Bollygrad Studioz bollygradstudioz.com

Karan Arjun 2

Thumbnail question क्या मां का प्यार है magical ? Karan Arjun 2 by Lavanya Chaudhary Ye kahani hai Uttar Pradesh ke ek seher mujaffarnagar ki

Read More »

Housefull 5

Himesh Reshamiya India ke ek bahut hi famous singer hain. Apne controversies se lekar apne naak se gaane wale talent tak sabhi cheezon ke liye

Read More »

Bollygrad Studioz

Get the best streaming experience

Contact Us

41-A, Fourth Floor,

Kalu Sarai, Hauz Khas,

New Delhi-16

 

011 4140 7008
bollygard.fti@gmail.com

Monday-Saturday: 10:00-18:00​