Abdul Ahmed ( Mir Sarwar ) Tiger ( Salman Khan ) se poochta hai ki kal raat yahan se kuch minorities gaayab ho gaye hai, kya tum iss baare kuch jaante ho ? Tiger usse jhooth bol deta hai ki use iss baare mein koii jaankari nhi hai, lekin Ahmed ko kuch ajeeb lagta hai. Ahmed Tiger se ship mein mojood sabhi logon se passport maangta hai, or jab vo unke passports check karta hai to use pta chalta hai ki ye sab log Russians hai or Turkey se yahan aaye hai. Ahmed achee se janta tha agar usne Turkey se aaye kisi bhi aadmi ko pareshan kiya to uske liye pareshani khadi ho sakti hai, isliye vo chupchaap Tiger ki ship se chala jaata hai. Ahmed ke jaane ke baad Tiger apni team se kehta hai ki agar hum Turkey se nhi aaye hote, to Ahmed ko humare upar 100 percent shak ho jaata. Ye silsila agle 2 mahino tak ese hi chalta rehta hai, Tiger aur uski team har Friday ko minorities ke ek batch ko India smuggle kar rahi hoti hai. Isi tareeke se Tiger aur uski team ne abtak 2000 se jyada logon ko India pahuncha diya hota hai, or vo sab iss baat se kaafi khush bhi hote hai. Lekin kyunki ab hajaro ki ginti mein minority people gaayab ho rahe hai, isliye Karachi Police aur terrorists active ho jaate hai. Ese hi ek din Ahmed ko minorities ke ek group ka pta chal jaata hai, jo kahin par chupe hote hai. Ahmed un minorities ke group se poochta hai ki jo log gaayab ho rahe hai, vo aakhir kahan jaa rahe hai or unhe yahan se kaun le jaa raha hai. Lekin koi bhi Ahmed ke sawaal ka jawaab nhi deta hai, Ahmed gusse mein aakar kai logon ko badi berehmi se maar deta hai. Minorities mein se hi ek aadmi apni aur apni family ki jaan bachaane ke liye Ahmed ko bata deta hai, ki Govind Singh naam ka ek aadmi minorities ko yahan se kahin or le jaata hai. Ye baat sunkar Ahmed ek khatarnak smile deta hai.
Agle din Scene shift hota hai US ambassador Robert ( Edward Sonnenblick ) par, jo Karachi ke dango ke halaat dekhne ke liye aaye hote hai. Hum dekhte hai ki ek lady Robert ko batati hai ki last night Karachi city mein minorities ke saath ek tragedy hui hai. Jab Robert us tragedy ko dekhne jaata hai, to vo vahan ka scene dekhkar shock ho jaata hai kyunki Ahmed ne kai saare minorities logon ko maar diya hota hai. Tabhi ek lady aakar Robert ko Tiger ke cruise ship ke baare mein batati hai. Robert turant hi us cruise ship par pahunchta hai, Darasal Tiger aur Robert pehle bhi ek sath kaam kar chuke hote hai isliye vo ek doosre ko pehle se jaante the. Robert Tiger se poochta hai ki “kahin vo hi to minorities ko smuggle nhi kar raha hai na” , to Tiger ese behave karne lagta hai jaise ki use iss sab ke baare mein kuch bhi pta nhi hai. Robert Tiger ko batata hai ki Ahmed ko Govind Singh ke baare mein pta chal gya hai or uski jaan ko khatra ho sakta hai, itna kehkar Robert is cruise ship se vaapas chala jaata hai. Tiger ki team ko ab lagta hai ki jald hi Ahmed ko unke plan ke baare mein pta chal jaayega, isliye unhe jaldi se jaldi yahan se nikalna hoga. Lekin Tiger iss mission ko continue rakhta hai, or vo agle minorities ke batch ki smuggling ki taiyari karne lagta hai. Tiger Govind se kehta hai ki tumhare baare me Ahmed ko pta chal chuka hai, tumhari Jaan ko khatra ho sakta hai isliye tumhe bhi isi batch ke saath nikal jaana chahiye. Lekin Govind Tiger se mna karte huye kehta hai ki jab tak yahan se saare minorities India nhi pahuch jaate tabtak mein bhi yahi par rahunga.
Jab Tiger minorities ko galiyon se hote huye beach par laa Raha hota hai, tabhi unhe Karachi police dekh leti hai or unpar firing kar deti hai. Vo saare minorities vaapas apne chupne wali jagah chale jaate hai, lekin Karachi police Tiger aur Namit ( Angad Bedi ) ko arrest kar leti hai. Namit iss baat se kaafi ghabra raha hota hai ki ab unko torture kia jaayega, Tiger use samjhata hai ki unke team members unhe yahan se bachaane ke liye jaroor aayenge. Or esa hota bhi hai, Gopi ( Ranveer Shorey ) aur Nikita ( Anupriya Goenka ) seedhe Karachi ke beach authority ke head ke pass jaate hai, or use apni situation ke baare mein batate hai. Beach authority ka head apni powers use karke Tiger aur Namit ko azaad karva deta hai.
Kya Tiger bacha paayega minorities ko ? jaanenge iss blog ke agle part mein.