Kabhi kabhi kuch kahaniyan yunhin padhne ko mil jaati hain. Aur yeh kahani hai Kashish ki. Pata nahi Kashish ka asli naam Kashish hai bhi yaa nahi, magar jahan par iss kahani ko likha gaya hai, wahan par jis ladhke ki baat ho rahi hai uska naam toh Kashish hi hai.
Abb Kashish ka kirdaar hamein Beta 2 mein dekhne ko mil sakta hai kyun ki Kashish ka bhi apni maa ke saath ek alag sambhandh hai. Isi wajah se iss movie mein iss kahani jhalak hamein dekhne ko mil sakti hai.
Toh kuch din pehle Kashish ne internet par ek sawaal pucha tha. Yeh sawaal tha ki kya yeh sahi hai ki jo insaan hamein bahut pehle chod kar chala gaya ho, jis insaan ne tumhein uske bina rehna sikha diya ho, kya uss insaan ko wapas zindagi mein aane dena sahi hoga?
Kashish yahan par apne lover yaa dost ki baat nahi kar raha tha. Kashish baat kar raha tha apni hi maa ki. Kashish ki maa usse tab chodkar chali gayi thi jab woh ek bacha tha. Kashish ki maa usse 5 saal ki umar mein chodkar kisi ke saath bhaag gayi thi. Kashish obviously apni maa se bahut pyaar karta tha. Aaj uss baat ko 20 saal ho chuke hain. Kashish ek bahut famous artist bann chuka hai aur usse industry ke kayin log jaante bhi hain.
Achanak se Kashish aise hi Mumbai mein apne flat mein baitha tha. Usne uss din chutti li thi. Woh bus apna din enjoy kar hi raha tha jab uske ghar ki ghanti baji. Usne jaise hi gate khola toh uske saamne uski maa khadi thi. Bahut saal beet gaye the toh uski maa abb budhi toh dikhne lagi thi, magar woh apni maa ko bhula nahi tha. Usne apni maa ko inn 20 saalon mein kabhi nahi dekha tha. Woh bilkul chauk gaya tha unhein itne din baad dekh kar. Usne apni zindagi ke saare utaar chadao apni maa ke bina hi dekhe the. Abb achanak se woh kyun aayi thi? Kya kaam tha usse?
Uski maa ne usse dekh ke gale lagana chaha magar Kashish ne gate dhadham se band kardiya. Uski maa dusri taraf khadi hokar maafi maangti rahi, magar Kashish ko abb kuch nahi sunn na tha. Woh khush tha apni zindagi mein magar uski maa ne achanak se akar sab kharab kardiya tha.
Uske bachpan ke struggles sab uski aankhon ke saamne agaye the. Woh kaise apni maa ko maaf kardeta? Akhir woh usse akela jo chod gayi thi. Isi liye hi woh pareshaan tha jab usne yeh question internet par daal diya tha!
Bus aisa hi scene hamein Beta 2 mein dekhne ko mil sakta hai. Kya pata Beta 2 mein bhi aisa hi superstar, jo apni maa ke pyaar ke bagair jeeya ho uski kahani dikhayi jaaye.
-By Pratima Ratwani.